Raman: Shant reh Anu
Haseena: Please baithiye aap....aapko apni behen par bharosha karna hoga
Anubhav: Bhai aapko kada bhi krodh nhi araha hai
Raman: Mujhe abhi tujhe shamalna hoga issilye gusse ko kabu karraha hoon
Vikrant: Hume seedha judge se baat karne hogi....Wohi judge jinhone Ruhi aur Bhavna ka custody ka faisla sunaya tha woh abhi bahar hai par mai khud unko bolunga yeh baat aur unko wapas lekar aaounga taki teeno bacchon ki custody case permanently aap chaaron ko mile
Karishma: Vik Bhai iss baar kuch alag karna hoga....pehele do maa ko custody mili thi ab do pita ko milegi....ab child custody case par ek naya kanoon lana hoga taki Shagun aur Kamini jaisi maa bacchon ko na mile kyunki dono ne hi bacchon ka janam hone k baad chod diya tha.....aur rahi baat Suraj aur Surya ki toh mai aj hi uska intezaam karungi....Kal tak yeh dono ko fasi hogi taki yeh Charon kamzor pade aur custody aap dono Mata pita ko mile
Ishra look at Anuseena they feel that they are to going to face those phase now like they had
Karishma: Aur Viyomji maine ek naye kanoon k baremei soch bhi liya hai bass aapka support chahiye
Viyom: Aap joh bhi karegi hum aapka humesha saath denge
Suddenly door bell ring. Viyom open the door
Postman: DSP Anubhav Singh aur Mr. Raman Kumar Bhalla yehi haina
Viyom: Jii yehi hai
Postman: Court se notice aye dono k liye....de dena....aur yeh report DSP Anubhav Singh ko dena
Viyom give the letter to RamBhav. Anubhav get angry but Raman calm down for his bestfriend as he don't want him to do mistakes like him
Anubhav: Unn dono ki himmat kaisi hui yeh sab karne ki......nhi chodenge aj hum dono ko.....aj dono ka encounter hoga humare haathon
Haseena broken into bitter crying: Bhavna
Ishita hug her: Bhavna ko tumse koi nhi chin shakta.....Tum uski maa ho.....apni beti k liye tumhe ladhna hoga....aise tutna maat kyunki abhi tumhe strong rehna hoga Bhavna k liye uske future k liye
Haseena: Kaise Bhabhi kaise.....unhone hume pura kiya hai apni maa banakar.....Hume Hasimaa banaya hai....jab peheli baar unhone hume maa kaha tab aisa laga ki sachmei hum maa bangaye....hum mei koi kami nhi hai.....hum bhi maa banshakte hai
Ishita: Tumhara dard mai acche se samajh rehi hoon kyunki maine bhi do baar iss hadse guzar chuki hoon
Haseena: Kyun baar baar horaha hai yeh sab bhabhi....hum apni beti k bina nhi rehshakte.....peheli baar hua toh shamal liya tha khudko par ab kaise
Ishita: Yeh abhi ek maa ka imtehan hai jismei tumhe pass hona hoga....uss Kamini ko dikhana hoga tumhe ki tum usse behtar maa ho.....bhalai hi tumne Janam na diya ho par maa ka har farz tumne nibhaya hai....maa ka Pyaar diya hai tumne use.....Kamini ne toh Bhavna ka janam hote hi chod diya tha par tumne uski Zindagi mei akar ek maa ka mamta diya hai
Haseena: Aapko dard nhi horaha hai bhabhi aapke saath bhi toh horaha hai
Ishita: Janti hoon mujhe abhi bohot dard horaha hai par mujhe abhi tumhe shamalna hai mai ek aur tuti hui Ishita nhi dekhshakti
Anubhav take his gun and was going outside but Raman stop him
Raman: Anu tum encounter nhi karoge.....nahi mere tarah wohi galti karoge
Anubhav: Aapko krodh nhi araha hai Bhai....usne Adi Ruhi ka bhi child custody case kiya hai
Raman: Janta hoon....gussa dard horaha hai mujhe bhi par mujhe abhi tumhe shamalna hai....abhi tumhara ek pita hone ka imtehan hai....Mai tumhe dusra tuta hua Raman banke huye nhi dekhshakta issilye apne dard ko apne andar rakh raha hoon apne dost k liye
Anubhav: Nhi Bhai baat hogi unlogo se.....bacchon ko ek khilona banakar rakh diya hai
Vikrant: Dekhiye aap Charon ko ab Shanti se kaam lena hoga....unn logo ne dusre judge se baat karke seedha ek mahine ka notice diya hai par mai uss judge ko jinhone Ruhi Bhavna ka custody ka faisla sunaya tha unhe khud contact karke yehaan ane ko bolunga.....fihall shant rehna hoga agar aap logo ne rules se khilaf gaye toh aap logo ko custody nhi milegi
Vikrant left
