Dil jure, Dil toote

Start from the beginning
                                    

"Hahhahahahhahaha..!" Teeno hansne lage..

"Khair Dua mujhe aik baat Karni hai" Daim Ali ne sanjeedgi se kaha.

"Jee bhaijan bolo..?"

"Dekho Meri baat ghaur se suno; hum chaaron Ghar walon ke buss main Jo hoga Aapke Liye karainge ye Mera aapse waada hai. Aap ko Jo chahiye hoga naa sab Kuch le kr dunga Yahan tak ke mujhe apne aap ko bhi bechna par jaaye, magar aik baat yaad rakhna baba ne bht mehnat se izzat banai hai. Aik arse tak hamare haalat theek nahi the magar iske bawajood baba ne humein sab Kuch diyaa hai aur maashre main izzat banai hai aur phir usi ki waja se log bhi hamari izzat krte hain naa..?"

"Bhaijan main samajh nahi pa Rahi aap Kiya kehna chahte ho .. please Khul kr baat kro na" Dua ne uski mushkil baaton pr Sirf itna kaha..

"Mera bachcha main buss ye Keh raha hun ke baba ki Jo izzat unhon ne banai hai na, unki aulad hone ki waja se uska paas rkhna ab hum teeno ka farz hai. Aapko izzat se rukhsat karainge aur Aapke baap Bhai ke darwaze hamesha khule rahainge..
Magar idhr main aik baat ka izafa karunga ke darwaze khule us waqt tak Hain jab aap apne shohar ki ijazat ke Sath hansi Khushi aao, kabhi kabhi nahi Roz aana magar uski Marzi se."

"Aurat ka asal Ghar uske shohar ka hota hai naa to agar uski Marzi ke mutabiq kaam kiye jaaei'n to Zindagi bht asaan hojati hai" is Baar Murtaza ne guftugu main hissa daala.

"Samjh Rahi ho na hum Kiya Keh Rahe hain..?".

"Jee, samajh Rahi hun".

"Agar kabhi Kisi baat pr vo gussa ho na to age se jawab na dena, jhagra ho jaaye to Ghar chor kr naa ana, mard agar Ghar se utre to uski izzat main kami nahi aayegi lekin agar aurat ne qadam bhi Bahar rakha to vo apna Waqar kho deti hai".

"Bhaijan aap log aisi baatein kion kr Rahe ho yaar.." Dua ne rote hue kaha..

"Arrey beta samjha Rahe Hein aapko, hansi Khushi aana to Roz aana magar Kisi din larai hojaye aur shohar kahe ke Ghar se jaao to uske paa'un par Jana magar apni jaga chor kr na ana, aap ise agar rude Kaho to rude sahi magar ye haqeeqat hai ke izzat shohar se hoti hai shadi shuda aurat ki"..

"Main samjh gai Hun aapki baat main InshaAllah aap dono aur baba ka sar kabhi sharam se jhukne nahi dungi ye Mera aap logon se waada hai"

"Shabash mujhe yehi umeed thi" Daim Ali ne uske sar par bosa diyaa.

"Chalo paraya dhan ab khari ho paani pilao" Murtaza ne phir se use chaira..

"Yaaaarrr Kiya msla haiii, bhaijan yaar inko Dekho naa tung kar Rahe hain kab se"..

"Sahi to Keh Raha hai vo "paraya dhan" .."
Ab ki baar Daim ne bhi kaha to vo gusse se walkout kar gai...

********************

Do din guzar gaye, Rozina beghum ne Muhammad Azhan se dobara is bare main baat nahi ki. Isi liye usey behad bechaini thi.

Is waqt raat ka time ho raha tha. Khana khane main abhi thori dair thi. Rozina beghum kitchen main kaam kar rahi thi jab Muhammad Azhan un ke paas agaya.

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now