"haseena's birthday"

528 79 37
                                    

haan hum samajh gaye..ammi fikr mat kijiye hum doh din main aajaiyenge haseena said gazing at the highway she was having a conversation with her mother on phone

tere senior ko tujhe tere janamdin par he bulana tha kya ammi said cursing the seniors she wanted to celebrate her daughter's birthday as last year her birthday had been the unluckiest day for her

ammi chodiye na humare birthday ko....bade hogaye hain hum ab kya yeh birthday celebrate karenge these words were just to avoid all the incidents that took place last year on her birthday

mere liye tu ab bhi woh paanch saal ke haseena hain joh kitchen se chupke se chocolate leke bhaag jaati the every person is a kid in the eyes of their parents

haan aur abbu humein aapke daant se bacha lete the.....acha ammi ab hum rakhte hain khaane khake so jaiye aap hum bas yun kaam khatam karke aaiye

jaldi aana bye

bye aur good night aapna khyaal rakhiye ga

she ended the call and opened the windows to let the cool air enter the car and haseena couldn't escape from the thoughts and flashbacks of last year the winter had created a mist that was surrounding the highway nothing was quite visible haseena was thinking if mission behroopiya had not existed than she would have been living with anubhav but she thanked God for revealing the true colors of him poor haseena from the day she had joined duty her motto was "sau gunegaar chale jaiye par ek masoom ke jaan na jaiye" and she had already done a crime by killing an innocent soul the most dreadful thing was she had taken away a son from a mother

the sky was clear and the temperature was quite cold haseena was wearing black shirt blue jeans and a shawl many questions rose in her mind like "why she has been called to Ib headquarters mumbai " "is it related to the mission behroopiya "

the car stopped outside the Ib headquarters mumbai haseena stepped out from the car she had a small bag with her and phone which she left outside there was tight security outside the headquarters and she was checked twenty times before going inside the officer said her to wait outside some important discussion was going on but wait she heard an officer mentioning anubhav's name her heartbeat increased

INSIDE THE CABIN OF DIB (DIRECTOR OF INTELLIGENCE BUREAU

HM-jai hind sir

DIB- jai hind ...have a seat miss malik ..(he said in a stern voice haseena politely sat on opposite chair her face was expressionless )aapko toh pata he hoga keh aapko humnein yahan kyun bulaya hain (haseena shook her head in no ) aap itne intelligent officer hai toh aapko toh pata hona chahiye the..koi baat nahi hum bata dete hain mission behroopiya ko aapne apni taraf se end kardiya thaa pendrive ko goli maar de the aur humare sabse kaabil agent anubhav singh ko as a traitor sabit karke maar diya tha right lekin kahani main ek twist hain ..anubhav gaddar nahi tha (haseena stood from her chair in shock ) aree baithiye miss malik aap itne main ghabra gayi abhi toh climax bhi nahi aaiya ..anubhav ne aapko safe rakhne keh liye khud ke jaan dao pe laga de ..anubhav ko asli culprit ko pakarna tha uske har ek activity track kar rahe the woh aur mission behroopiya ka asli mujrim kon ..MR AJAY BAKSHI unn ke ek galti ke wajah se humnein unko nikal diya thaa IB se aur unhe desk duty mil gaye the par woh lalchi insaan thaa IB main unhe sirf basic work keh liye rakha gaya thaa jiske wajah se unhe 7 agents main se sirf 1 agent keh baare main pata thaa jokee anubhav hain baaki agents keh information unhone humare ib headquarters main se chura le aur woh itna ghatiya nikla keh uska sauda karna chahte thaa ..humein khud nahi pata thaa keh woh pendrive kahan gayi woh humare ek agent keh paas the aur uske baad woh kab aapke paas aaiye humein nahi pata ajay bakshi ne apne matlab keh liye aapko bachaya usne khud accident karwaya uske baad aapko bachaya taaki aapka trust gain kar sake humnein anubhav ko iss mission pe allot kiya thaa jiske liye woh apne sagai tak chod keh chala gaya taaki aapko safe rakh sake lekin niyati ka khel dekhiye uske lakh koshishon keh baad bhi aap iss mission main involve ho he gaye ..anubhav ko jab pata chala keh ajay bakshi aapko guide kar raha hain tabhi humein shaq hogaya tha kyunke woh toh Ib officer hain he nahi anubhav apna last move khelne he wala tha aapse pendrive lene keh baad woh janne he waala thaa usske deal karne aur uss real culprit ko pakarne lekin aapne usse shoot kardiya aur wahan pe ek gunda bhi thaa joh aapko peeche se attack karne wala tha anubhav ne usse shoot kiya thaa lekin karishma singh ko galat fehmi hogaye keh usne aapko shoot kiya aur karishma singh ne usse shoot kardiya yeh the poore kahani aur ek aur shaqs insab main included hain sajan urf sajid ali joh ke uss bakshi ka khabri banke kaam kar rahe thaa

