Part 9 why Sarda Did it?

95 7 0
                                    

SHAAM KO
CHAVAN NIWAS
VIRAT KE KAMRE MEIN
Ashwini Virat ki bed par bethi hai aur Virat apni aayi ki god mein sir rakh ke soya hua tha
Ashwini: Sai ke sath bahut galat hua naa
Virat : hmm aaj ham sab ladki dekhne unke ghar gaye the toh itna sab ho gaya kaku ne toh saadi isi hafte rakhi pata nahi aur kya kya hone waala hai
Ashwini: Jo bhi ho lekin mujhe Sai ke bahut bura lag raha hai
Virat : Mujhe bhi aayi pata nahi abhi yaha kya ho raha hoga ...
JOSHI HOUSE
HALL ME
EVERYONE WAS PRESENT(Expect Sai)
Mohit : Sarda aayi aab toh koi nahi hai yaha sirf ham gharwalle hai toh kya Aab aap mujhe batayenge ki asa kya waja tha jiske baje se apne meri behen ko anjaan bataya
Sarda : Woh...kyunki mein nahi chahati thi ki woh sab Sai ke baare mein kuch bhi jaane
Pakhi : Aur aap asa kyu nahi chahati thi apko pata hai Sai ko kitna bura lag raha hoga
Sarda : Hn toh mujhe koi sack nahi thi unse chupane ka
Mohit : Lekin aap chupa kyu rahi thi
Sarda : Kyunki mujhe dar tha ki agar unhe Sai ke baare pata chala toh yeh bhi batana padega ki woh meri daughter aur kya pata yeh sunke woh rishta tod de
Pakhi : Meri saadi ki discussion chal rahi thi toh isme Sai kaha se aa gayi un logo ko Sai ke kya problem hogi
Sarda : Problem thi mujhe nahi pata ki konsi problem but problem thi lekin hn jis tarike se Sonali ji ne Sai ke baare mein pucha toh ushe yeh toh pata chal hi raha tha ki koi problem hai
FLASHBACK
Sonali : Yeh ladki yaha kya kar rahi hai kon hai
PRESENT
Pakhi : Aayi unhone Sai ko peheli baar dekha hai
Sai(Sidhiyon se niche utarte hue): Nahi...Unhone mujhe peheli baar nahi dekha hai
Sai niche aa jati hai
Sai : Bakiyon ka toh nahi pata lekin Omkar uncle hamare hospital ke Senior docter and Sonali aunty se mein pehele bhi mil chuki hun woh bhi aaj subhe hospital jaate time
Mohit : Kya... Hospital jaate time tum unse kese mili
Sai : Woh aaj jaate wakt ek chota sa accident hua tha
Mohit : What! Accident! Tera! Tune mujhe bataya kyu nahi
Sai : Bhai chota sa aacident tha itna bada nahi tha aur wahi mein Sonali aunty se mili thi
(Sai sabko waha hua sab kuch batati hai)
Sarda : Dekha mene kaha tha na ki yeh koi na koi problem create Karke aayi hai .
Sai : Woh mein thik se gadi chala rahi thi lekin Aunty achanak se gadi ke samne aa gayi woh takkar ho gayi lekin woh mujhe sorry bolne ke jage mujhe hi sunane lagi
Sarda : Aur aap ne unhe kuch kaha hoga
Sai : Woh mujh par galat ilzaam laga rahe the toh mein chup thodi na reheti
Sarda : Nahi nahi aap kese chup reh sakti hai aap agar ek din ke liye chup reh jaaye toh dharti ghumna band kar degi asmaan niche gir jaayega right .. Aare tujhe yeh sikhaya gaya hai ki bado se jubaan ladate hai
Sai : Aayi mujhe yeh jarur nahi sikhaya gaya hai lekin hn agar aap shai ho fir bhi apko galat kaha jaaye toh apko apne liye awaz uthani chahiye sach ka sath dena chahiye yeh jarur sikhaya gaya hai
Sarda : Oo sachai ki devi utna hi sach bol yeh sab jo bji hua hai na tere baaje se hua hai Ok
Mohit : Aayi aap Sai se asse baat nahi kar sakti
Sarda : Sorry me Sai se kya tum dono se ase baat nahi kar sakti sorry mein bhul gayi thi ki mein tum dono ki step mother hun sateli maa toh mera koi hak nahi banta tum dono se ase baat karne ka
Sai : Dada ka woh matlab nahi tha
Sarda : Toh kya matlab tha aur kuch bji matlab ho mujhe nahi sunna mein ja rahi hun
Sarda apne kamre mein chali jaati hai
CHAVAN NIWAS
VIRAT KE KAMRE MEIN
Ashwini: Wese tum ne mujhe bataya nahi ki tum aur Sai dost ho tum toh mujhe sab kuch batate ho fir yeh kyu nahi
Virat : Aayi yeh sab mere dimag ko aaya hi nahi achanak
Aayi : Wese Sai ke tumhare zindigi mein aane ke do din hue hai aur tum bahut badle badle nhai lag rahe
Virat : Sachme ? Asa kya badlab aa gaya
Ashwini: Sayad tumhe nahi dikh raha hoga lekin mujbe toh mera woh 2 saal pehele wala Virat tum pe aaj dikh raha tha
Virat : Aap kehena kya chahate ho aayi
Ashwini: Wakt ke sath sath halat bhi badal jaate hai Virat kab kya ho jaye kisiko pata nahi chalta
Virat : Mujhe apki baate samaj nahi aa rahi hai
Ashwini : Mein yeh kehena chahati hun ki Agar kabhi tere dil me Aada ki jaaga koi aur le le toh jese ki Sai...
Virat uth kar beth jaata hai
Virat : Aap yeh kya keh rahi hai Aayi Sai meri friend hai aur mere dil mein Aada ki jagah koi nahi le sakta aayi please apne dil mein koi galat famin mat rakhna (sochta hai)Aada apne akhri pal jo baate karke gayi thi woh sab Sai mein hai lekin iska matlab yeh thodi na hai ki Sai mein Aada hai...

PRECAP
Virat : Mein tumhare ghar gaya tha aab tumhe mere ghar aana hoga
Sai : Lekin
Virat : Mujhe nahi pata tum chalo ...
Sai in Chavan Niwas
Sai : Wah tumhara ghar toh sachme bahut sundar hai

TAQDEERWhere stories live. Discover now