Part 19

1.6K 73 8
                                    

Story start with Haya's confession.

Haya:Bachpan se Murtasim ko chahti thi mein.Uske pasand na pasand sab ka khayal tha Mujhe.Bina kuch mangei uske zarorat ki chij samne lee ati thi.Academic exam yeh deta tha Aur raat iske sath mein jagti thi.Kabhi usse meri mohabbat nazar nahi aaya.Lekin ek din aya mere paas Aur bola use mohabbat hai Meerab se.Jisko woh saal mein bas 1 ya 2 baar milta tha.Aur jo mein uske piche pagal ho rahi thi use woh nazar andaaz kar diya.Lekin mein har mannewalo mein se nahi thi.Apni mohabbat ko itni asani se kisi or ke hote nahi dekh sakti.Is liye Maine than liya tha kaise bhi karke Meerab ka bhoot Murtasim ke sar se utar na hoga Aur apne liye jaga banani hogi.Mujhe yeh bhi pata tha Meerab Murtasim ko chahte hai.Is liye Sab se pehle maine Murtasim ki dimag mein yeh dala Meerab Aur humza ka chakkar chal raha hai.Aur Meerab ko bola Murtasim Mujhe chahte hai.Lekin Murtasim ko Yakeen tha Meerab use hi chahte hai.Is liye uske yeh Yakeen todne Aur Humza Meerab ki rishten ko Yakeen dilane ke liye Maine aisa khel rachaya ki Murtasim ko Yakeen aa jai.Aur use Yakeen bhi aaya.Lekin meri woh khushi jada din tak nahi rahe jab Murtasim ne bola woh mulk chod ke humesha humesha ke liye chala jayega Aur jane se pehle Humza Aur Meerab ka rishtan pakka karega.Aur kasam bhi khaya tha zindegi bhar ghar nahi basayega.Us din maine socha itna mehnat ke baad dono alag hui agar sach mein Murtasim Humza Aur Meerab ki rishten ki baat kare to use pata laag jayega usne jo dekha sab galat tha.Phir dono ek ho jayenge.Is liye Maine Malik zubair se rabta kya.Mujhe uska pata is liye tha kyun ki Malik zubair ki bade mein Murtasim ne Mujhe bola tha.Main usse mila Aur bola agar meerab chahiye to use agwa karna hoga.Aur madad mein karungi.Aur woh khushi khushi razi ho gaya kyun ki maine use kaha meerab meri bhi Raste ka kata hai.Phir Maine aake Meerab se bola Waqas chacha ne use bahar bulaya Aur woh chali gayi.Malik ki admiyon ne use utha liya.Aur Maine uske naam chitti chod diya Aur waha Malik ka naam likhna bhul gaya.Malik ke sath bhagane ka piche aur bhi ek raaz the Meerab ki kirdar ko Aur ganda karna.Agar sach mein us din Malik se tumhara niqah ho jata to mein yeh baat Murtasim ko keh pati dekho is ladki ko mohabbat ek se ki Aur uske jaane se hi kisi or ki ho gayi.Aise hi Murtasim Meerab ko nafrat karne laagte.

Meerab comes in front of her and slap her a tight.

Meerab:Tum jaisi giri hui aurat Maine aaj tak nahi dekhi.Tum ek psycho ho Haya.Jisko bass Murtasim ko jitna ho.Uske khushi se koi lenadena nahi ho.Bas apne bade mein sochti ho tum khudgarz ladki.
Haya:Haa hu mein khudgarz.Aur is Duniya mein na khudgarz na ho to Duniya jeene nahi deta.
Bhabi begum:Beti mana tha tumhe Aur tumne aaj yeh sile diya.
Haya:Beti mante to kabhi beti ki dil ke dard ko samjha tha kabhi?
Bhabi begum:Kya matlab hai tumhara.
Haya:10 saal ki thi mein us waqt jab waldain ke maut ke baad mamu ke taraf aya tha.Aur har waqt yeh ehsas dilai ki mein apki rehmo karam par reh rahi hu.Meri zara si bhi Galti par mere dadiyal bhejne ki dhamki dete the.Maa begum ap ko to pata tha mein Murtasim ko pasand karti hu Phir bhi aapne uske liye Meerab ko chuna Mujhe nahi.Agar aap Mujhe beti mante to ap mera intekhab pehle karte.Lekin apne aisa nahi kiya.Sach to yeh hai ap logo ne Mujhe kabhi apna mante hi nahi hai.Mein to sirf ek yateem ladki thi jiska bhoj aap log utha rahe the.Is liye Mujhe laga agar apni pasand ki chij na chinu to woh Mujhe kabhi haseel nahi hoga jaise Bachpan mein nahi hota tha.Aur Maine jo bhi kya Mujhe uski zara bhi afsos nahi hai.Kyun ki mohabbat aur jang mein sab jayez hai.

Murtasim listen to her confession and coming to her;

Murtasim:Tum mere best friend the Haya.Maine kabhi tumse kuch nahi chupai.Lekin mohabbat kabhi nahi ki.
Haya:Kyun nahi ki mujhse mohabbat.Kya kami thi mujh mein. Meerab se jyada mohabbat Aur dyan rakha tha tumhara.
Murtasim:Mohabbat mein kisi ka bas nahi hota haya.Kab kaise kisse ho jai kya pata.Aur zabardasti haseel karne ko mohabbat nahi kehte.
Haya:Maine tumse bohot mohabbat ki Murtasim.Aisi mohabbat Shayed kisi ne kisi ko na ki hogi.

Murtasim wipes his tears and said;

Murtasim:Tumne jo kiya uske liye tum saza ke haqdar ho.Kyun ki tumne Meerab ki izzat ko dau pe lagaya tha.Mein tumhari sare Galti maf kar sakti hu par yeh Bilkul nahi.
Haya:Tumhari hathon se to mujhe maut bhi Qubool hai Murtasim.Bolo kya saza hai meri.
Murtasim:Apni dadiyal laut jao.Waha laut jao jaha tum aziyat seh ke humare pas aye the.Phir jaab tum wahi aziyat sahoge jo tumhare gharwalo ne kiye the tumhe ehsas hoga humne tumhe kitna maan Aur pyar diya tha.Jiska ehsas tumhe kabhi nahi huya.
Haya:Mujhe waha maat bhejo Murtasim.Woh log Mujhe jeene nahi denge.Yaad hai na Bachpan mein unke zaidti seh nahi paye to tum log Mujhe yaha lee aye the.
Murtasim:Tumhari kiye ki saza yehi hai.Puri zindegi aziyat Aur dard sehna.Nikal jao mere zindegi se Mere ghar se.Aur mein bhul jaonga us Haya ko jo mera bohot accha dost hua karta tha kabhi.
Haya:Lekin us Haya ko kabhi mat bhulna jisne tumhe sacche dil se mohabbat ki thi.Tumhe pane ke liye har had ko pad kar liye Lekin kismat se naa lad sake.Haya ki kismat mein Murtasim ka pyar nahi likha tha.
Murtasim:Maa,Haya ka saman pack kare Aur use abhi isi waqt uske dadiyal bhej de.
Bhabi begum:Jaise tum kaho.

Murtasim take Meerab to upstairs and Haya looks at their departure and drop off some tears.

Meerasim 2.0Where stories live. Discover now