Moran fanfiction 3 ( No training for monu)

2.5K 74 2
                                    

After reaching academy same happend till Karan goes to monami and saying sorry and she is happy that he starts expressing himself a little 🤏....

And for Karan usse bohot acha feel hota hai monami se baat karke....

karan pov-

pehle toh kabhi aisa nhi hua ki kisi ke samne khud ko thoda bhi express kiya ho mene but monami ke samne mujhe ye karne ke liye kuch efforts hi nhi karne pade bas jo kehna chahta tha keh diya usse baat karke bohot light aur acha feel ho rha hai isse pehle aisa kabhi nhi hua... Rani saheba apke bare abhi shayad bohot kuch janna baki hai aur mein janna chahta hu.... And he smiles a little...

Next day, as usual unki training hoti hai monami waha aati hai aur rope climbing karne hi jati hai ki karan use dekh leta hai,

Karan- Rani sahiba, coming towards her
Karan- ye kya kar rhi hai aap
Monami- rope climbing (innocently)
Karan- woh mujhe bhi dikh rha hai, mein puch rha hu kyu kar rhi hai...
Monami- Ye training hours hai toh training toh karungi na
Karan- Rani saheba ( ek kadam uske paas aate hue) aapko yaad hai ya aap bhul gyi ki aap do din pehle hospital mein thi aur aapko stitches lage hue hai, aur aap training karne aa gyi aap doctor hi hai na🙄
Monami- i know but ab itna risk nhi hai mein kar sakti hu while smiling 😊
Karan- No (with stern face and going back)
Monami- arey but...
Karan- No tum abhi kuch din training nhi karogi atleast jab tak aapke stitches na bhar jaye....
Monami- achaa thik hai rope climbing nhi kuch aur toh kar hi sakti hu, and going towards tyres Karan ye dekhta hai aur frustrated face banata hai
Karan (in mind) - Ye kabhi meri sunti kyu nhi hai...
Karan jata hai aur uska hath pakad leta hai, - ye kya kar rhi thi? In little anger
Monami- tyre it.... Cut but karan
Karan- i know tyre utha rhi thi 🙏 jab mein mana kar rha hu toh sunti kyu nhi ho ( in angry tone) ,
Monami kuch bolne jaa rhi hoti hai but karan kehta hai No arguments and No training for few days ab jao aur jake rest karo....
Monu- No... Karan gives her his famous glare...
Khadoos shergill (monu murmerd) and leaves silently.... But karan listens and smiles at her behaviour and thought ( bohot ziddi hai ye) and continue training

But unknown to them faizi and sid both observe them and give each other looks and faizi is happy thinking that his friend cum brother has found someone who make him smile and made him happy... He sighed in relief... And for sid his monu bro found someone who will take care of her.... 💫

After training session, Karan apne room mein hota hai.... Aur param ko yaad kar rha hota hai... Aur sad ho jata hai, wo thoda fresh feel karne ke liye bahar jat hai aur dekhta hai ki monu training area mein rope pakad ke khadi hai usko lagta hai ki wo phir rope climbing karne ki koshish kar rhi hai toh wo jor, se shout karta hai...

Karan- monami, uske paas jata hai tumhe samaj nhi aata ek bar mein ki mein kya kehta hu haa.... Samaj nhi ata choti bachi ho kya bache bhi ek baar mein sunn lete hai par tum tumhe kuch kehne ka faida hi nhi hai.... Bohot gusse uske upar chillata hai....😤
Monu- par mein(wo dar jati hai or rondu si shakak bna leti hai)
Karan- enough bhulo mat mein tumhara trainer hu aur iss academy mein mere orders follow hote ....
Monami ki aankho mein aansu aa jate hai....
Monu- par karan mein toh sirf....
Karan- tumhe kya lagta hai aisi  halat mein training karogi toh mein ya trainers tumse impress ho jayenge nhi balki tum bewakoof lag rhi ho jo ek doctor hoke bhi ye bewakoofi kar rhi hai, aur iski punishment tumhe milegi jaise hi tumhare stitches katte hai you have run 🏃 15 km non-stop get that...
Now monami ko bhi gusaa aa jata hai ki woh sirf usko dante jaa rha hai bina uski sune....
Monu- yes sir aapko dubara ye punishment mujhe yaad dilane ki jarurat nhi padegi while a lone tear 😢escape from her eyes aur wo wha se chali jati hai....
(Note: monu ke paas us waqt faizi, sid, koel, sanju, bala bhi hote hai) jab monami chali jati hai toh karan bhi gusse mein waha se chala jata hai aur room mein jake apna hat chair pe marta hai,
Karan - ye ladki kabhi meri baat sunti kyu nhi hai...
Faizi- sunti hai janab ji , sunti hai mohtarma apki sunti hai,
Karan - sirf sunti hai samjhti bhi hai?
Jab dekho tab apni chalani hoti hai iss ladki ko....
Faizi - tune bohot jyada daant diya usko Karan usko bohot bura laga hoga
Karan- toh kya karta, haa kya karta usko bolta ki wah monami tum stiches mein bhi rope climbing kar rahi ho very impressive.... Haaa?
Tune dekha na wo kya kar rhi thi tu tha na waha aur tune kyu nhi roka use...
Faizi- kya karne se rokte use ham sab se baat karne se rokte kya kehte ki monami baat mat karo tumhare stitches khul jayenge... Ha?
Karan usko doutedly dekhta hai... Kya matlab..
Faizi - matlab ye janab ji ki usne aapki baat suni bhi aur samjhi bhi wo rope training nhi kar rhi thi bus sid ko samjha rhi thi kyuki uski grip abhi achi nahi hai wo ham sabko bta rhi thi ki kaise tumhe uski help ki thi usko sikhaya tha rope climbing wo tumhari itni tareef kar rhi thi aur tum uske upas aise baras ke aaye ho jaise barso se bhare pade ho... Bechari kitna bura laga hoga use par tumhe usse kya tumhe kya farq padta hai kisi se khaskar monami tsunami se...
Karan- Faizi....
Kya faizi agar tumhe usse farq padta na toh tumhe uske aansu dikhte...
Karan - tune mujhe pehle kyu nhi bataya kitna ulta sidha bol diya mene use punishment aur dedi shittt....
Faizi- kaise batate bolne de rhe they tum kisi ko monami ne kitni baar try kiya par nhi janam ji toh ulti khopdi mood mein they... Aur wo waha se chala jata hai...
Karan- karannnn.... Ye kya kiya tune sun leta ek bar uski par nhi.... Wo toh pehle hi khadoos samjhti hai ab toh pta nhi kya hi samjhegi....
Rani saheba waise toh aao itna bolti rehti hai aur ab jab apko mujhe chup karwake samjhana chahiye tha tab chupchap sab sunn liya.... Karan ko yaad ata hai ki monu ne use sir bola aur wo kitna, upset hoke gyi hai....Ab kuch soch karan galti ki hai toh sudharni bhi padegi, rani saheba ko manana toh padega... Par kaise?.....

Aaj ke liye itna hi.... Keep supporting and please comment mein bataiye ki story kaisi lagi.... Thankyou.. 😃

Moran Fanfaction (ZDMN) Where stories live. Discover now