Mysterious Lady!?

Start from the beginning
                                    

Quarters

Santu was switching her sides as she wasn't able to sleep. This broke Babita ji's sleep.

BS: Santosh, itna asantosh kyun hain tumhara mann? (Sitting on bed)

Santu who was on the opposite side, opened her eyes and sat on bed.

SS: Bhook lag rahi hain. (Cutely holding her stomach)

BS: Kya? (Surprised)

SS: Bhook...Bhook madam... (loudly)

BS: Shhh...dhire bolo. Hume sunai de raha hain.

SS: Toh "Kya" kyun boli aap? (Frowns cutely)

BS: Humari galti hain.

SS: It's okay. (Smiled)

BS rolled her eyes and said,

BS: Laao hum kuch bana dete hain tumhare liye.

SS: It's okay madam, main Maggie bana lungi.

BS: Aaj kal ke bacche! Jab dekho tab maggie. Maggie healthy nahi hoti hain, jaanti ho na?

Santu nods.

BS: Aise hi kitni patli ho, dhang se khaaogi nahi toh kaise chalega Santosh. Tumne mess mein khana nahi khaya?

SS: Bhook nahi thi madam. Aaj kal pata nahi bhook hi nahi lagti time pe. Par aap kaha gayi thi, mujhe ghar chhodke?

BS: Kuch kaam tha. Voh sab chhodo.
Naa bhi mann ho fir bhi bhooke pet nahi sote. Hume laga tumne khana kha liya, issiliye hum mess mein akele khake aaye.

SS: Madam aisa mere saath hota reheta hain. Duty pe bhi khana skip ho jaata hain. Koi baat nahi, aap aaram kijiye main bana lungi kuch healthy. (Sadly)

BS: Humne kaha na hum bana dete hain. (Firmly)

SS: Sacchiii? (Her eyes shined with happiness)

BS: Raat ke 1 baje hum mazak thodi karenge. Batao kya khaogi? (Softly)

SS: Jo bhi aapko convenient lage madam. (Hesitantly)

BS: Aree, batao itna hichkichana kyun? Kya mann hain khane ka?

SS: Aaa...mujhe na bhajiye khane ka bohot mann hain madam. (Excitedly like kid)

BS: Kiske?

SS: Potato ke...mujhe bohot pasand hain. (Rolls her tongue on her lips)

BS: Hume bhi. Chalo hum banake aate hain. (Gets up)

SS: Main bhi aati hoon.

BS nods.

...

They went in kitchen and Santu helped Babita ji in cutting potatoes.

BS: Accha ek baat batao, yeh aalu (potatoes) hum paani mein kyun rakhte hain, kaatne ke baad?

SS: Dekha toh bohot baar hain madam, mummy ko aisa karte par kabhi socha nahi.
Lekin haan ek baar jab maine potatoes cut kiye the tab unhe paani mein nahi dala aur unka colour change ho gaya. (Peeling them)

BS: Taste mein kuch antar aaya tha uss din.

SS: Unka colour brown ho gaya tha,toh maine fhek diye.

BS: Bohot badiya. (Sarcastically)

SS: Thank you. (Smiled innocently)

BS: Hey bhagwan! (Taking a deep breath)
Accha ab hum bataye aisa kyun hua? (Chopping potatoes)

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now