After 20 minutes.

Anu bhaiya had prepared the lunch .

Anubhav : Karu jaldi se aa jao khana lag gaya hai.

Karishma : Aaye bhaiya  .

Then Karu di tv off karke dinner table peh chali jati hai.

Karishma : Kya banaya hai bhaiya ( said sitting on chair) .

Anubhav : Khichdi banayi hai behna.

Hearing khichdi Karu di starts making faces.

Karishma : Kaa ama bhaiya apne khichdi kahe banayi hai apko pata hai naa hume ee khichdi wagera nahi pasand hai .

Anubhav : Kyunki tumhari tabiyat thik nhi hai aur hame pata hai tumhe khichdi nahi pasand but doctor ne tumhe healthy khana khane ke bola tha isliye tumhe khichdi khani padegi.

Karishma : Ama bhaiya toh healthy khane mein khichdi ke alawa aur bhi toh item hote hai naa. Aur hame nahi khani ee khichdi wichdi.

Anubhav : Hote hai lekin abhi hamare pass khichdi hi ek option thi isliye abhi tum khichdi khao shaam ko hum kuch aur bana denge.

Karishma : Nahi bhaiya humko nahi khani khichdi.

Anubhav : Khao khichdi .

Karishma : Nahi.

Anubhav :  Karu khichdi tumhe khani padegi tumhe khana kha ke dawai bhi toh leni hai.

Karishma : Lekin.

Anubhav : Dekho agar tumne khichdi nahi khayi naa toh hum tumse baat nahi karenge.

Karishma : Thik hai khilayea khichdi ( said while making faces)

Anubhav : Yeah hui naa baat.

Then Anu bhaiya Karu di ko khichdi khila dete hai and khud bhi kha lete hai.

After lunch Karu di eat her all medicine.

After eating.

Karishma ( in mind) : Lunch aur medicine toh ho gaya tv bhi dekh liya abb kaa kare hum bahot bore ho rahe hai ( after thinking something) . Haa yeh kar lete hai agar woh free hue toh  kar lenge yeh wase bhi yeah sab kiye hue kitna lamba time ho gaya hai. Bhaiya  se puch hi lete hai.

Karishma : Bhaiya apka kaam ho gaya kaa headquarters ka yaa abhi thoda baki hai?

Anubhav : Nahi pura ho gaya kyun kuch kaam tha kya?

Karishma : Nahi kuch kaam toh nahi tha woh kya hai naa humein bahut bore feel ho raha hai toh hum soch rahe they kyun naa app aur hum saath milke hamaare puraane games khele jaise pehle khelte they isse hamara man bhi lag jayega aur purani yaade bhi taza ho jayengi. Aur wase bhi kitna time ho gaya hai hume apke sath woh sab games khele hue.

Anubhav : Hmm baat toh tum thik keh rahi ho chalo chalte hai games khelne.

Karishma : Chaliye 

Then Anushma went towards game room ( they have game room also in their house). And they played many games like ludo, carrom, chess, cards, video games etc.

At game room

Anushma were playing video game now then suddenly karu di's headache starts again.

Karishma ( in mind) : Ama ee sir kahe dukhne lag gaya. Kaa kare bhaiya ko bata de. Nahi nahi woh pareshaan ho jayenge ek kaam karte hai isko sehan kar lete hai.

Then Karu di starts ignoring headache. And Anu bhaiya notice her because she was again and again putting her hand on her head.

Anubhav ( in mind) : Yeah Karu baar baar sir per haath kyu rakh rahi hai kahi iski tabiyat toh kharab nahi hai?

Anubhav : Tum thik hona Karu?

Karishma : Haa edkum thik hai hum hume kya hona tha.

Anubhav : Nahi woh tum baar baar sir peh haath rakh rahi ho toh hume laga ki tumhari tabiyat thik nahi shyd.

Hearing this Karu shocked.

Karishma ( in mind) : Ama ee kaa kar diye hum abb bhaiya ko shak hogaya kaa kare sach bata de. Nahi nahi sach bataya toh woh bahut pareshan ho jayenge ek kaam karte hai jhuth bol dete hai abhi baadme kabhi sach bata denge.

Karishma : Arre bhaiya hum ek chaukash hai woh kya haina ki hamare baal baar baar muh peh aa rahe they toh hum haath se usko baar baar hata rahe they.

Anubhav : Accha.

Karishma : Haa

Anu bhaiya was not satisfied with Karu Di's answer but at that time he keeps quite because he knows that she can't tell him the truth directly.

So guys this was your third part I hope you like it and from next part the clash between mpt and Karu di starts..

So guys milte hai next part ke sath tab tak ke liye

Tata bye bye stay happy and healthy.

Do vote and comments.

Jai Hind.













Hum hi kyu ?( Anushma) Hikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin