RASTA ✨

48 12 41
                                    


To everyone who underestimates their own selves,

Rasta

Aaj kisine kuch sikhaya hai,
Sach mein aaina dikhaya hai,
Savaal toh abhi bhi baste hai,
Par unke bhi kahin raste hai.
Har mushkil aati hai hal ke sath,
Mitana hai unhe Bal ke sath,
Ab yeh na kehna Bal hai hi nahi,
Us Bal ke raste bhi hai kahin.
Tum ho kisi se juda nahi,
Tum bilkul bhi behuda nahi,
Bhale sabse alag ho sakte ho,
Par shayad yeh tumhe khaas banane ke raste ho?
Kisi ke nahi toh khudke ho,
Kaha bhale kisi se judke ho ??
Agar sansaar mein sirf dard basta hai,
Toh antarman hi uska Rasta hai.
Tum voh nahi Jo dikhte ho,
Tum voh ho Jo khudko likhte ho,
Jo dukh mein bhi hasta hai,
Usko hi milta rasta hai.
Sukoon sabmein milega kyu ??
Shanti ka fool khilega kyu ??
Agar khudki pasand banjaoge,
Rasta usi gali mein paoge.
Taare daane jaise dikhlate hai,
Toh kya taaro mein khot ginate hai ??
Khot toh nazariye mein ho jata hai,
Jab unki roshni ka rasta kho jata hai.
Jab sab door ho jate hai,
Apne bhi kaam na aate hai,
Jab kuch bhi man na behlata hai,
Khudpe vishvaas hi Rasta ban jata hai,
Yeh baat samajhlo toh sayane ho,
Aur ismein na koi bahane ho,
Zindagi kaanto ki baadh mein hai,
Gulaab uski aadh mein hai,
Gulabon tak ka rasta khud banjao,
Fir har rasta gulabon se suljhao!
Tum khud apne liye kam kaha ??
Duniya ka kaam toh kehna hi hai,
Tum karoge aur Karloge,
Is mantra se rasta behna hi hai.

~ Chesha

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 02 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Kavita-Ghar ✨Where stories live. Discover now