Ek woh sab guse main ho, ek jab woh nashe main ho aur ek jab woh neend main ho. Lakin tum ka boli thi? Ke main toh nashe main bhi sach bolti hai.

Aur wohi tumne kiya? Us raat nashe main hum thy magar apna sach tumne bola. Ke ap he madam sir, SHO Haseena Malik ho"

" Kya apko hosh tha us din. Jab hum----"

" Toh aur tumko kya laga? Kya laga jajjabtoon ki Malika? Jis Karishma Singh ke tumne hosh uda diya? Woh tumhara hona, nashe main bhool jaye gayi.

Ama topa tumne humko nahi, us raat ki subha hum banaye thy tumko ke humko kuch yaad nahi.

Aur woh shaddi, tumhari Bakshi sir ki saazish nahi. Humara khel tha. Tumko apne kareeb rakh kar khud ko barbaad karna ka. Samjhti tum? Sirf tumhare liya topa ban rahy hum aur tumne Haseena Malik, humara kya haal kar diya?

Humara pyaar ko ek raat ka nasha keha diya. Waha madam sir waha.

Humko samjh nahi aata ke hum apke is choot par aah kar ke waha

" Karishma Singh ek bar humari baat toh sun liye jiye. Hum mante hai humse galti nahi gunah ho gaya hai aur hum us gunah ki har tarah se saza bhugatne ko tayar hai jaan. Please ek bar"

" Saza toh ab apko mile gayi Haseena Malik. Mile gayi apko saza humare dil ko dhadkane ki saza, humko khud ke liya jajjbaati banane ki saza, humko khud ke liya pagal bane ki saza aur humare ibabbat jaise pyaar ko bedua banane ki saza, Haseena Malik.

Kyun ke hum koi farishte nahi hai. Joh khud par kiye hue zulm ka hisab na rakhe.

Humne toh phele apko apke farz ke hathon majboor hota dekh uff tak nahi ki thi na.

Lakin ab nahi, Haseena Malik ab nahi. Joh dard apne humare seene main bhaar diya haina. Agar uski siskiya apke kaano main na goonji. Toh humara naam Karishma Singh, nahi.

Aur iko baat aur Haseena Malik.

Hum apse khene tha na us din jis din hum pyaar ki phela harf dosti likhne jaa rahy thy.

Tab hum kahe thy na apse ke agar humse dosti karni hai toh ek baat yaad rakhna, Madam sir.

Ke is dosti main koi chal nahi karna. Dosti ki hai toh phir woh wajha chahye kuch bhi ho, Karishma Singh ko kabhi dusari bara dhoka nahi dena.

Warna ek baar toh dosti main dhoka bardast kar le gay.

Lakin agar humko is dosti main apko humse, yaha humko apse pyaar hoga toh phir is pyaar main agar koi bhi wajha ya kaaran ki majhoori main hume apse dhoka mila.

Toh hum apse mile hue dhoke ko ek baar phirse bardast kare le ga.

Magar---

"Magar kya Karishma Singh?"

Ab aise roote jayie gay tujhse ke----

Phir Na Mile Gay Hum

Phir Na Mile Gay Hum

Ek raat ka nasha tha na humko apka.  Toh samjho jaise sar par chada tha aaj is jameen main dafan hoga.

Jai Hind, SHO Haseena Malik, Janpath. Lucknow

Phir Na Mile Gay Hum

🍁_________🍁

Phir Na Mile Gay Hum🍁Chapter 1 🍁✅🍁Where stories live. Discover now