THE BEST THANA

303 36 8
                                    

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*

"Bas! Hume aur koi excuses nahi sun-ne hain aap logon ke iss kartut ke liye. Hadd hoti hain kisi cheez ki" Haseena angrily yells at her team as they are not reporting any complaints by people. She continues, "Bas ek competition jeetne ke liye aap log aapne kaam se samjhota kar lenge, yeh humne kabhi sapne mein bhi nahi socha tha!"

Karishma replies calmly but sternly, "Maaf kijiyega Maddam sir, par aap kuch zyada bol gayi. Haan, yeh sahi hain ki humne F.I.R darj nahi ki. Lekin apne kaam se samjhota nahi kiye hum."

Santu supports Karishma, "Yes, Maddam sir! Chahe Karishma madam ho ya hum mein se koi bhi, hum sab first preference apni duty ko dete hain. Humne apne kaam mein koi bhi laparwahi ya kaamchori nahi ki."

"Haan Maddam sir, aap please aisa mat boliye ki hum logon ne apne kaam se samjhota kiya hain" Cheeta adds.

Pushpa ji too gives her openion, "Maddam sir, ho sakta hain ki hum logon ka rasta sahi na ho. Par hum logon ne jo bhi kiya woh iss thane ki bhalaayi ke liye kiya. Agar hum best thana competition jeet gaye aur inaam ki rakam jeet li toh humare thane ke liye achchha hoga naa!"

Haseena loses her temper and roars, "Aur iss rakam ko jeetne ke liye kya keemat chukani pad sakti hain maaloom bhi hain aap logon ko" She comes in front of Santu and says while looking into her eyes, "Kya keh rahi thi aap? Ki aap logo ne koi bhi laparwahi nahi ki. Kuch bolne se pehle kuch soch bhi liya kijiye, Santosh."

She takes pause and continues, "Jitne bhi cases aapne bagair complaint darj kiye solve karne ki koshish ki hain naa unn sab cases mein koi na koi high profile insaan juda hua hain. Agar aap bina kisi F.I.R. ke, bina kisi warrant ke, ya bina kisi kanooni prakriya ke unn par action lete toh iska anjaam jaante bhi kya hota. Aap sabki wardi chin sakti hain. Suspension toh hota hi, aur saath hi saath kitna mental harrasment hota yeh soch bhi nahi sakte aap."

"Hum senior hain aapke, aur iss naate hume humare seniors ko jawab dena hota hain. Aur aapki yeh hi harkatein chalti rahi toh hum chah kar bhi aapko bacha nahi sakte. Aap log samjhte kyun nahi!?" She finally takes a deep breath.

Karishma replies, "Haan toh ab kaun sa bacha rahi hain aap, Maddam sir aap hume? Nahi, hume batayiye ki aapke raste par chalne se bhi ka mil raha hain. Agar hum yeh best thana pratiyogita haar gaye toh waise bhi yeh mahila police thana band ho hi jaayega. Aise mein aapke jazbaaton wali ideology ka kya achaar tale hum."

"Karishma Madam, achaar talte nahi, daalte hain aur usko sukhate hain dhoop mein. Pakode talte hain" Santosh's innocence overflows at this time. 

Haseena rolls her eyes while Karishma makes a weird face. 

Cheetah blushes, "Uff... yeh masoomiyat, Santu ji. Ek din maar hi daaliyega aap apni iss masoomiyat se hume. Santu ji, aap itna kaise..."

His words stop as Karishma's dorsal side of her palm lands very hardly on his cheek and the system of his face gets shaken for some seconds. 

"Nahi, matlab ka tumhe samay, haalat, mahol, koi cheez samajh nahi aati ka jo har waqt iss jadbuddhi se ishq ladane mein gum jo jaate ho. Akal ka chor bazar mein 50 rupaye mein bech kar aaye ho ka?" 

Haseena shouts, "Bas! Abhi humari baat suniye aap sab. Bahut pyaar se samjha liya humne aap sabko. Lekin ab warning de rahe hain. Aaj jo hua, woh phir se nahi hona chahiye. Agar koi bhi insaan complaint leke yanha aata hain toh uski sahi tarike se report likhi jaayegi. Bina F.I.R. ke koi bhi karwahi nahi hogi. Ek competition jeetne ke liye hum kanoon se khilwad nahi kar sakte."

Bạn đã đọc hết các phần đã được đăng tải.

⏰ Cập nhật Lần cuối: Jun 08, 2023 ⏰

Thêm truyện này vào Thư viện của bạn để nhận thông báo chương mới!

BEST THANA COMPETITIONNơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