CHAPTER 59

199 23 40
                                    

(Yudhisthir and Draupadi went into Draupadi's room and the rest went to their room, while Nitya slept hugging Kunti and slept while thinking about Uttar)

**********************

NEXT MORNING

(All were assembled in the dining area having their lunch)

Soldier : Samrat, Hastinapur se aapke liye sandesh aaya hai

Arjun : Hastinapur se?

Nakul : jyest waha se kon humare liye sandesh bhej sakta hai?

Draupadi : pitamaha, kakashree ka patr ho sakta hai

Nitya : ya fir bhrata Karn ka bhi ho sakta hai

Bheem : kuch anarth toh nhi hua hoga na

Sahadev : mujhe bhi aisa bhas ho raha hai ki kuch bohot anarth hone jane wala hai

Yudhisthir : aap patr padiye

Soldier : ji Samrat

--------------------------------------------

Pranipat Pandu Putro,
Sab kushal mangal toh hai na? hoga hi abhi sab toh Nityprastha mei ho na, tum sab ke bina Hastinapur atyant khali sa lag raha hai, isliye mai tum sab ko ek khel khelne keliye Hastinapur amantrit kar rahe hu, aur woh hai dyut ka khel

Bohot smaran kar rahe hai hum sab tumhe, agar tum yaha aane ka kasht utha sakte ho, toh kripa kar kal aa jana, aur ha mei ashwashan deta hu ki tumhara parivaar yaha atyant surakshit hoga yaha, koi hani nhi pochaya jayega tumhe ya tumhare parivaar ko

Apne parivaar ke vishesh kr streeyo ko awshya aana hai, tumhari Gandhari maa ko sab se milne keliye atyant aatur (excited) hai

Mei aasha karta hu ki sabhi iss amantran ka maan rakhenge aur Hastinapur awashya padharenge, aap sab ka intezar rahega

Aapka Priy Tatshree
Drithrashtra

---------------------------------------

Arjun (sarcastically) : Maharaj ko kab se hum sab ki chinta hone lagi?

Yudhisthir : aa rahi hogi na Arjun, itne din se hum sab ne Hastinapur mei apna jo parivaar hai usse baat bhi toh nhi ki hai aur nhi unse mile hai

Draupadi : kshama kijiye arya, parantu aap kise aapna parivaar keh rahe hai? wo jo aap sab ki mrityu chahte hai? aisa parivaar maine toh nhi dekha kabhi

Kunti : tum uchit keh rahi ho putri, kshama mangne ki awashakta nhi hai tumhe, Yudhisthir ye kya keh rahe ho tum?

Nitya : aap abhi bhi unhe apna parivaar mante hai? jyest unhone bhrata Bheem ko vish dekar pani mei fek diya tha kya aap wo bhool gaye?

Sahadev : jyest shayd aap bhool gaye hai parantu unhone humare parivaar ko bohot sankato mei daala hai aur wo sab bhi kya aap bhool gaye?

Bheem : unhone hum sab ko lakshagriha mei fhek diya tha, marne keliye, aisa bohot baar hum sab ke mrityu ke piche pade hai wo log fir bhi aap ye aisa keh rahe hai?

Nakul : aap ye bhi bhool gaye ki unhone Nitu ke saath kya kiya tha? uska vivaah karwane jaa rahe the woh, agar Angraj hume suchit na karte aur hum waha samay pe na pochte toh shayad humare saath abhi Nitya nhi hoti

NITYA - THE ETERNAL ONE Onde histórias criam vida. Descubra agora