Chapter 6

5 0 0
                                    

Anya bohut khush thi yeh khushi Aliyan key achey ikhlaaq ki thi yan phir uskey select honney ki pata nhi tha usey. Aaj Aliyan ka din bohut acha guzra tha "Doctor sahab aj tussi barey khush nazar aa rahey ho" aik patient bola, Aliyan achanak sey mukuraya "Aap kidher sey hain" aliyan us admi sey puchney lagaya usey comfortable karney key liay. "Main toh g multan sey hun" patient ney uski baat ka jawab dia. "Acha acha, toh kia kartey hain aap" aliyan ney guftagu shuru kardi, "G karigar hun aik factory main, sheeshay key showpiece banata hun" isney bola. "Arey wahh bohut mehnat wala kaam hey per mask wagera lagatey hai ap" aliyan ney pucha, "Nhi doctor sahab" patient ney kaha "Bas isi liye, ap dekhlain ab toxic gases ki waja sey ap key lungs damage horahey hain, isi liye sans leiney main takleef horahi hai apko" aliyan ney detail main samjhaya. "Nurse inkey yeh test karwao lab results atey ho to mujhey do, aur sir apko rest karney ki zaroorat ap aaj admit rahey gain, sath hi dawayan likh kar dey raha hun inko lena nhi bhulna aur kal jab ap discharge hon gey to main ussey pehley apka checkup dobara karun ga aur aap rozana hospital ayain gey jab tak apki halat behtr nhi hoti, ab aap rest kijiye or jab ghar jain gey toh tab bhi rest hi karna okay g" aliyan usko samjha raha tha. "G doctor sahab" patient ney sar hilatey bola.

Raat ko jab aliyan ghar aya toh uski ami court sey aakar uska wait karrhi thin aaj ghar key mardon ki bari thi khana banney ki aur aliyan ghar aya kaprey change karkey, fresh hokey white t-shirt aur blue trouser pehn kar nichey aya apron pehn kar kitchen main aya aur sath hi sabziyaan wagera katney laga. "Arey doctor sahab apka din kesa tha" suleiman fateh boley "Baba theek tha apka kesa tha" aliyan ney jawaban unsey pucha, "Beta bohut acha ab behtr feel karaha hun". "Good" aliyan mutmaeen nazar araha tha. "Haan meray bhai, tumhain pata aaj itna difficult case aya tha astugfirullah main toh confuse hogaya tha" aliyan ka bhai zaviyaar bola. "Han bhai pata chala mujhey" aliyaan ney ussey bataya. "Lisha khabri network key pait mai  koi baat nhi tikti" zaviyaar ney hairaan hokar kaha. "Arey bhai main toh aliyaan ko updates deti rehti about us" lisha ney kaha. "Han bhai wo theek keh rahi hai meiney hi pucha tha kiya horaha hai aur baba kahin court toh nhi chaley gaey" aliyan zaviyaar ko samjha raha tha. "Theek hai yaar" zaviyaar ney kaha. "Acha wesay aap log bana kya rahey hain" lisha ney pucha. "Surprise hey lisha har baat nhi batatey" zaviyaar ab usey tung karaha tha. "Okay jo bhi ho acha banna chahiye, ami aur mujhey bohut bhuk lagi hai" lisha ney  ki taraf dektey kaha. "G madam, or kuch yan ab hum tiyaar kar lein khana warna, meri pyari behn ap hamara sar khaa jaain gi" aliyan ney hastey huay kaha. "Baba dekhain apney baiton ko kia keh rahey hain" lisha ney suleiman ko dekhtey bola. "Boys!!"suleiman fateh ney un dono ko dekh kar kaha. "We are so sorry lishay ab hum kaam karlain" dono bhaiyon ney aik sath kaha. "Better" lisha ap mutmaeen thi key unhain daant pari. "Baba khana serve kartey hain" zaviyaar ney kaha. "Ladies, are you ready?" suleiman fateh ney kaha. "G baba ap log serve karein gey yan hum ayain" nehaal ney suleiman fateh sey kaha.

Ab sab soo gayey thhey khana khaney key baad zaviyar or aliyan ney bartan dishwasher main load kardiye thhey. Aliyan 3 ghantey baad apney mama, baba, bhenon ko goodnight keh kar sooney chala gaya tha. Uska room 24/7 saaf rehta tha no mess at all, safai kartey waqt uskey room sey kabhi khora niklna impossible tha, bohut organised or maintained larka tha wo. Uska room kaafi bara tha uska ghar bhi kaafi baara tha uskey room main aik bara sa bed aik tha, side tables aur deewaron per uski black suit main photo lagi thi aur bhi pictures thi usmey uskey bhai sath uskey parents key sath aur uski behenon key sath teh sab aik deewar per bohut organised tareeqey sey lagayi thi uski aur bhi pictures thi aur sab hi suits aur coats main thi aur kuch white, black, off-white aur navy blue shalwar kameez main thi kuch aur photos jo uskey bhai ney lagayi thi yeh keh kar key room thora bhara lagey ga. Room key dosri taraf do darwazey they aik seperate dressing room ka aur aik study room with a library ka uski books ki collection boyut bari thi to jo alphabetical order main different racks per organised thi. Yeh sab usney khud design kita tha kaafi elegant or graceful room tha uska. Aik poorey room jitna closet tha uskey dressing room main uski collection bhi kaafi elegant thi zyada neutral colour hi they most common was black, white, blue and beige, aik side per uski watches thin aur dosrey side par uskey suits, coats, shalwar kameez, trousers with shirts, shirts jeans and jackets, aur perfumes aik side per arranged they uska aik mini mall tha uska closet. Kamrey key bahar aik balconey thi jahan kaafi beautiful paintings side wall pey lagi thi. Aik black colour ka sofa tha kiun key uski balcony bhi kaafi bari thi aik middle size ka coffee table aur bohut elegant lights bhi lagi thin. Uski balcony ka view bohut khubsurat tha mountains, tress with beatifull colorus of the horizon and sunset. Aur kamrey key aagey aik cornor mai aik darwaza tha jo uskey prayer room tha. Aliyan ney kamrey main aney key baad phone charge honney key liay rakh dia kuch files thi patient ke background aur checkup key barey main thhin. Wo study room main enter hua apna kaam khatam karney key baad laptop band kia files drawer main rakhi aur fresh hokar sooney chala gaya, usey aaj neend nhi arahi thi wo balcony main khara asmaan, chaand ur taron sey bharey aasman ko dekh raha tha "Ya Rehman, meray dil ko sukoon dey yeh itna beychain kiun hey kiun yeh aaj meri baat nhi samjh rha",jesi hi aliyan ney ankhain band ki uskey saamney us mareez ka chehra tha jisey usney aik hafta pehley treat kia tha wo insaan theek to tha lekin apna sab kuch apni ego ki waja sey gawah bhetha tha wo apney aap ko haar gaya tha, aliyan ney uski adhuri aur khali ankhon ko dekha tha aur socha tha, "Kiya aik mard ki ana itni jaan lewa hoti key sab kuch khaak kar bhi sukoon nhi leti aur phir wo mard andar hi andar marta rehta hai sirf aur sirf khud ki khudgarzi ki wajah sey". "Ya Allah is ana ko hamain barbaad karney sey rok key sab kuch khaak hi toh ho jaeey ga akhir toh iska kia kaam kiun insaan ko ego auruska pride jeeney nhi deta". Yeh bohut bara sawaal tha lekin iska jawaab dhundna utna hi mushkil.

..........

Arzo e DilWhere stories live. Discover now