KMP 13

43 5 6
                                    

Hotel mein pohnchtay he unhon ny kuch dair aaram kiya. Phir unhon ny unpacking ki aur apni pasand k mutabiq kamra set kiya.

Kamra set krny k baad woh garam libaas pehn kr ghomnay phirny waly thay Jab Jungkook ny ghussay sy aah bari

"Kya Baby, mein Pyara nehi lga raha" Taehyung ny sheeshay mein daikhty hue pucha

"yeh pehnein gy aap? Apko pta hei na kitni baraf par rehi hei"
"Tumhara bahi b tou yehi pehnta hei sardi mein" pout
"Aap bhi na pagal hein, jahan bahi rehte hein wahan ki sardi aur yahan ki sardi mein bohot bara farq hei... Jayiye change kr k ayein"

What Taehyung was wearing 🤭

Taehyung apny kapray badal k wapis aaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Taehyung apny kapray badal k wapis aaya

"Haan, yeh hui na baat. Ab aap boht achy lg rahey hein" Taehyung kuch bolny wala tha pr Jungkook ny Taehyung k hont pr bosa dy ke Taehyung ko heran kr diya, "Pehly b achy lg rahy thay ab aur b achy lg rahy hein kyun k ab aap ny mausam k mutabiq kapray pehny hein"

Taehyung yeh sun kr muskuraya phir Jungkook ka hath pakar kr hotel k kamry sy bahar nikla.
Ghumtay phirty huey local shops pr kuch cheezein nazar ayi jo unhon ny irada bnaya k kal khareedein gy abhi sirf mausam enjoy krty hein.

"Oh wow, you can skii here?" Taehyung ny hairat sy kaha
"Yeah, do you want to?" Jungkook ny pucha "of course"

Sard mosam may dhakkay huye safaid posh paharo pe sard hawao may liptay soraj ki kirno ko dekh kr, Taehyung aur Jungkook dono barf ke aik todday par kharay huye, unka dil bechaini se dharak rha tha. Unho ny apny ski boots ko kassa, apny barfani chashmo ko thik kia, or aik dosry ki taraf jazbay ki lehr may dobi muskurahat se dekha

baray hi pursukoon tareeqay se ski board ko dhakeltay huye unho ne apna dhailwano pe skiing ka safar shuru kia. Aik sard hawa ke jhonky ne dono ke lubb o rukhsar ko chhua or aik muskurahat ki lehr paida ki, or yeh ehsas un safaid posh paharo ki dhailwani satah se utarnay ka tha. Baraf ke zarray unke sath machaltay hoye hawa may urr rhy thy jinka tahasur nihayat hi khushgawar aur araam dey mahool ki aqasi thi

Taehyun aur Jungkook nihayat hi silahiyar yafta tareeqay se daye or baye janib murtay huye or barfani chhattano ke beech agy barr rhy thy, unka yuu harkat krna nihayat hi umda maloom hota tha. Unho ne dil faraib muskurahato or dil kash nazaro ke bech aik dosry ko dekhna shuru kia, unki ankho may aik dosry ke pyar ki lehr ki chammak thi. Aur yunhi barf ki chattano or barf ke paharo ki woh khushgawar jhalak, jo unke dilon ko ehtminan or taskeen dey rahi thee woh na qabil e bayan ha.

Jaise hi woh us pur sukoon maqaam par pohnchay, jo ke bepanah khobsurat darakhton k jhurmat ke beech pohonchay tou unho ne raftar kamm krdi or uss jaga thehr gaye. Taehyung aur Jungkook aik dosry ke qareeb huye, unki nigahoo mein pyar muhabbat or aik dosry ke liye marr mitny ka jazba tha. Beghair labon ko siye aur kch kahey unka andaz e guftugo or muhabbat ka izhar na qabil e tareef ha, magar saqafat ko madd e nazar rkhty huye unho ne nihayat hi addab ke sth aik dosry se ankhein milai

Ab us sehat afza mukaam pe, jaha baraf ke girty zarray unke pass e manzar ko aik gehra rabta or bahimi khushi derhy thy. Woh behad gehry ehsasat may is qadar dooby thy k iss safar ko yunhi yakja reh k bassar krna Chahtay thy, or yumhi safaid chaddar may liptay paharo ke beech apny is muhabbat ke paikar jaise rishtay ko aur mazboot krna chahtay thy

Yunhi hathon may hath diye, unho ny dubara safar ka aghaz kiya, yunhi behad khobsurat makamat ki tafreeh se lutf undooz hoty huye aik dosry ke sath ko behad mehsoos kiya. Unka piyar, chonky kabhi zahiri na tha, magar batini toor pe woh behad mehsoos krskty thy uss pyar ko jo unke beech tha jo ke lafzo or rangon ko tarteeb dene se kaha bayan hopaiga woh unsuni, undekhi or unkahi kahani ke jaisa tha jisme shaq ki gunjaish na thi

or shahid yehi woh din tha jo unki Zindagi ka aik nihayat hi qeemti asasa tha, woh din jisme pyar ka assar zahir tha, woh din jisme muhimo ko sarr krny ka jazba tha, or woh din jisme barf ke todoo pe yunhi bahimi safar krny ka saleeqa tha

————-
Word count: 761
Date published: 12/17/23

As promised double update :)

Korean Meets Pakistani (Taekook) (On Hold)Where stories live. Discover now