Jai Hind.

240 22 17
                                    

HAPPY INDEPENDENCE DAY....

"Kehte hai har deshavaasi ke man mein apne desh ke prati ek alag lagaav hota hai, kuch log hote hai jo iss mitti ke liye apni matrbhoomi ke liye apni jaan kurbaan karne se pehle ek baar bhi nahi sochte, yeh mitti unka ghar ka aur is desh ka har naagrik unka parivaar. Aaiye aaj aapko ek aise shaks se milate hai jo logon ki nazro mein toh ek deshdrohi thee, lekin sach kuch aur hi tha, aayiye jaante hai unke baare mein kaun hai voh jo apne desh ko dushmano se bachaane ke liye apne aapko sabke saamne ek gaddar bata diya... Aaiye jaante hai" Said the news reporter on the TV screen.

MPT was sitting on badnaam's shop in the evening having tea (zeher) and gossiping, relaxing after a tough case, on the day of 15th August. Flag hoisting and the program was done in the morning itself.
Badnaam switched the channel where the news was being played....

Listening to the news reporter everyone started looking at the TV screen, as all were curious to know about the one, whom the reporter had been praising about.

"Offo iss add ko bhi abhi aana tha, voh reporter kis ki baat kar rahi hogi, itni tareef kar rahi thi voh" Santosh said pouting cutely.

"Yeh baat toh sahi kahi tumne Santu, jis tarah tareefon ke pul baandhe hai us reporter ne, utsukta badh gayi jaanne ke liye ki kaun hai voh jaabaz " Karishma said sipping the zeher.... I mean her chai.

" Firse aap sabhi ka swagat hai humare show 'Humare Heroes' pe....
Lekin yeh kahani na toh kisi army officer ki hai, aur na hi koi police officer ki, yeh kahani hai ek secret agent ki.
Vaise toh secret officers ka kaam kafi gopniye hota hai par iss baar baat kaafi romanchak aur rooh kaanp Jane wali thi, isliye isse aap sabke saamne la rahe hai hum" The reporter said.

" Ek officer, jinhe na apni jaan ki fikar thi na apne abhiman ki, fikr thi toh bas apne desh ki jiske kuch secrets dushman pata lagane ki firaak mein thee. Yeh officer IB ke sabse behtareen officers mein aate hai inhe jaise hi pata chala ki kuch secret information ki hera feri hone wali hai unhone plan banaya aur turant apni team ko alert kar diya....

Fir thode din baad hua yeh ki inke ek team member ko voh information mil gayi lekin voh shaheed ho gaye, lekin us information ko kisi safe haatho mein pohoncha diya.

Humare iss officer ne koshish ki ki jaake uss information ko vapis apni sahi jagah par laa de lekin, itna aasan nahi tha kuch bhi, jaise hi voh information lene ke liye pohonche, pata chala ki jin haatho mein usse diya tha dushmano ne unhe bhi maar diya, lekin phir kuch samay chaan been karne ke baad pata chala ki jin haatho mein voh information di thi, voh ek police officer the. Lekin pata nahi kya hua, uss police officer ne information kahi surakshit rakh di hai.

Phir kya tha, humare hero apni puri jaan lagaakar usse dhundhne lag gaye. Par gadbad toh tab hui jab unn dushmano ne humare hero kidnap kar liya. Aur unki jagah ek aise aadmi ko bhej diya jiski shakal bilkul humare officer se milti thi, uss behroopiye ne jaakar unn police officers se information leni chahi, lekin unhone uss behroopiye ko maar diya, kyunki ek IB ke senior ne kaha tha ki humare hero jo hai, voh ek gaddar hai, aur kisi bhi haalat mein uss tak voh information nahi pohochni chahiye.

Police ke liye case yahi khatam ho chuka tha, unhe sach ki khabar nahi thi abhi tak. Lekin humare hero samay dekhkar unn dushmano ki firak se bach nikale, aur uss behroopiye ki maut se sabko yeh lagne laga ki humare hero mar gaye, lekin nahi..... Asli khel toh iss ke baad shuru hua.

Jai HindDär berättelser lever. Upptäck nu