The Plan.

322 53 4
                                    

Thakumaa: E ladke...ye tumhari Bodi hai nahi ye tumhari Bodi thi...Rasta chhodo humara

Anirudh: Bondita yaha se kahi nahi jayegi...Thakumaa apko meri baat Sunni he hogi

Sumati: konsi baat?

Anirudh: Humari Dushmani ki baat...Ap pehele baith jaiye

He made Thakumaa and Sumati maa sit

Anirudh : ye dushmani kaise shuru huee Thakumaa

Thakumaa: kaise matalab? Apke beheje taufon mein vo visphotak the jis ke karna humari Tapur ke maa baba ki maut ho gaie

Trilochan: bakwas hai ye sab...hum kyu bhejenge taufon mein visphotak?

Thakumaa: aphe ne bheje hai... Sirf apke Karan he Aaj meri tapur anath hai

Anirudh: Thakumaa humne apke taufon mein vo visphotak nahi bheje the..(shouting) balki humare khane mein kisi ne zeher milaya tha...baba pe janlewa humla karaya tha Chandrachur ne aur ussi ka nateeja ye hai ki aaj mere baba...mansik peeda se grast hai

Thakumaa got up in rage

Thakumaa: Barrister Babu!! hum apke ghar mein khade hai iska matlab ye nahi ki ap hum pe kuch bhi ilzam layege

Anirudh: Ilzam nahi hai Thakumaa Hakeekat hai...par lagtaa hai aap iss se anjaan hai

Thakumaa: Jaan pehechan toh tab hogi jab ye Ilzam vakaiee  Hakeekat honge

Bondita: Hakikaat he hai Thakumaa...par ye sab apne nahi kiya hai balki usne Kiya hai jo chahta hai ki Tulsipur aur Krishna ek na ho.

Anirudh: aur vo koi aur nahi balki Chandrachur hai.

Thakumaa and Sumati and all the Roy Chowdhury's got shocked.

Thakumaa: (standing in Rage) ye kya Bakwaas hai Anirudh Roy Chowdhury?

Anirudh: sachaiee hai, ap he sochiye na ...humne apke taufon mein visphotak nahi rakhe, apne humare khane mein zeher nahi milaya toh phir ye sab kiya kisne?

Batuk: exactly, Kya apko ye pata tha ki Chandrachur Dad pe attack karne wala hai?

Thakumaa: nahi ...par sawal ye bhi hai ki Chandrachur jamaiee babu ye sab karenge kyu?

Anirudh: kyu uski Shadi Bondita se nahi huee.

Thakumaa: Par unki shaadi humne Tapur se karaiee na!

Bondita: Thakumaa ho sakta hai na ki Chandrachur jamaiee babu iss vivah se khush he na ho.

Batuk: aur Big D se revenge lene keliye ye sab kiya ho.

Sumati: Ek badle keliye...dono gaon mein itni badi dushmani khadi kar di? Nahi nahi Chandrachur jamaiee babu itna nahi gir sakte.

Bondita: Toh kya mere Sakha Babu itne bure ban sakte hai ki logo ki Jaan lene par utar aaye?
Maa...(Pointing towards Anirudh) Dhyaan se dekhiye iss insaan ko ye vahi Barrister Babu Anirudh Roy Chowdhury hai jisne bina kuch soche, bina kuch samjhe, apne oosulon ke virrudh jaa kar, apna bachpan ka pyaar bhula kar mujh se vivah kiya tha, mujhe sati pratha se bachane keliye.
Ab ap dono he sochiye jo insaan kisi ajnabi ladki ko bachane keliye uss se shaadi kar sakta hai vo insaan achanak itna bura kaise ho gaya ki vo apke khoon ka pyaasa ho gaya?

She looked at Trilochan.

Bondita: Kaka Sasur ji, apka aur Thakumaa ka vivah isiliye ruka tha n kyu ki inhone vivah se ek raat pehele apki Jaan ki chinta keliye bina kuch soche samjhe apke paas aa gaiee?  Ab aap he bataiye ki jis aurat mein itni karuna ko vo aurat kisi ke saath itni badi dushmani kyu mol legi?

She looked at Thakumaa.

Bondita: Aur Thakumaa, jab mai Sakha Babu ki patni thi, tab sirf unki patni nahi thi Iss Roy Chowdhury Haveli ki Bahu thi par Bahu hone ke bavajood beti ka pyaar Mila tha mujhe mere Kaka Sasur ji se. Ye vahi Kaka Sasur ji hai Thakumaa jinhone mujhe sirf Ghar ki Lakshmi mana nahi par ghar ki Lakshmi ki tarah rakha bhi.
Som Dada sirf mere devar nahi the mere bade bhai the.

Som's eyes became moist

Bondita: aur Batuk Mera sab se accha dost. Zara sochiye na itna accha parivaar aur itne acche log achanak itne bure kaise ban gaye? Koi toh vajha hogi?

Sumati: Jiji, Bondita sahi keh rahi hai, zarur koi gadbad hai.

Anirudh: koi ye nahi chahta ki Krishna nagar aur Tulsipur mile, kyu ki agar Krishna nagar aur Tulsipur mile toh Anirudh aur Bondita ko milte der nahi lagegi isiliye usne ye sab kiya.

KSJ: Toh iska matlab ye kisi ki Sochi samjhi yojna hai?

Bondita: jo 8 saalon tak safal rahi kaka Sasur ji, jisne 8 saalon tak Mere Sakha Babu ko patthar bana kar rakha, jiske karan Tulsipur aur Krishna nagar ka koi bhi vyakti dushmani se aage dekhna he nahi chahata.

Everyone's eyes became moist, but was also filled with anger too.

Anirudh: Jisne ye sab kiya hai, usse saza toh milni chahiye Kaka.

Kaka: haa usse saza milegi aur puri Tulsipur aur Krishna nagar ke samne milegi.

Thakumaa: par hume toh sirf Chandrchoor jamaiee babu pe shak hai, hume kaise pata chalega ki Chandrachur jamaiee babu ne he ye sab kiya hai?

Bondita: mere pass ek yojna hai.

All looked at Bondita.

Bondita: par iss yojna mein sab kuch asli lagna chahiye Thakumaa. Ho sakta hai iss liye apko mujh pe haath bhi uthana pade.

Anirudh: aisa kya socha hai tumne?

Bondita then narrated the plan to everyone.

Kaka: Par isme toh khatra hai.

Sumati: haa Bondita isse karte waqt tujhe ya Anirudh jamaie...

All looked at her.

Sumati: mera matalab hai ki agar tujhe aur Barrister Babu ko kuch ho gaya toh?

Thakumaa: agar puri yojna safal hone se pehle he ap dono pakde gaye toh?

Anirudh:kuch nahi hoga Thakumaa, hume ye karna he hoga tab he, asli apradhi samne ayega.

Som: Dada...Kisi ko shak ho gaya toh?

Anirudh: hum kisi ko koi avsar nahi denge. Tum chinta mat karo som.

Thakumaa: kab anjaam dena hai iss natak ka?

Anirudh: aaj raat. Aur iss kaam ki shurvaat tum karoge Som aur Batuk.

Somtuk noded.






.





Mai kshama prarthi hu 🥲
Soory!







.






.





__________________________________

Thankyou ❤️
__________________________________

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 10 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Raste Khubsurat Hai Tumhare Saath, Manzil Ki Filhal Baat nahi karte...Where stories live. Discover now