Jon Elia ki collection

Start from the beginning
                                    

"Chalo Allah ka shuker hai. Allah se dua hai ke ab afiyat se sab kuch hojai" Rozina sahiba ki dua par sab ne mushtariqa "Ameen" kaha.

Muhammad Azhan jabran muskura raha tha. Us ke paas iske ilawa koi chaara bhi to na tha. Khala ke poochne par ke "beta tabiat theek hai kamzor kion lag rahe ho?"

Sar dard aur busy schedule ka bahana bana dia.

"Moosa bhai aap sab ne jald hi ana hai. Mehmano ka welcome humen sath hi karna hai ab aap ko hi sab sambhalna hai" Ibrahim sahab apne hum zulf se kehne lage.

"Zaroor zaroor Dua meri bhi to beti hai na" khush ikhlaqi se jawab dia.

Baaton ka dor jab ikhtitam pazeer hua to Ibrahim Sahab aur unki ehlia ghar ki tarf rawana huye.

"Sohail Raza son of Owais Raza" Muhammad Azlan ne drawing room ke table par para card utha kar Dua ke dulhe ka name parha. 

Azhan ke kaan main awaz aye to uth khara hua. 

"Bhaijan card to dekhlo boht acha print hai aap ki shaadi main aisa hi banwainge" Muhammad Azlan ne uska dil jalana apna farz samjha.

"Mujhe nahi dekhna khud hi dekhlo" bezari se jawab deta walkout kar gaya.

"Okay! As you wish Doctor sahab" peechay se haank lagai.

Azhan ke jate hi Roha ka qehqaha choot gaya jab ke Rozina sahiba ne gusse se apne bete ko dekha jo apne bhai ko tung karne ka koi moqa hath se jane na deta tha.

"Phir wo kuch keh dega to mu'n bana loge" unhone Azlan ko dapta.

"Ab kuch nahi bolenge janab. Hijr kaat rahe hain aur is me insan chup hi rehta hai" Azlan ne jawab dia.

"Acha bhayya jee!" Roha ne afsos se jawab dia.

*******************

"Ammi.." Muhammad Azhan ne poore Ghar par aik Nazar dorai, vo isi waqt hospital se lota tha, Rozina beghum Nazar nahi aayi'n to us ne awaaz di.

"Han Azhan bolo, main idhar aap ke room main hun" unki masroof si awaaz Aayi.

Vo uth kar kamre mai aaya.

"Ammi yaar sar Dard horaha hai please chai bana dein aur pain killer bhi dedei'n" bed par baith kar sar ko ungliyon se Hakla Halka masal Raha tha..

Rozina baghum almari main Kuch talash kar Rahi thi us ki Dard se bhari awaaz sun kr Saman rakha aur us ke paas aayi'n.

"Kiya hogaya Meri jaan..! neend puri nahi hui hai kiyaa..?"

"Nahi buss sar Dard horaha hai neend ka masla nahi hai aap chai banwa dein naa.. Roha Kahan hai Roha ko bolein naa"

"Roha kahan hai Muhammad Azhan vo to parlour gai hai naa Dua Fatima ke Sath hi"

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 06 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now