"Lekin bachche abhi to Aaye Hain phir se Kahan jaa Rahe ho?" Rozina sahiba ne fikr mandi se poocha

"Mamma neeche hi Hun aajaunga thori dair mai" maa'n ki baat pr muskuraate hue unka maatha chooma aur Aage brha hi tha ki Dua madam ne awaaz di

"Azlan Bhai.."

"Jee?"

"Aapko Kuch yaad hai..?"

"Kiya..?" La ilmi se jawab diya

"Ya Allah Azlan Bhai aap Bhool gaye!" Dua ne afsos se kaha.

"Dua beta jaldi bolo Kiya Keh Rahi ho mujhe phir Jana hai dair ho Rahi hai".

"Azlan Bhai aapne ne kaha tha k ab jab bhi main rukne aaungi to hum log ice-cream khane jaainge..." Dua ne pichli Baar ka Kiya hua waada Azlan ko yaad krwaya

"O hann main Bhool gaya tha, Chalo Kal chalainge.. nahi aik kaam krte hain next week main JB khala aaingi na tb chalainge" Azlan ne jhut se Naya plan bataya

"Acha thk hai" Dua mun bisor gayi.

"Agar aapko Ice cream khani hai to main abhi neeche se la deta Hun" Azlan ne jhoote mun offer de daali (jaanta tha Dua mana krdegi)

"Nahi nahi hum log agli Baar chalainge JB mummy bhi hongi" Dua ne forun kaha.
(Azlan ki ain tawaqqa ke mutabiq Jawab aaya aur vo muskurata hua palat gya)

Baaqi sb bhi Apne Apne kamron main chale gaye.

4 kamron pr mabni ye Kazmi house is ghar ke makeenon ki muhabbat se Kisi shahi mehel se Kam na tha..
Bil akhir Dua aur Roha ko raaz o niyaz ka moqa mil hi gaya. Ab dono thi'n aur poori Raat koi rokne tokne Wala na hi, tung krne Wala ye raat in ki baaton ki nazar hone wali thi..


******************

"Ibrahim! Sune'n" Aina beghum ne TV ke samne brajman Ibrahim Ali ko pukara.

"Hmm" news main magan Ibrahim sahab ne apni beghum ki pukar ka jawab kuch aisay diya.

"Aik to aap news dekhte huye dunia jahan se baigana hojate hain na mujhe sakht chir hoti hai" unhone afsos se kaha.

"Isi liye mujhe tumhe chirane main boht maza ata hai" Ibrahim sahab beghum ka tapa hua chehra dekh kar mazeed tapa dene wali muskurahat chehre par saja kr bole.

"Ibrahim please mujhe zaroori baat krni hai!"

"Yar Noor aik to tum mujhe boht tung krti ho" wo mu'n bana kar bole.

"Acha ab bol bhi do kia chal rha hai dimagh main?"

"Main soch rhi hun kion na hum Daim ki shaadi kar den; khair se 25 saal ka hone wala hai. Apka bazu bhi ban chuka hai. Kia khayal hai apka?"

دشمنِ جان سے جان تک!Where stories live. Discover now