CHAPTER 6 : Part 3

Zacznij od początku
                                    

"Hum ek baat spasht kar dena chahte hai. Rudhira bahu, tumhari Maa ka yahan rehne se mujhe koyi aapathi nahi hai par tum khud soch lo tumhari Maa ke bare mein... Log kya kahenge? Kya aise apni beti ke sasural mein aake rehne se unki izzat ka kya hoga?"

"Kaka apko abhi tak lagta hai ki humein logon ka parvah hai?" Batuk scoffed.

"Tumhe nahi hoga par humein hai! Ek toh woh apne pati se jhut gaye tum logon ke wajah se ab unhe yahan lana chahte ho tum sab! Roy Chowdhariyon ki izzat ka dajjiya udane par tule ho?" he shouted.

"Yeh keisi izzat hai jo apnon ki dekhbhal karne se jhut jate hai? Aisi izzat ka kya fayda Kaka?" Batuk snapped. Rudhi held him behind.

"Koyi baat nahi, uncle. Agar apko iss se sahamati nahi toh koyi baat nahi. Mein Maa ke sath kisi hotel mein reh lunga" I interfered before things went downhill.

I turned and walked away. One. Two. Three.

"Beta"

I smirked.

"Ji, uncle?" I turned around with an innocent face. He sighed.

"Beta tum samajh rahe ho na ki hum kya kehna chahte hai? Tumhari Maa ka yahan rehne mein humein koyi vyaktigat aapathi kyun honge? Sab kuch humare hath mein hote toh mein khushi unke yahan rehne ka prabandh karte. Par beta... iss mein tumhari Maa ki burayi hogi" he reasoned.

"Haan, uncle ap fikar mat kijiye mujhe bura nahi lag raha. Mein janta hoon ap toh mujhe apka chaudha beta samajhte hai. Par kya karein, jis bete keliye ap apki poori daulat dene keliye tayyar hai, uski Maa keliye ap kuch nahi kar sakte kyunki ap iss samaj ke wajah se majboor hai... Samajh sakta hoon mein" I feigned teary eyes and nodded my head.

Batuk caught on fast and joined me.

"Yeh keisa samaj hai!" he came to me and kept a consoling hand to my shoulder "Inke soch ke wajah se hum woh bhi nahi kar sakte jo hum mann se chahte hai... Zyada din keliye nahi, bas kuch hi dinon ki baat thi. Uske baad toh ap chale jate wapas Culcutta... Ab kisi anjaan ki tarah kisi hotel mein rehna hoga apko" Batuk wiped a fake tear from below his eye.

Uncle looked guilty while Rudhi donned a face of disbelief.

"Chalo Rudhi Kaka ko sona hai hum unhe sone dete hai... Hum so nahi payenge toh kya hua. Unki neend nahi todna hai. Chalo chalte hai. Abhi toh humein Tapas dada ko unke saman bandne mein bhi madad karna hai" Batuk turned to Rudhi to coax her into joining us but we both know she won't.

When all that came out of her was a scoff, he marched to her and dragged her out with us. That's when Kaka stopped us.

"Ruko" he ordered.

Batuk and I smirked at each other before turning with doe eyes and blinking fake tears.

"Bas kuch hi dinon ki baat hai..." he looked uncomfortable but took a hold of himself and stood mightily on his chadi, totally Trilochan Roy Chowdhary style

"Humara sahamati hai. Rudhira bahu, tumhare kaksh ke paas hi kisi kamre mein unka rehne ka prabandh karo" he ordered.

Hira's eyes brightened and she ran to hug him. He smiled and patted her head lovingly. My own lips twitched up seeing it while Batuk seemed lost in thoughts.

"Thank you, KSJ" she took his blessings and stormed out with a bright smile.

"Ab humara muh kya dekh rahe ho tum donon?" Kaka boomed which snapped Batuk out of his thoughts.

"Kuch bolna hai apko Batuk maharaj?" Uncle raised an eyebrow at him.

Batuk shrugged in a no, still in partial daze.

Anidita : The Flaming FlambeauOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz