~
Insaan ko toh sirf vo raste pata hain
Jin par kabhi kadam rakhe the.
Magar vaqt itna kambakht hai,
Ke andha kar, nayi dagar par dhakel deta hai.
Aur jis lamhe ki dehleez se
juda kar ke idhar laya tha,
Usko sirf mud kar dekh paane ke kabil chhorta hai,
Dobara jee paane ke nahi.
~
YOU ARE READING
Sitaron ki Syahi: Shayari
PoetryMusafir ham bhi hain, musafir aap bhi. Farq bas itna hai, ke hamare raste dastan ban gaye, Aur aapke raste- manzil. Dastan sunoge meri?