dinner date

542 58 6
                                    

Continuation from previous part

The family returned back home .

Nani: arre Kashi aa gayi aap ghar

Ks: Haan Nani hum bas Abhi thodi der pehle hi aaye Hain

Bua sees two glasses of water on the table

S: Kashi ye do glass yaha kya kar rahe hain

Ks: woh hum pee rahe the (nervously) ek glass piya phir bahar gaye aur phir bhool Gaye toh dusra glass le liya woh sab chodiye aur ye bataiye puja ho gyi thik se (diverting the topic)

Nani: Haan ho gayi , haseena bitiya aur unki Bua bhi aayi thi toh unse se bhi mil liye

Ks: ohh Accha

Everyone went to their room while AS left for office. While going to her room Bua noticed SJ phone on the sofa and grew suspicious. She took the phone with her .

Malik house

Haseena was in her room while Bua ji and PJ were in the living room when PJ said

PJ: Jiji woh Mussoorie mein na swasthya shiveer (health camp) hai kal se toh hum haseena ke Abbu Ko le jaaye 1 hafte ke liye

Mm: haseena ki shaadi hai aur tum jaane ki baat kar rahi ho

PJ: Lekin Jiji woh ye sirf ek hafte tak lagi hai toh hum ho aate Hain na

Mm: bilkul bhi nahi , waise bhi woh Anubhav ki Bua Ko Tum mili nahi ho toh woh bahut jyada gussa ho gayi hai toh kal ki mehendi ki rasam mein toh aana hi hoga tumhen aur Haan mehendi ke saath saath Karishma ki godbharai (baby shower) bhi hai toh isiliye kuch tohfe lene hai toh chal na humare saath Shaam Ko

PJ: ji

Mm went from there leaving PJ helpless.

Singh mansion

Ks was in her room when Bua came

Ks: arre Bua ji aap yahan

S: tumhari tabiyat thik hai na Kashi (she asked sitting beside her)

Ks: Haan Bua ji hum thik hai 😊

S: koi aaya tha humare jaane ke baad

Ks: nahi .... nahi toh (nervously)

S: toh phir ye phone kiska hai (showing SJ phone)

Ks: ye...ye... woh...ye

S: tumhe jhoot bol ne ki koi jarurat nahin hai hum sab jaante (ks looked at her) hum jaante hai ki kaise Anubhav ne damad Ji ko ghar se bahar nikal diya aur unpe itna ghinona ilzam laga diya

Ks looked at her in shock

S: humein Kanpur se yaha par damad ji lekar aaye Hain aur hum yahan damad ji Ko unki jagah iss ghar mein wapas dilwane aaye Hain

Ks hugged her and started crying

S: shaant ho jaiye Karishma, hum aapse wada karte hai hum damad Ji ko ghar le aayenge. Anubhav ne jo Kiya woh galat hai

Office

AS was in his cabin and his phone rang and he picked up the phone

AS: kya hua haseena

HM: kyun hum aapko bina kaam ke phone nahi kar sakte

AS: kar sakti ho....accha thik hai bolo

HM: humein dinner date pe Jana hai

AS: what?

HM: Haan sab jaate hain humein bhi jana hai

AS: aah...ok tum Shaam Ko 8:00 baje tak ready ho jana , I'll come

Contract marriage ✓Where stories live. Discover now