Continue previous part
Zoya ghar pahuchti hai aur apne room ki taraf jaa hi rahi hoti hai ki usse hasne ki awaz aati hai woh dekhti hai ki woh awaz salma ke room se aa rahi hai tu woh uske room ki taraf jaati aur sunti hai ki
Km=waah ammi plan kaam kar gya zoya ne manav ko manav ko dhokebaaz samajh liya hai aur usko chod ke aagyi hai
Sm=pta tha Hume ab hum zoya ke liye jaldi hi ek accha rishta dhundh denge aur wese bhi Mrs.bagha aa rahi hain aaj 2 3 rishte leke
Km=yeh tu aur acchi baat hai ammi
Outside
Zm=humse itni badi galti kese ho gyi humne manav par yakeen kese nhi kiya humne apne pyar pe shaq kiya nhi hum manav ke pyar ke kabil hi nhi hai Hume manav se baat karni hogi
Zoya dheere dheere peeche ho rahi thi lekin vase(flower pot) gir jata hai jiski wajah se salma aur karan ko pta chal jata hai ki bahar koi hai woh log bahar aate hain aur dekhte hain ki zoya bahar unki baat sun rahi thi
Km=zoya tum humari baate sunn rahi thi
Zm=hn aur ab Hume sab Sach pta chal gya hai Hume yakeen nhi ho raha hai aap log humare saath esa kar sakte hain humne aap logo ki wajah se manav pe shaq kiya ghin aa rahi hai Hume khud pe
Km=kya bakwas kar rahi ho tum zoya aur jai apne room mein
Zm=mein jaa rahi hu manav ke paas
Km=tum kahin nhi jaogi
Iske aage karan kuch bolta usse pehle hi zoya chali jaati hai karan uske peeche jata hai lekin salma usse tok leti hai
Km=ammi aapne Hume roka kyu Hume zoya ko rokna hoga
Sm=aur kab tak rok loge usse
Km=mtlb
Salma usse gun deti hai kqran gun ki taraf dekhta hai fir salma ki taraf dekhta hai
Sm=jahan bhi manav dikhe usse wahin maar diyo
Km=ji ammi
Karan bhi chala jaata hai zoya pehle manav ke ghar jaati hai lekin manav wahan nhi hota hai tu woh uske pe jaati hai aur sujeev ke paas jaati hai
Zm=uncle ji manav kahan hai
Sujeev=woh tu ghar pe tha na
Zm=hn lekin wahan nhi hai woh
Sujeev =kuch hua hai kya zoya tum itni pareshan kyu lag rahi hai
Zm=uncle ji mujhse bahut badi galti hui
Sujeev kuch bolta usse pehle manav ka call ata hai zoya ishare se use phone speaker pe rakhne ko kehti hai
Sujeev=hello manav kahan ho tum
Ms=uncle ji thank you aapne mera bachpan se itna khayal rakha apne apne bete ki tarah mujhe pala hai aur mujhe acchi parvarish di mujhe ek accha insan banaya thank you so much uncle ji😢🥴
Sujeev=beta tum esi baat kyu kar rahe ho air tumne drink ki hai dekho tum abhi ghar aajao aram se baat karte hain
Ms=ab kuch bacha hi nhi hai baat karne ko zoya ko mujh par bharosa hi nhi hai usse lagta hai mein dhokebaaz hu lekin aapko tu pta hai na mein zoya se kitna pyar karta hu lekin usse mujh par bharosa hi nhi hai aur agar meri life mein hi nhi tu Mere jine ka bhi koi haq nhi hai ab mujhe Mar hi Jana chahiye zoya ke bina yeh manav kuch bhi nhi hai bas zoya se kehna ki mein uss se bahut pyar karta hu mein usse kabhi bhi dhoka nhi de sakta hu aur woh khush rahe😢🥴
Zoya jaldi se sujeev ke haath se phone leti hai tab tak phone cut ho jata hai
Zm=Hume jaldi se manav ko dhundna hoga lekin woh kahan ho sakta hai (she thinking)
Zm=hn yaad aya woh ussi Bridge pe hoga
Zoya jald hi niakl jaati hai zoya ke aankhon mein aansu hota hain
Zm=sab humari wajah se hua hai agar aaj manav ko kuch hua tu hum khud ko maaf nhi kar paenge 😢
YOU ARE READING
muskurane ki wajah tum ho
Actionso guys yeh hai zoya malik ki yeh ek ladke se pyar karti lekin inki ammi ko woh rishta pasand nhi tha kya ho agar inhe apni ammi ke pasand ke insan se shaadi karni pade apni mohabbat bhula ke kya zoya band jaengi naye rishte mein dekhte hain kesi ho...