Dua fatima ka rishta

Start from the beginning
                                    

Neend thi na, sooli par bhi ajati hai. Use bhi agai.

************

"Dekha mamma aap ko lagta hai main fazool bol raha tha aur aap ke us chhupe rustam bete par ilzam tarashi kar raha tha. Dekh lia khud aap ne?" Agle din Azlan sahab walida ke paas beth kar apni shikwo'n bhari kahani un ke gosh guzar karne laga.

"Haan bhaee maan lia aap ko. Laikin mujhe hairat hai Muhammad Azhan mujh se chhupa raha tha. Bta deta jo bhi dil main tha, maine konsa is ko mana karna tha ya baba ne isko kuch keh dena tha" Rozina beghum ne pursoch andaz main kaha.

"Ab main aik aur baat kehta hun. Abhi bhi kam az kam chaar din lene hain doctor sahab ne aap ke samne iqrar e muhabbat karne main" Azlan ne andaza lagaya.

**************

"Daim Ali!" Aina beghum ne awaz di.

"Jee" jawab aya.

"Beta mujhe aap se zaroori baat karni hai"

"Jee mamma bolen. Khairiat hai sab?" Pareshani se kehne laga.

"Han han Alhumdulillah sab khairiat hai. Dar asal main aur aap ke baba chahte hain aap ki shaadi karden. Mashallah se umer bhi hogai, khud mukhtar bhi ho to phir ab hum apne ghar ke afrad main izafa karden" Aina beghum ne bagair tamheed bandhe Daim Ali ke ke samne apni khuwaish ka izhar kia.

Aisy hi dosti thi dono maa'n bete main. Bagair jijhke aik doosre se har baat kar lete they.

"Mamma aap ko itni jaldi kia hai meri shaadi ki?"

"Khuda ka khof karo Daim. Ye jaldi hai?"

"Hahahahaha! Acha acha theek hai laikin fard ke izafe se pehle fard ko bhejne ke baare main bhi to sochen"

"Kia matlab?"

"Dua Fatima ko bhejen bhae ab boht hogaya. Ab hum kab tak us ke aan'su saaf karen. Usko bhejo uske apne ghar taake uska shohor saaf kia kare uske aan'su" wo mazahiya andaz main goya hua.

"Khair se Inshallah wo bhi apne ghar ki hojaye gi. Filhal main aap ki shaadi ki baat kar rahi hun"

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now