Haseena didn't knew how to react she was just devastated and guilty also for killing an innocent person

DIB-anubhav abhi bhi zinda hain ..usse sahi waqt pe hospital main admit kiya gaya thaa aapko pata hai agar anubhav ko kuch bhi hojaata toh aapke paas yeh wardi nahi hoti ...hum samajh sakte hain aapke liye yeh sab ek shock keh barabar thaa par abhi aapko apna statement dena hai iss mission behroopiya keh liye aur aapse kuch details bhi le jaiyenge uske baad aap ja sakti hain wapis apne sheher

HM-sir kya ...an..anubhav ka ..ppaata bata sakte hain aap (she stammered saying those words)

DIB-sorry miss malik par anubhav ne he mana kiya hain batane se toh hum kuch nahi bata sakte

haseena left the cabin she gave the statement and details as fast as possible and took a taxi to lucknow

HM(in mind) hum galat the humnein ek nirdosh ke jaan lene ke koshish ke kya hoagaya tha humein ek baar bhi anubhav ko samajhne ke koshish nahi ek anjaan pe bharosa kiya par apne pe nahi hum toh layak he nahi hai anubhav ke jeevansaathi banne keh kya saath nibhayenge jab hum unpar bharosa bhi na karsake unhe zindagi bhar ka dard de diya woh bahari ghav toh bhar gaye honge par woh dil pe joh choot lagi usse koi marham theek nahi kar sakta humnein joh sapne sajaiye woh apne haathon se choor choor kardiye kyun humnein anubhab ko samajhne ke koshish nahi ke kyun ek baar bhi unke mann main kya chal raha hain woh janne ke koshish nahi ke kaash hum waqt main peeche jaa sakte aur woh sab galtiyan theek kardete apne rishte ke ek nayi shuruwat karte joh insaan humare liye apne jaan desakta hain woh kaise humare jaan le sakta hain sab galti humare he hain karishma singh ne humpe vishwas karke goli chalaiye anubhav pe jab unhe pata chalega tab hum unke nazron main gunhegaar ban jaiyenge mahila police thaane waale humein sabse maahan samajhte hain unhe lagta hain keh unke maddam sir kabhi galat nahi hosakti ghinn ate hain apne aap se humara abbu ne humein samjhaya tha keh jab ek rishte main bharosa nahi hota woh rishta zyada der tak tik nahi paata hum sirf ek baar anubhav se milna chahte hain unse maafi magna chahte hain

during the whole journey haseena was just lost she didn't realized when she got lost in deep slumber

NEXT MORNING

DRIVER-maddam ji aapka ghar aagaya (haseena woke up and rubbed her eyes still all the things seemed as a nightmare to her she stepped out and took her belongings )

AT HASEENA'S HOUSE

AMMI-aree agayi tu haseena...(haseena hugged her ammi she too wrapped her arms around her ammi was not sure why she was behaving like this might be she was tired )...tu thak gayi hogi aur pakka kuch khaya bhi nahi hoga (she said breaking the hug )..kabhi toh sunliya kar haseena ..kab apni sehat ka dhyaan rakhegi ..haseena main tujhse baat kar rahe hoon

haseena just locked herself inside the room

haseena sunn ammi said banging the door

to be continued ............

DO GIVE YOUR PRECIOUS REVIEWS AND VOTES THIS THODA BORING THAA I KNOW NEXT PART IS GONNA BE INTERESTING SO STAY TUNED



𝑫𝒊𝒍 𝑴𝒆𝒓𝒂 𝑫𝒉𝒂𝒅𝒌𝒂𝒏 𝑻𝒆𝒓𝒊💖जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें