(Part-6) [Tabarak Allazi] Chapter-64

700 40 6
                                    

Oval office se malhikmah ek chhote se kamre me protocol officer ki rehnumaayi me daakhil hote hue Salaar Sikandar ke andaz me uss jagah se waqifiyat behad numaya tha. Wo bade manoos andaz me chalte hue waha aaya tha aur uske baad hone wale rituals se bhi waqif tha.Wo yaha kayi baar aa chuka tha, kayi wafood ka hissa ban kar....lekin ye pehla mauqa tha jab wo waha tanha bulaya gaya tha.

Use baithane ke baad officer andruni darwaze se gaayab ho gaya tha. Wo 15 minute ki ek mulaqat thi, jiske ehem nikaat wo uss waqt zehen me dohra raha tha. Wo america ke kayi sadar se mil chuka tha, lekin wo sadar jisse wo iss waqt milne aaya tha, khaas tha. Kayi hawalo se......

Wall clock par abhi 9:55 ho rahe the. Sadar ke andar aane me paach minute baaki the. Usse pehle 9:56 pe ek waiter usko pani pesh
karke gaya tha. Usne glass utha kar rakh diya tha. 9:57 pe ek aur waiter use coffee serve karne aaya tha, usne mana kar diya. 9:59 pe oval office ka darwaza khula aur sadar ki aamad ka elaan hua. Salaar uth khada hua.

Oval office me darwaze se uss kamre me aane wala sadar, America ki taarikh ka kamzor tareen sadar tha. Wo 2030 ka America tha. Beshumar andruni aur beruni masaail se do chaar ek kamzor mulk....jiski kuch riyasato me uss waqt khana-e jangi jaari thi. Kuch me nasli fasadat....aur un sab me America ka wo pehla sadar tha jiski think tanks me musalmano aur yahudiyo ki tadad barabar ho chuki thi. Uski policies ki saath saath government bhi andruni khulfishar ka shikar thi lekin ye wo masaail nahi the jinki wajah se America ka sadar usse mulaqat kar raha tha.

America apni tarikh ke sabse bade maliyati aur banking hijraan ke douran apni ban
ilaqoumi position aur saakh ko bachane ke liye sar tod koshish kar raha tha aur SIF
sarbarah se wo mulaqat un hi koshisho ka ek hissa tha. Un aayi taramaim ke baad jo
America ko apne mulk ki haisiyat ko mukammal taur par dubne se bachane ke liye karni padti thi.

Apni taarikh ke uss sabse bade maliyati hijraan me jab America ki stalk exchange crash kar gayi thi, uske bade maliyati idare diwaliyah ho rahe the. Dollar ki value ko kisi ek jagah rokna mushkil ho gaya tha aur musalsal girti huyi apni currency ko istehkaam dene ke liye America ko teen mahine ke douran teen baar uski value khud kam karni padti thi. Sirf ek
idara tha jo uss maliyati hijraan ko jhel gaya tha. Ladkhadane ke bawujud America ke bade maliyati idaro ki tarah zameen bos nahi hua tha, na hi usne down sizing ki thi, na bell out pictures maange the. Aur wo SIF tha. 15 saal me wo ek ban ilaqoumi maliyati idare ke taur par apni shandar saakh aur naam bana chuka tha aur America aur bohot se dusre chhote mulko me wo bohot se chhote bade idaro ko zim karke apni chhatri tale laa chuka tha aur wo chhatri magribi maliyati idaro ki shadeed hukumato ke sakht tareen imtiyazi qawanain ke bawujud phailti chali gayi thi.

15 saalo me SIF ne apni tarakki ke liye bohot saari jange ladi thi aur unme se har jung choumkhi thi lekin SIF aur usse munsalik afrad date rahe the aur 15 saal ki iss mukhtasar muddat me maliyati duniya ka ek bada magarmachh ab SIF bhi tha jo apni baqa ke liye ladi jaane wali un tamam jungo ke baad ab behad mazboot ho chuka tha.

Europe aur Asia uski badi market thi lekin ye Africa tha jis par SIF mukammal taur par qaabz tha.Wo Africa jisme koi gora 2030 me SIF ke bagair koi maliyati transaction karne ka tasawwur bhi nahi kar sakta tha. Africa SIF ke hath me nahi tha....Salaar Sikandar ke haath me tha, jise Africa aur uske leaders naam aur chehre se pehchante the. Pichhle 15 saalo me sirf Salaar ka idara, wo wahid idara tha jo Africa ke kayi mumalik me badtareen, khana-e jangi ke douran bhi kaam karta raha tha aur usse munsalik waha kaam karne wale sab Africi the aur SIF me mission statement par yaqeen rakhne wale.....jo ye jante the jo kuch SIF unke liye kar raha tha aur kar sakta tha, wo duniya ka koi aur maliyati idara nahi kar sakta tha.

SIF Africa me ibtidayi daur me kayi baar nuksaan uthane ke bawujud waha se nikla nahi tha, wo wahi jama aur data raha tha aur uski waha baqa ki buniyadi wajah sood se paak wo maliyati nizaam tha jo waha ki makaami santo aur sant karo ko na sirf sood se paak qarze de raha tha, balke unhe apne wasaail se us industry ko khada karne me insani wasaail bhi faraham kar raha tha.

Aab-e-HayatWhere stories live. Discover now