HM: IPC section...

Shivani: 304 A. Pata hain mujhe.

HM: Toh abb yeh bhi bata do, aage kya socha hain? (Looking at the books)

Shivani: Chingari gang join karne se pehele degree ho gayi thi meri. Lawyer ban chuki thi main. Par 5 saalon tak Chingari gang mein rehene ke kaaran legal practice ki exam nahi di.
Toh socha isski taiyari kar leti hoon idhar.

HM: Kya baat hain Shivani. Yeh hua na U-turn maarke sahi raaste pe aana. (Impressively)

Shivani smiled widely.
.
.
Shivani: Kaash yahi raasta jab Tai ne kaha tha tab chun li hoti, toh aaj voh humare saath hoti.

...
She remembered Saira bi and both's eyes were filled with tears.
...

HM: Voh jaha bhi hogi, iss Shivani pe garv mehsoos kar rahi hongi. Hmm?

Shivani wiped her tears and nodded.
.
.
HM: Kab hain All India Bar Examination?

Shivani: January end.

[Note: All India Bar Examination (AIBE) is conducted by Bar Council of India for law graduates willing to start practice. After clearing the exam they will be eligible to practice in any court in India.]

HM: Fir tum humare side hogi na. Thane mein aane wale cases mein tumhari madad mil jaayegi.

Shivani: Sahi ke side rahungi Jazbaaton wali bai!

HM: Yeh hui na baat! (Happily)

Shivani: Par aise bhi tu kaha galat ki taraf se ladegi. Toh baat ek hi hui.
Umeed karti hoon, main tere aur tere thane ke kabhi kaam aa paau.

HM: (smiled) Tum aage jaake bohot logo ke liye misaal banogi Shivani. Apne past ko apni taakat banake jis tareeke se tumne kabhi haar nahi maani, Inspiration ho tum. (Proudly)
.
.
Shivani: Bas, bas!
Sahi keheti hain Karishma Singh. Tu apne Jazbaat se kisi ka bhi dil jeet sakti hain.

Haseena chuckled.

Shivani: Vaise, Karishma Singh aur thane ke baaki log kaise hain?

HM: Sab theek hain. Infact Karishma Singh se shayad tum bohot jaldhi milo. Aaj toh voh busy hain.

Shivani: Accha, aab toh bata, mujh se kya pucchna chahti hain tu?

...

MPT

CC: Santu ji, Billota kidhar hain?

SS: Billu ji abhi tak nahi aaye?

CC: Nahi na. Issi ka toh tension hain, kahi koi utha naa le jaaye usse. Phone bhi band hain.

PJ: Aa jaayega. Chinta mat karo.

Billu ji enters hurriedly.
.
.
.
BJ: Ho gaya kaand. (Huffling)

SS: Aapko fir se bheed ne peeta?

CC: Ufff yeh Maasumiyat!

BJ: Tum dono, police ka licence hi cancel karwa lo. (Gritting his teeth)

PJ: Bataoge bhi, hua kya?

BJ: Ajay jaha ruka tha usski tip milli thi mujhe.

SS: Yeh toh acchi baat hain na Billu ji.

BJ: Poora toh sunn lo. Main jab vaha gaya tab tak Ajay bhaag chuka tha.

CC: Aisa bhi toh ho sakta hain, tumhari tip galat ho.

BJ: Mujhpe...mujhpe shak kar raha hain tu Nithalle.
Billu the Spy ki khabar kabhi jhooti nahi hoti.

PJ: Nahi Cheete, Bille ki baat mein dum hain. Uss tak zaroor yeh khabar kisi ne toh pahuchayi hain.

SS: Lekin voh kaun ho sakta hain Pushpa ji? Uss time thane mein toh hum 6 hi the.

PJ: CCTV check karo Santu.

Santu immediately went to her desk and started checking.

...

Central Jail

HM: Tum Ajay ko bohot acche se jaanti thi na, toh kya tumhe koi idea hain voh kaha reh sakta hain?

Shivani: Mujhe kaise??...

HM: Dekho Shivani. Tum kaafi time tak uske saath rahi ho. Usske purane doston se wakif ho.

Shivani: Usske naye dost bhi toh bane honge.

HM: Nahi. Ajay aise hi kisi pe bharosa nahi karega. Voh vahi chhupa hain jaha se uska koi poorana naata ho.

Shivani: Lekin usse court ne free kar diya na. Toh tujhe kyun lagta hain voh chhupa hoga?

HM: Humne usske ghar aur aisi har jagah pata kiya jaha voh raha karta tha, par voh kahi nahi hain. Issiliye hume laga.
.
.
.
Shivani starts thinking, trying to recall.
.
.
Shivani: Sumit chacha ke Ghar. (Suddenly)

HM: Kaha aur kaun hain yeh?

Shivani: Sumit chacha. Ajay ke kaafi close the. Unki death ke baad Ajay aksar vaha jaata tha.
Abhi toh Ghar bhi khaali hoga. Shayad vahi ho.

HM: Great! Address batao hume. (Taking her mobile out)

Shivani: Kanpur road, plot no. XX.

HM: Thank you. Umeed karte hain koi toh clue mille. (Standing up)

Shivani stands too.

Shivani: Main aur kuch sochti hoon. Kuch yaad aaya toh bataungi.

HM: (nods) Jald hi milenge.
Padhai acche se karna. All the best!

Shivani: Tu bhi dhyan rakh. Aur Thank you!  (Smiled)

Haseena smiled and left.
.
.
Shivani: Deva tila yash de. {Marathi}
[God, give her success]

(Looking at Haseena's vanishing figure)

•••

Who leaked the information?

Stay Tuned

Thank you for your valuable suggestions in the previous part. I will surely ponder over them! 🦋

How was the part? Do comment!

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now