NINE

1K 90 52
                                    

In Murtasim's room.

Murtasim is reading some book and thinks;

"Mujhe apni scooter se gira ke ek call to kar sakti thi na hal chal puchne ke liye.Aksar aisi mamlo mein normal log puchte hai.Shayed uski jaise abnormal nahi puchte."

Right then Murtasim's phone rang up and he sees call is coming from an unknown number.He thinks maybe it's Meerab.

He takes the call and said;

Murtasim:Hello!
Caller:Mujhe pehchana Sir?
Murtasim:Nahi.
Caller:Mein Nida.

Murtasim makes a irritated face and said;

Murtasim:Kuch kam hai aap ko mujhse Ma'am.
Nida:Raat abhi baki hai.Socha aap se baat karlu.Shayed aap bhi mere call ki intezar kar rahe honge.
Murtasim:Ji nahi.Mein raat ho yaa din mein kisi ki call ki intezar nahi karta meri behen.
Nida:Mujhe pata hai aap jitna apni zuban se Inkaar karde aap ki dil mein to ikrar hi hai.Sharma rahe hai na aap mujhse.
Murtasim:Dekhe Nida ma'am mere dil mein Aur zuban pe aap ke liye kuch bhi nahi hai.Aur woh chitti bhi maine aap se nahi likhi.Please aap aise maat kijiye Aur mera picha chod de.Khuda ke waste mujh pe rehem kare.

Murtasim cut the call and put her number on blocklist.

Murtasim:Pata nahi woh chitti mere naam se us chipku ko bheja kisne.Hath dho ke puche pad gayi hai.Aisi chipku aurat hi dekhna baki reh gaya tha so dekh liya.

He again concentrated on his book.

In the next day.

Meerab narrated the whole incident to her friends.

Saba:Teri himmat bhi la jawab hai.Sir ko sirf scooter pe bithaya hi nahi hai.Gira bhi diya.
Meerab:Pise handal pakad ke nahi beith sakte the.Zara kya scooter hile  woh gir gaye isme meri kiya galti.
Humza:Sir ne Shayed tauba kar liya hoga tere pise kabhi scooter pe nahi beithenge.
Meerab:Aur Mujhe unhe aap ni pise bithane ka shok bhi nahi hai.Waise girne ke baad jo sir ne shakal banai the woh yaad karke Mujhe raat ko badi hasi aay.
Saba:Tune Sir ki khairiyat pucha?
Meerab:Ha pucho Aur woh jaise Mujhe sidhe jawab de denge.Waise bhi kaal ke baad unka gussa Aur jyada hoga.
Saba:Badi anokhi hai tu.
Meerab:Duniya mein ek piece.
Humza:Waise Agle class shuru hone main kafi waqt hai.Kya kare aab.
Saba:Games khelte hai.
Humza:Konsa?
Meerab:Truth or dare.
Saba:Ok.

Murtasim was passing by the cafeteria and sees how Meerab giggled with her friends.He feels irritated and said;

"Logo ki gira ke unki haal chal puchne ki wajai dath nikal kar has rahi hai.Mein bhi kisse ummed lagai thi ke puchegi mere bade mein.Stupid!

He leaves from there.

In the classroom.

Murtasim taking the class.Meerab is busy playing games on phone instead of paying attention in class.

Saba:Phone rakh de Agar Sir ne dekh liya to teri Khair nahi.
Meerab:Aaj pehli baar kar rahi hu kya aisa.Aaj tak kisi ne nahi pakad paye.Relax dear.
Saba:Tu kabhi sudharnewalo mein se nahi hai.

Meerab is playing candy crash and suddenly someone snatch the phone from her.

Meerab looks up and sees it's Murtasim.

Murtasim:Miss Ahmed yeh classroom hai aap ka cafeteria nahi.Agar class mein aap ka maan nahi lagta to class mein aati kyun hai.
Meerab:Sorry Sir!

Murtasim looks at her phone and shocked to see it.But he didn't showed up infront of the class.

Murtasim:Yeh phone aab mere pas rahega.Class khatam hone ke baad lee jayega aake mujhse.

Murtasim again starting the class.

Saba said to Meerab.

Saba:Pehle hi warn ki thi Lekin tu to kisi ki nahi sunte.Aab bhugat.

Meerab makes a face.

After the class Meerab meet with Murtasim in his office room.

Murtasim:Miss Meerab jaha tak aap ko dekke lagta hai aap ki Bachpan bohot Pehle khatam ho chuke hai to Phir aap ki bachpana aab tak khatam kyun nahi ho rahe.
Meerab:Sorry Sir!
Murtasim:Har ek blunder ke baad ek common dialogue sorry.Galti karti kyun hai jo bar bar sorry bolni pade.Aur yeh kiya hai aap ki phone pe.Mere picture ko profile de ke rakha hai.Why?
Meerab:Sir dosto ne Mujhe dare diya tha aap ki photo 24 hours wallpaper de ke rakhu phone pe.
Murtasim:I think it's high time aap ki harqate bardast ki bahar jaa rahe hai.Aap ki guardian ka number de Mujhe unse baat karni hogi.
Meerab:Sir aisa na kare please.Mere baba bohot bimar insaan hai unhe bohot bura lagega agar university se mere liye shikayet jai to.
Murtasim:To aap beti hoke unki bade mein kyun nahi sochti?
Meerab:Adat ho gayi hai sir hasi mazak karne ki.Doctor ne bhi kaha hai mein humesha khush rahu.Bachpan mein heart ka operation hua tha mera.Baba ne bohot mushkil se paise ka intezam kiya tha.Aaj bhi mere bade mein soch soch ke woh kitna bimar rehte hai.Ek taraf ghar ki kharche ki fiqr dusri taraf meri chinta.Unhe ek aur jhatka maat dijiye Sir.Woh seh nahi payenge.Bohot mushkil se pada rahe hai woh Mujhe yaha.Ek chota sa school mein naukri karke.Please Sir unhe kuch maat bataiye.

Murtasim feels bad for her and gives her phone and said;

Murtasim:Lijiye aap ka phone.Nahi baat karta aap ki parents se.Lekin aap bhi thoda mature ban jai.Aur ha wallpaper ko hata de.
Meerab:Ok Sir.Aab mein jau.
Murtasim:Ji jai.

Meerab left the room and then another professor entered here.

Professor:Aab kiya kya hai Meerab ne.
Murtasim:Kuch nahi Sir.Bas aise hi.
Professor:Pata nahi itni khurafate kaise karti hai yeh ladki.Bohot sare teachers ne isse Pehle ise thik karne ki koshish kiye the par kuch hua nahi.Aur ghar bhi shikayet nahi bhej sakte.
Murtasim:Suna hai unki father ke bade mein.School teacher hai na woh.Bohot mushkil se guzara kar rahe hai woh log.
Professor:Aap ko bhi chuna laga diya?
Murtasim:Matlab?
Professor:Inki father school teacher nahi hai ek bohot renowned lawyer hai.Aur har saal is university ko bohot bade rakam donation dete hai.Is liye to koi inke bade mein inki parents se shikayet nahi karte.Meerab ki baton ka Yakeen kabhi maat kijiye ga.Apni ek galti chupane ke liye hazaron jhoth bolegi.
Murtasim:(In mind) Phir se ullo banake chali gai Aur mein ban bhi gaya.

Author's Note:What happened to Meerab now?

𝑸𝑼𝑩𝑶𝑶𝑳 𝑯𝑨𝑰 𝑰𝑺𝑯𝑸 𝑻𝑬𝑹𝑨Where stories live. Discover now