sirat decition

Começar do início
                                    

Rashid - aur huzaif Kaam kaisa gya koi mili?

Junaid- koi mili matlab, hmmm kiski baat ho rahi hai😏😏

Saad Junaid ke sir pe Marta hai

Saad- Abe tharki huzaif apni secretary ki baat ker raha hai

Rashid- ha to kaisa hua

Huzaif secretary ke naam se hania ko yaad kerne lagta hai aur uske muh mai choti se smile a jati hai

Huzaif- Haan mil gyi hai, bilkul perfect.

Rashid- chalo badiya baat hai

Waha per koi tha jo kisi aur chiz ke bare mai soch raha tha

Saad-Yasir kya hua kis chiz ke bare mai soch rahe ho

Yasir-uhm kuch nahi bas aise hi chalo raat bohot ho gyi mai sone ja raha hu.

Sab log- khuda Hafiz

Time skip next day

Kitchen

yaha per sirat doodh ubal rahi thi but uska dhyaan kahi aur tha

Tabhi doodh ubal ker niche gir jata hai

Tabhi waha saisha a ke gas band ker deti hai

Saisha-are dekho doodh ubal raha hai

Sirat apne khwabo se bahar ati hai

Fir panic hoke apne hatho se patile ko udhane lagti hai

Sirat- aah!! ( blowing her finger)

Saisha-kaha gum ho sirat sab thik to haina, aj pehli baar kahi gum ho tum,

Sirat Bina kuch kahe kitchen se bahar chali jati hai aur living room mai apne abbu ke pass chali jati hai

Sirat-abbu muje apse kuch kehna tha

Abbu-Haan kaho beta.

Sirat-abbu ab mai 24 saal ki ho gyi hu ab ap mera nikah padwa dijiye

Saisha, ammi,abbu-😨😧😯.

Abbu-beta yeh kya keh rahi ho, ager koi baat hai to keh sakti ho.

Sirat-abbu mai sahi keh rahi hu ap mere liye rishta dhundhna shuru kare mai ready hu,ap jisse bhi nikah kerwayenge mai bina kuch bole kerlungi.

Ammi- per saisha se pehle kaise karwa sakte hai, saisha to sabse badi haina.

Saisha-are ammi aj ki generation mai bada chota kon dekhta hai,aur meri sirat ki umr mai sirf ek saal hi to fark hai.

Abbu-sahi keh rahi hai saisha, aur waise bhi sirat ko to bachpan shaadi shok hai to kerwa lete,waise bhi kai sare ladke hamari beti ke liye rishta de rahe hai.mai aj hi unse baat kerta hu

Ammi- ji jaisi apki Marzi

Sirat apne room mai chali jati hai

Saisha ki yeh baat palle nahi padi ki achanak sirat aisa faisla kaise le sakti hai.

Time skip at park

Junaid yah per as usual flirt ker rah hai but jisse flirt ker raha hai wo Faiza ki friend hai

Faiza ice cream lane gyi Hui hai

Faiza ice cream apni friend ko deti hai

Faiza- yeh lo ayza

Faiza ki nazar Junaid per jati hai jo use hi tharki nigahon se dekh rah tha

Faiza uski aisi Nazar dekhke bolti hai

Faiza- kyu bey isse pehle koi maal nahi dekhi kya

Junaid - dekhi  to bohot hai but koi tum sa nahi

Faiza-ya Allah,ager aise flirt karoge to mera jiya dhadak ker mer jayega

Junaid-haye,mai mer gya*apni ex ke paas*

Faiza- acha mer gye ho kaho to janaza padwa du.

Junaid (khade hote hue)ab to padwa hi do

Faiza-muje to lagta hai ki jo mere khwabo mai ata hai wo kahi tum to nahi

Junaid- ager mai apko ched raha hu to ho sakta hai.

Faiza- hat bey luccha.

Fir apni friend ko leke waha se chali jati hai

Junaid - kehte hai khuda ne is jahan mai kisi na kisi ko banaya kisi ke liye,tere milne ko khuda ka ishara Manu,mujko banaya tere hi liye,kuch to hai tujse rabta.

Itna dailog marne ke baad wo bhi chala jata hai

Time skip

Yaha per Rida apni friend ke sath ghumne ayi hai tabhi waha per koi full speed se jata hai, jisse Rida flinch ho jati hai

Rida-oye teri ma ke eklote bete,teri behen ke ache bhai.

Nida- kya bolti rehti hai tu

Rida- dekha nahi kaise mere uper bike ghusaye ja raha, apni ankhe tashrif ke ander daba ker chala raha hai

Rashid pov

Rashid mai yaha apne college se bahar aya tabhi muje kahi se galiyon ki awaz sunai Dene lagi to mai udher gya

End of pov

Rashid- excuse me apko yaha per aise abusive language nahi bolni chahiye apko dikhayi nahi deta ki apke ankho ke dikh samne ek college hai

Rida-to isme meri kya galti hai, wo andha insaan mere uper bike chadke ja raha hai to mai apna gussa bhi nahi nikal sakti

Rashid-but you have to control your tongue

Rida- dekho yeh English na mere samne na jhado samjhe

Rashid- ap dikhne mai to padi likhi dikhti hai

Rida-dekhne mai lagti hu na to ab jao

Nida-sir jo dikhne mai lagta hai na waise kabhi nahi hota 11v fail hai aur 10th mai to badi mushkil se 3 baar fail hoke nikala hai is mandbudhhi ne

Rashid-dikhne mai lag Raha hai

Rida- Haan to muje padhayi mai koi interest nahi hai is hi liye ab jao na apna kaam karo jake,chal nida

Itna kehke Rida nida ko leke chali jati hai

Rashid- aj kal ke logo mai akal naam ki chiz hi nahi hai.
.
.
.
.
.
.
.
..
.
.
.
.
.

Ok here I'm with my another chapter hope u like this chapter o know it's not that funny but I'll try to make it, please vote and comment and let me tell u who met whom

Rashid-rida

Huzaif-hania

Junaid-faiza

Tasleem-tahir

Have a good day





jab they metOnde as histórias ganham vida. Descobre agora