R:-hugs Laxmi n says i m sorry akka....thoda time k liye mai kamjor pad gaya tha...mai apna dream pura karega....

Present time

R:- uska kuch hafto bad MBA k  entrance exam ka result  aya..phir GD aur interview round hua aur uska bad phir final result aaya jisme ki mera selection ho gaya tha....

Per MBA ka fees bahut jyada tha ...

Tabhi Laxmi akka phir se mera help kiya...wo mera MBA ka do saal ka sara fees ka responsibility khud le liya aur mere ko bola k jab mai kamane lag jaunga to mai unko paisa wapas kar dega...

Phir wo mere ko ek dukan pe kaam pe lagwa diya jisse k mai apna hostel ka fees aur apna daily ka kharcha nikal paaye....

Aur usdin wo phir se mera ek ko advice diya

Laxmi:- Raghav ek baat hmesa yaad rakhna hum life me chahe hazar achhe kaam kar le aur sirf ek galat kaam ho jaye humse to logo ko humare wo hazar achhe kaam yad rahe na rahe per wo ek galat kaam kabhi nahi bhulege log...

Uska bad mai college ka hostel me rehne ko gaya....

Waha pe Aakash mera roommate tha. .

Shuru shuru me mai kisi se baat nahi karta tha kyuki mai khud ko dusro se kafi alag pata tha..waha pe maximum students kafi well off family se tha..sab mehnge kapde pehnte the sabka pas mehnga pH hua karta tha..kisi kisi ka paas to car bhi tha...mere ko to odd one out wala feeling ata tha..lekin jaisa jaisa class start hua aur waisa waisa sab kuch thik hone lag gaya.... chuki mai padhai me achha tha to mai apna knowledge ka wajah se  logo ka najro me aane lag gaya  ...phir dhere dhere mai logo se interact karne lag gaya....

Sabse pehla aakash mera dost bana aur uska bad yamini aur shweta.... Mai phir se ek normal life jeene lag gaya .....per mere ko hmesa es bat ka darr tha k agar kisi ko mera past life ka baare me pata chal gaya to sab kuch phir se pehla jaisa ho jayega aur sab log mera ko mere past ka basis pe judge karega... isiliye mai kisi ko bhi kabhi kuch nahi bataya apna past life ka baare me aur apna family ka baare me.... ha kabhi kabhi galati se family ka baare me kuch jikar kar deta tha lekin mai hmesa kisi na kisi tarah khud ko aur baat batane se rok leta tha ....

Mai din me classes attend Kiya karta aur uska bad sham se raat tak dukan pe kaam karta...
Mai apna goal ko pura karne ka liye kafi sincerity se padhai karta ....edhar udhar ka baato me khud ko nahi involve karta tha ..
Baki students holidays pe bahar ghumne ko jata...enjoy karta ...movie jata ....party karta..drink karta clubs aur disco jata.... per mai hmesa ya to hostel me reh k apna project aur assignment karta aur apna knowledge n skill ko aur bhi better banane ka liye mehnat karta ya phir dukan pe ja k kaam karta..
Aisa nahi h k mera mann nahi karta tha k mai bhi baki students ka tarah enjoy kare.....mera bhi kabhi kabhi bhut mann karta tha lekin mai hmesa khud ko control kar leta tha kyuki mere ko aage padhne ka , life me ek achha career banane ka mauka bhut muskil se mila tha.... akka ka paisa bhi lautana tha...aur bhi bhut se kaam karne the mere ko .... isiliye mai hmesa apna goal pe focused rehta aur ye sochta k jab mai khoob paisa kamayega tab mai ye sab enjoyment karega....mera paas na to itna paisa tha k mai wo sab kar pata aur nahi time tha waste karne ko...

Wo kya h na bachpan me nanna mere ko ek baat seekhaya tha...n then he quotes a Sanskrit shlok about students' life....

Jiska simple sa meaning tha ki agar kisi ko knowledge gain karne ka h to usko sara enjoyment ka sacrifice karna padega

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jiska simple sa meaning tha ki agar kisi ko knowledge gain karne ka h to usko sara enjoyment ka sacrifice karna padega ....kyuki ya to koi enjoyment kar sakta h ya phir knowledge gain kar sakta h ....dono cheeje ek sath nahi ho sakta....

Bas mai bhi esi philosophy ko religiously follow karta tha apna student life me....

Mai Amma aur kirti ko ghar pe to milne nahi ja sakta tha ..per kabhi jab bhi wo log mere ko rasta me ya kahin aur dikhata to mai hmesa kosis kiya unse maafi maangne ka ...

Beech beech me mai laxmi akka ko bhi mila karta tha unko apna college ka sab baat bataya karta tha.... Sach kahu to mera liye wo hmesa ek motivation ka source hua karta tha...jo k hmesa mere ko life me aage badhne aur sahi raasta pe chalne ka guidance diya karta tha....

Ek saal tak sab kuch sahi chala....mai hmesa her paper me top karta...her assignment aur project me achha perform karta...  Kabhi koi lecture miss nahi karta... Class me her koi mere ko pehchanne lag gaya tha... Kabhi kabhi to kuch students exams se pehle mera se padhne ko aa jaya karta tha....mere ko bhut achha lagta tha....sab teachers bhi mera se bhut impress tha... Ab mai khud ko dusro se alag  nahi samjhta tha .. Mai phir se logo ka beech me  apna ek achha image banane me sucessful ho gaya tha....

Mera mba k 1st yr ka final exam chal raha tha tab mere ko pata chala k akka ka transfer dusra seher me ho gaya h....lekin wo dusra seher jaane ka bad bhi mere ko nahi bhula aksar mere ko call kiya karta tha wo....aur mera haal chal liya karta tha...

Dekhte dekhte kaisa ek saal achha se  gujar gaya mere ko pata bhi nahi chala....

Phir jab mai MBA ka 2nd yr me gaya tab 1st yr ka batch me  ek Esha Madhvan naam ka ladki aaya....

To be continued......

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now