~ we're a team, right? ~

Start from the beginning
                                    

Umeed broke out into tears as she threw her arms around Haya, crying into her shoulder.

"Sab ghalat ho raha hai. Kuch nahi manage ho raha mujh se."

Haya kept patting her back as Umeed repeated the same words over and over again.

"Kya ghalat ho raha hai? Kya Farjaad bhai se koi larayi hui hai?"

Haya asked once she had stopped crying, and had broken away from the hug.

Umeed shook her head.

"Niggo aunty ne kuch keh diya phir se."

She shook her head again.

"Phir kya hua hai, Umeed?"

"Sab theek kehtay thay Haya, mein nahi kar sakti handle ye sab. Ye café, ye business, mere bas ki baat nahi hai."

Haya furrowed her eyebrows.

"Aisay kyun bol rahi ho? Abhi aakhri haftay tum ne mujhe kaha tha ke customers bhi barh rahay hein. Ab kya ho gaya aik dum se?"

"Customers barhnay ke baad hi to mujhe apni qaabliyat ka pata chala hai. Mein nahi kar sakti ye. Har din kuch na kuch ghalat ho jata hai. Pasha sahab, chachi, Niggo auntie, sab theek kehtay thay."

Haya placed her hand on Umeed's.

"Aisa nahi hai Umeed, tum fazool mein aisa soch rahi ho – "

"Aisa hi hai, Haya! Bilkul aisa hi hai. Kisi din saray bartan toot jatay hein, kisi din gaahaq pe tapti hui chai gir jaati hai!"

"To is sab mein tumhara kya qasoor hai?"

"Café to mera hi hai na! Baatein to sab mujhe hi banayein gay na."

Umeed screamed out in frustration. Haya could understand she was not in the mood of talking right now.

"Acha tum aik kaam karo, change kar ke, rest kar lo thori dair. Tum ne kuch khaaya hai? Chai laati hoon tumharay liye."

"Mujhe nahi peeni chai. Bas kuch dair akelay rehna hai."

"Acha theek hai, mein sab ko bol deti hoon ke koi na aaye. Farjaad bhai ko bataya hai ke tum yahan ho?"

She shook her head.

"Umeed! Wo pareshan ho jayein gay!"

"Un ke khyaal mein to mein abhi tak café mein hoon na. Time nahi khatam hua abhi."

"Honay hi wala hai. Un ko message kar ke bata do ke tum raat yaheen raho gi."

"Un se hi to chup ke aayi hoon yahan...."

Umeed mumbled.

"Chup ke?"

"Unhein face nahi kar sakti."

"Umeed! Farjaad bhai thori tumhein kuch kahein gay!"

"Kahein gay nahi, par sochein gay to na, ke khuamkha itnay paisay lagaye is larki pe."

"Wo aisa kuch nahi sochein gay."

"Soch saktay to hein!"

"Impossible!"

"Khair, mene nahi karni un se baat."

Haya sighed as she left the room. Downstairs, everyone was curious about why Umeed was in such a bad mood.

"Wo café mein kuch issue ho gaya tha, us wajah se pareshan hai bas"

"Mujhe to pehle hi pata tha, yehi sab ho ga!"

Farmeed / One-shot SeriesWhere stories live. Discover now