Anubhav: Nhi Bhai....hume teeno bacchon ko uss nark se jane se bachana hoga....Hume baat karni hai
Raman: Thik hai par Shanti se baat hogi
Karishma: Mai aur Viyomji bhi arehe hai....aur Ishu bhabhi aap aur Haseena Shamaliye ek dusre ko.....bacchon samme rona maat
RamBhav and Viyomshma left.....and reach Kamini's house
Anubhav showing notice and report: Yeh sab kya hai
Shagun: Are Devarji
Raman: Sayad tum bhul rehe ho ki hum dono pati patni nhi hai aur Anubhav tumhara devar nhi Ishita ka devar hai....samjhi
Kamini: Are mai batana bhul gayi thi ki Bhavna hum dono ki nhi balki mere aur Arman ki beti hai issilye toh case kiya maine
Raman: Safed jhoot bolrehi ho tum......agar aisa hi hai toh 5 saal pehele tumne Bhavna ko choda kyun use lekar hi iss kamine k pass ajati
Kamini: Are jiju
Anubhav: Humare Bhai ab tumhare jijashree nhi hai....phirse yaad dila doon ki Shagun aur unka divorce ho chuka hai iss hisab se tumhara inke saath koi rishta nhi hai samajh ayi baat
Raman: Ab mai sab samajh gaya ki Bhavna ki peheli hearing mei tum joh bhi bolrehi thi woh sab iss Shagun ne tumhe padhaya hai
Anubhav: Accha itna hi iccha hai tum do behene ko bacchon ki custody lene ki toh hum inn do bhaiyon se yeani Ashok Arman se poochte hai ki kya woh dono kisi aur admi k bacchon ko apna bana payenge ya nhi....unhe pita ka prem denge ya nhi.....unhe apna surname denge ya nhi....unhe apna bacche k tarah dekhenge ya nhi
Ashok and Arman get silent and keep quiet and watching the scenes
Anubhav: Dekha inki chupi hi bata diya ki yeh dono kisi aur admi k bacchon ko apna nhi payenge.....Tum charon Apne swarth k liye bacchon ko istemal karna chahate ho
Raman: Aur Ruhi k samaye mai yeh nhi bol paya kyunki bohot gussa aya tha sunke....aur haan Shagun ab mai woh purana wala Raman nhi hoon
Karishma: Rukiye Ram bhaiya aur Anu bhaiya inn charon se ab mai baat karungi.......Mai Krishn Balram ki choti behen Yogmaya yeani subhadra hoon.....Krishn sakhi Yagyaseni bhi hoon aur saath mei Bhaukal devi bhi hoon. Tum dono mere do bhaiyon ko kamzor samajhne ki khoish bhi maat karna kyunki ab unki behen ab unke parivar ka Raksha khud karegi....joh child custody cases ki silsila Delhi se shuru hui thi ab khatam hoga Lucknow mei....Tum dono ko dekh hi lagraha hai ki tum dono k Mata pita ne punar k baremei kuch gyaan nhi diya toh mai bolti hoon jab Krishn ki Janam hua aur unke baba unhe Yashoda Maiya k pass le jarehe the tab Krishn k jagah Yogmaya ayi thi jail mei tab unhone apna asli Roop lekar kans ko kaha tha ki jiss putr ko woh hatya karna chahate the woh ab surakshit hai aur unki maut bankar jald ayenge mere kehne ka matlab yeh hai ki ab mere do bhaiyon ko Raksha ab mai khud karungi....pehele do maa ko custody mili thi ab do pita ko milegi aur insaaf hoga
Kamini and Shagun smirk: Aur hum aisa hone nhi denge.....Kal hum log arehe hai teeno ko lene. So be ready for it
Karishma: Shagun tum na Apshagun ho aur Kamini apne naam k tarah hai bilkul Kamini aurat hai.....Tum dono asal mei mere do bhaiyon k Jeevan mei surpankha ho Alakshmi ho....Tum dono kabhi mere do bhaiyon se saacha Pyaar nhi kiya tha na Parvati ho na Lakshmi ho na Sita ho na Radha ho na Rukmini na astabharya ho tum dono asal mei Surpankha hi ho....aur mai Lakshman banke tum dono ki nak katwa dungi....Hanuman bankar tum chaaron k Lanka ko uda le jaungi.....Yagyaseni bankar tum Charon ki attitude ko jala dungi.....pehele Bhai apne behen ki Raksha karte the ab behen unke Bhai ki raksha karegi
Precap: Children get separation again
STAI LEGGENDO
Yeh hai mohabbatein(Season 2)✅
FanfictionBhavna: Haseena aunty Haseena: Aapke papa kaha hai Bhavna: Wohi toh the Haseena: Dekhna ab daat padegi Anubhav come: Bhavna kitni baar bataya aise haath nhi chodte Haseena: Galti haath chodne wale ki hoti hai Anubhav: Aap hume maat shikhayiye ki...
Court notice again. The warning from RamBhav and Karishma
Comincia dall'inizio