armaan : BASS KARO RUHI..!!!!!

he shouted making everyone shocked.

dadi : armaan yeh konsa tarika hai ruhi se baat karne ka.

armaan : dadi sa aap yeh ruhi se kyu nahi puchti ki kyu main usse iss tarah baat kar raha hu kya kiya usne aisa.

dadi : hua kya hai saaf saaf batao.

armaan : hua toh bohot kuch hai dadi sa par ruhi ek sawal ka jawab do kyu aayi tum uss party mein.

ruhi : armaan.

armaan : jawab do kyu aayi tum, do baate hai na toh tum lawyer ho na banne ki taiyari kar rahi ho, chalo tum rohit ke saath aati toh bhi baat samajh mein aati lekin woh option bhi nahi hai toh kyu aayi tum uss party mein.

dadi : humne bheja tha taaki uska mood fresh ho jaaye lekin hua kya.

armaan : ruhi tum jaanti thi ki abhira meri wife hai party mein woh mere saath maujood thi uske waha hone ke bawajud bhi tumne kyu dance kiya mere saath.

everyone gets shocked.

ruhi : armaan woh toh bass...

armaan : kya bass ruhi, tum jaanti ho woh party mere liye aur abhira hum dono ke liye kitni zaruri thi mainuss party mein abhira ko as my wife introduce karana chahta tha aur tumne mere saath dance karke sab bigaad diya ek baar bhi tumne socha ki abhira meri wife hai aur uske mere saath hone ke baad bhi tumne soch kaise liya ki main tumhare saath dance kar paunga, chalo abhira na aayi hoti mere saath toh thik hai lekin thi na woh mere saath, main apni wife ke saath dance kar sakta tha, tumhe ek baar bhi nahi laga ki jo tum akr rahi ho woh hum sabko aapas mein kitna awkward kar dega, tum rohit ki wife ho, abhira meri wife hai, waha sab hume dekh rahe the aur abhira woh apne husband ko kisi aur ke saath dance karte hue dekh rahi thi.

manisha : mujhe toh pehle hi iss ruhi par shaq hota tha.

manoj : abhi chup raho.

madhav : ruhi yeh tumne thik nahi kiya, kyu kiya tumne aisa.

armaan : abhira se nazre tak nahi mila paa raha tha main,

dadi : armaan..

armaan : dadi sa mere ek sawal ka jawab de dijiye agar aaj dada sa hote aur aapke saamne woh kisi aur ke saath dance karte toh kya aapko accha lagta, nahi na.

dadi : sahi keh rahe ho tum, ruhi tumhe aisa nahi karna chahiye tha.

armaan : dadi sa abhira ki life mein na ab mere alawa koi nahi hai usse uski maa chinn gayi uska ghar chut gaya, aap jaanti hai abhira ko ko shauk nahi hai acchi bahu banne ka woh ek lawyer bann kar khush hai lekin jabse woh iss gahr mein aayi hai usne humesha koshish ki hai ki woh aapko disappoint na kare, sab kiya usne rasmein nibhayi, iss ghar ki bahu hone ka harr farz nibhaya, rohit ke jaane ke baad dadi sa aap kamre mein behosh ho gayi thi usne darwaza toda uske haath mein kaanch lag gaya tha phir bhi usse khud se zyada aapki fikar thi, maa ko koi khana nahi khila paa raha tha main bhi nahi lekin usne khila diya, aryan ko motivate kiya aur woh jeet paaya match, charu ke liye ladi sabse, krish ke liye ladi, jab rohit chala gaya tha na tab woh khud mujhse keh rahi thi ki mujhe ruhi ka dhyan rakhna chahiye itni toh selfless hai, dadi sa jab aapne usse aapke kamre mein pest control karne ke liye kaha tha tab woh hi karwane wali thi abhira agar koi zimmedari leti hai toh usse pura karti hai lekin tab bhi ruhi ne usse kaha tha ki tum jao woh kaam main karwa lungi aur abhira ne uss par trust kiya aur isne kya kiya jab usse daat padh rahi thi toh yeh chup chaap khadi hokar sunn rahi thi.

dadi : kya yeh sach hai ruhi.

she nodded.

dadi sa slapped ruhi.

manisha : bohot acche.

dadi : hume tumse yeh ummid nahi thi humne tumhe apni beti samjha aur tumne.

armaan : usse saza mili phir bhi woh kisi se nafrat nahi karti sabki utni hi care karti hai, pehle woh college jaane se kuch der pehle uth ti thi par jab aapne kaha ki usse sabke liye naashta banana hoga usne mana nahi kiya woh jaldi uthne lagi, dadi sa usne apna harr comfort zone chod diya, do din sirf do din maine aap logo ke saath khana nahi khaya toh main jee nahi paa raha tha toh sochiye woh toh roz apne tino time ka khana akele khati hai kamre mein, jab laakho ki bheed mein bhi hum akele ho na toh dil par kya guzarti hai woh sirf dil hi jaanta hai, ruhi ke ghar se jaane ke baad aap sab ne usse blame kiya, usne toh nahi kaha tha isse jaane ke liye phir bhi woh goenka house gayi aur usne ruhi se maafi bhi maangi aur ghar wapas chalne ke liye bhi kaha par issi ne mana kar diya kyu meri khushi ke liye taaki main aap sabke saath dining table par baith kar khana kha saku, jabki jo hua usme ruhi ki bhi uthi hi galti thi, dadi sa main maanta hu abhira ki aisi kai baatein bhi hai jisme usse improve hone ki zarurat hai aur jaha uski galti hoti hai main usse daat ta bhi hu lekin woh agar usse pyar se samjhaya jaaye toh woh samjhegi aur maanegi bhi aur best bahu bann kar dikhayegi usse ek mauka toh dijiye.

dadi : sahi keh rahe ho tum armaan hume maaf kar do, aaj hum abhira ko puri tarah se apne ghar ki bahu swikar karte hai.

everyone smiled.

armaan : thankyou dadi sa, aur tum ruhi aaj jo hua woh dubara kabhi nahi hona chahiye, dost hai hum par uss dosti ki limit hai aur usse kabhi cross mat karna warna main apni limits bhul jaunga, aur agar iss baat ke liye tum ghar chod kar jaana chaho toh jaa sakti ho darwaza khula hai aur iss baar koi tumhe lene nahi aayega.

he ran to his room..!!!!

-------------------------------------------------

I hope you all liked it.

Next part will be uploaded soon..!!!!!!

ABHIMAAN : OS /TS/ SSWhere stories live. Discover now