Hearing this Karishma look at her injured hands.

Karishma : Haa bahut ache se rakh rahe hai aapki bacchi ka khayal.

Anubhav : Hmm aur ache se hi rakhna kyunki agar hume pata chala ki aapne humari bacchi ka dhyan ache se nahi rakha toh yaad rakhiyega SI Karishma Singh humse bura koi nhi hoga.

Karishma : Jii SP Sir .

Anubhav : Haa aur batao kya kya kiya aaj?

Karishma : Kuch nhi Thane gaye they toh Thane ka hi kaam kiya aur aap batao aapne kya kiya aaj?

Anubhav : Accha humne pehle toh subah meeting thi ek woh attend kari aur uske baad ek Thane ki bahut baar complaint aa rahi thi toh Vyom ke sath waha gaye phir uske baad Headquarters mein kuch file work tha woh complete kiya phir shaam ko ek colleague ki shaadi thi waha gaye waha se sidha ghar aa gaye aur change karne ke baad abb apni bacchi se baat kar rahe hai.

Karishma : Accha phir toh aap bahut thak gaye honge?

Anubhav : Haa lekin apni bacchi se baat karne ke baad hamari saari thakaan khatam ho gayi.

Karishma : Accha.

Anubhav : Haa aur batao tumhara bhaukaal kaisa chal raha hai?

Karishma ( in mind) : Bhaukaal hai hi kaha logon ne usko gundagardi banake rakh diya hai .

Karishma : Accha chal raha hai bhaiya . Bhaiya woh shaadi se yaad aaya Sunday ko toh marriage hai aapki.

Hearing this Anu bhaiya smiles.

Anubhav : Haa.

Karishma : Hmm. Finally aap dulhe raja ban hi gaye bhaiya finally itne sare twist and turns ke baad aap aur Madam ek ho hi gaye.

Anubhav : Haa aur iska sara credit aap ko jaata hai.

Karishma : Hume kyu?

Anubhav : Aapko isliye kyunki yeah sab aapki wajah se hi hua hai agar aap naa hoti toh shyd hum aur Haseena Jii kabhi ek nahi ho paate. Aapne agar Noor Jahan ammi ko samjhayaa naa hota aur Haseena Jii ko kabhi agar hamari sagayi chod kar jaane ka karan nahi batayaa hota toh shyd aaj bhi ammi aur Haseena Jii hume galat samjh rahi hoti.

Note : In this story Karu di ne sabko Anu bhaiya ke sagayi chod kar jaane ka reason bata diya tha Anu bhaiya ke sagayi se wapas aane ke baad.

In story.

Karishma : Arre bhaiya yeah toh hamara farz tha woh log aapko galat bol rahe they aapko dhokebaaz aur cheater aur bahot galat galat bol rahe they joh humse nahi suna gaya isliye humne unko sach bata diya wase bhi aapko toh pata hai naa koi aapke baare mein kuch bhi galat bolta hai toh humse nahi raha jaata hai hum aapke bare mein galat nahi sun sakte hume gussa aata hai jab koi aapke bare mein kuch bhi ulta sidha bolta hai toh.

Anubhav : Yeah baat toh hai infect tum toh hume khud ke bare mein bhi kuch galat nahi bolne deti ho.

Karishma : Hmm, hum aapko aur aap hume joh bolde so bolde lekin agar koi aur aapke bare mein kuch bolde chaahe aap kudh bhi kyu naa ho humse sehen nahi hota.

Anubhav : Hmm aur agar aapke bare mein bhi koi galat bolta hai toh woh humse sehen nahi hota hai . Aur hum aapko yaa aap hume joh chahe jab chahe bol de lekin koi third person kuch bole toh hame bhi bahut gussa aata hai.

Karishma : Wahi toh aur bhaiya hume toh esa lagta hai ki hum akele kamaal hai lekin jab sath mil jaye tab dhamaal hai..

Anubhav : Haa yeah bhi sahi hai accha bacchi tumne shaadi mein kisi ko invite kiya hai yaa nahi?

Hum hi kyu ?( Anushma) Where stories live. Discover now