COMMITMENT

55 4 5
                                    

"Ye ladka pata nahi kab sudhrega" Zavi said worried

Haider: Yaad nahi kaise bachpane mai iski wajah se tum dadu se pitte the

"Wo waqt mat yaad dilaya karo" Zaviyaar shuddered

Haider:- Accha miya aap kuch keh rahe the... kuch experiment something

Zaviyaar:- Arey yaar wahi ammi mujhse Mera jawab maang rahi kya kahu samajh nahi aa raha.. isse pehle waale rishto mai to maine kuch na kuch bahana karke mana kardiya lekin is baar baat kuch alag hai.. koi wajah hi nahi hai ki mana kar saku

"So you agree ki she's perfect.... Bhai tumhe koi Kami nahi mil rahi to I am damn sure ki wo ladki waqai acchi hai" Haider told his bestfriend

Zaviyaar could only nod. Haider was absolutely correct. According to Zaviyaar Zara was just perfect. He met him only once that too for few minutes but he was already mesmerized by her charm.

"Zavi??"  Haider had to jolt him forcefully to get him out of his imagination

"Haan haan sun Raha hoon" Zaviyaar said

"Theek hai tumhe nahi karni shaadi na mai ammi se baat karleta hoon wo meri shaadi ki baat karle... kya naam bataya tumne..... haan, Zara se" Haider tried to get Zavi's reaction

"NAHI" Zaviyaar stood up with a thud

"Mera matlab tum usse mile bhi nahi ho, dekha nahi jaante bhi nahi ho aise kaise karloge nikah" Zaviyaar played with his words

"Tumne pasand ki hai, ammi ko pasand hai aur Milne ka kya hai kabhi bhi mil lunga" Haider teased his bestfriend

"Khair mai chala sone tum soch lo kal subah Tak ka waqt hai tumhare pass, warna mai baat karlunga and I mean it" Haider snapped at Zaviyaar

"Abey sone kaha ja rahe ho, apne ghar niklo" Zaviyaar glared

"Mai bohut thak Gaya hoon i can't drive, aaj yahi so Raha hoon aur tumhari wardrobe se t shirt aur joggers le raha hoon" Haider told him bluntly

"Haath mat lagana mere kapdo ko" Zaviyaar shouted

"Chal phut" Haider showed his tongue like a toddler
.
.
.
.
.
"Appi mai aapse aakhri dafa pooch rahi hoon, aap shaadi ke liye haan kar rahi hai ki nahi" Samaira asked her elder sister

"Aur agar maine nahi Kiya to kya karlogi tum chuhiya" Zara mocked her baby sister

"To..... kuch bhi nahi kya kar payegi ye nanhi si jaan, bas hum insaano ke haath mai to dua hi karna hota hai wahi karungi"

Sam was totally a drama queen her sister and father had spoiled her beyond words

"Sam mai bata rahi hoon tumne ek aur dafa mujhe pareshan Kiya to mera haath hoga aur tumhara muh" Zara scolded

"Aap mujhe maar hi nahi sakti" Sam replied confidently

There was a knock at the door

"Abba aaiye na" Zara said while getting up from her bed

"Samaira bete thoda mujhe do minute dengi mujhe aapki appi se kuch der akele mai baat karni hai" Usman Ahmed politely asked her younger daughter

"Ji Abba mai tuffy ko walk kara ke aati hoon"

Tuffy was Sam's cat. The cat was as lazy as Sam

Sam left the room picking tuffy in her arms

"Zara beta mujhe Zaviyaar pasand aaya, accha ladka hai, maine apne kuch dosto se pata bhi karvaya, kisi buri aadat mai nahi hai, he's a family man, apni ammi aur bhai ke saath hi rehta hai zyadatar" Usman Ahmed hopefully looked at her daughter

"Abba no doubt Zaviyaar bohut hi acche hai, he's a gentleman par ek mulaqat mai, aap hi bataiye mai kaise faisla le sakti hoon, mujhe kuch waqt chahiye please ye meri zindagi bhar ka faisla hai abba thoda sa waqt please" Zara tried to explain to her father

"Theek hai jaisa tum chaho, lekin beta bohut waqt bhi mat lena, tum chaho to mai Zaviyaar ki ammi se baat karlun, dubara mil lo dono" Zara's father politely said

"Ji" Zara nodded
.
.
.
.
.
.
.
"Zaviyaar mai nahi jaanti mujhe tumhara Jawab chahiye, kitni ladkiyo ko mana karoge, mere marne se pehle mujhe meri Bahu laa do"

"Ammi kya hogaya hai aapko phir wahi marne jeene ki baatein, subah baat karte hai I promise mujhe kuch waqt dijiye" Zaviyaar left the dining hall furiously
.
.
.
.
.
.
.

How was the update guys?
Don't forget to vote and comment
Keep reading!!!!

THE DESTINED CONFLUENCE Where stories live. Discover now