CHITTHI

14 4 1
                                    

Yeh ek chitthi mere pyare andhere k naam,
Tum udaas mat ho,
Mujhe pata hai tum to yun hi badnam ho...
Yeh log aise hi hai,
Neend to bas andhere mein hi muqammal hai,
K neend to bas andhere mein hi muqammal hai,
Aur yeh roshni ankhon ko bhale kitna hi jamkar chubhe na kyu,
Inhe masoom to wo sirf roshni lagti hai...

Mujhse to roshni mein likha tak nahi jata,
Mujhe harf dikhayi dete hai,
Mujhe lafz dikhayi dete hai,
Roshni mein mujhe yeh kagaz, yeh kalam dikhayi dete hai,
Par kamwaqt koi jazbaat hi nahi dikhayi deta...

Roshni mein main 'MAIN' nahi rehti hu,
K roshni mein main 'MAIN'nahi rehti hu,
Dar lagta hai mujhe roshni mein,
K kahi yeh farzi hasee na dikh jae,
K kahi yeh nakli khusi na dikh jae,
Dar lagta hai, k yeh nakli nakab jo pehni hui hu,
Wo kisi auro ko na dikh jae...

Par tumse dar nahi lagta,
Par tumse dar nahi lagta,
K yaha to mere ghao yunhi benakab, beparda, bekhauf azad hai,
Azad hai mere ashq yaha...
K inhe behne se pehle sochna nahi padta,
Un takiyon ko bhigone se pehle, inhe khud se puchna nahi padta ..
Main jo hu, jaisi hu,
Tumhare samne main waisi hi hu,
K mujhe khud ko badalna nahi padta,
Koi farzi si nakab pehenna nahi padta,
Mujhe tumse dar nahi lagta...

Tum alag ho,
Tum us roshni se alag ho...
Roshni ne mujhe har waqt dikhaya hai, main kitni akeli hu...
Is bhir mein bhi, main itnii akeli hu...
Aur tumne mere us akelepan ko dur kiya hai...
Aur jo yeh log kehte hai,
K andhere mein to tumhari khudki parchayi bhi saath nahi deti,
Yakeen mano unhone kabhi dekha nahi tumhe,
Unhone dekha nahi k tum kitne saaf ho,
Itne k tumme to main khudko dhund pati hu...
Aina ho tum,
Jo sach ko yunhi nikhlati hai,
Warna roshni mein to wo darinde bhi achai ki nakab pehen le...

Shayad isiliye sab koste hai tumhe,
Badnam karte hai tumhe,

Aur roshni unhe yunhi masoom lagti hai,
Roshni unhe yunhi masoom lagti hai...

Khwaab: A Bunch Of Hindi PoetriesWhere stories live. Discover now