Preesha meets Balraj

267 11 22
                                    

Two years passed and all went smoothly till their last exam. Now it was time to tell their families about their decision of marry each other.

They decided to tell preesha's parents first.

Rudraksh:Preesha tumko kya lagta hai tumhare amma appa mujhe accept karenge?

Preesha:tumhe koi reject kaise kar sakta hai?

Rudraksh:mai bohot nervous hu.

Preesha:kuch nahi hoga.

Preesha's parents accepted Rudra and gave them blessings.

Preesha:maine kaha tha na tumhe vo tumhe accept karenge.

Rudra:ha tum sach mein best ho

Preesha:tumhari tension to door ho gai par mera kya

Tumhare parents kya apnayenge mujhe?

Rudra:maa ko to tum ek jhalak mein pasand aa jaogi...par papa kya kahenge pata nahi...

Preesha:agar tum apne papa ko manayoge tab bhi nahi manenge?

Rudra:unhone meri baat kabhi nahi mani..mai vohi karta hu jo vo kehte hai.maine aaj tak unke faisle ko galat nahi bola

Preesha:chinta mat karo jo hoga dekhajayega

Rudra:hmm

Preesha's parents: Rudra beta kal tum apne parents ko humare ghar lana hum bhi unse mil lenge aur vo bhi Preesha ko dekh lenge.

Rudra:ji main unse baat karta hu...acha ab main chalta hu.

Rudraksh went to his dad

Rudra:papa..vo kal kya aap free hai

Balraj: kyu kya kaam hai?

Rudra:vo..mujhe aapko kisi se milvana tha

Balraj: kisse

Rudra:vo..meri college ki ...dost se

Balraj:tumhe pata hai kitna kaam hota hai mujhe aur tum chahte ho mai tumhari koi ese vesi dost se milu? Mere paas faltu time nahi hai

Rudra:papa please

Balraj:nahi bola na maine

Rudraksh gets a message from Preesha

She had sent a picture of a kurti

Message:

Hi Rudra, kal tum apne parents ko leke aa rahe ho na?

Mai bohot nervous aur excited hu

Maine ek kurti ki picture bheji hai...kal kya mai yeh pehnu?

After few minutes she messages again.

Tumhare parents ko khane mein kya pasand hai? Mai koshish karungi vo banane ki

Aur ha tumlog kab aa rahe ho

Rudraksh:preesha kitni khush hai agar mai maa aur papa ko kal leke nahi gaya to uska dil toot jayega mujhe papa se baat karni hogi

Rudraksh:papa please meri baat suniye

Balraj:Sharda samjhao ise mere paas ese vese logon se milne ka time nahi hai

Rudraksh got angry he said with lot of courage: papa vo esi vesi nahi hai

Balraj:kyu kya khaas hai usme

Rudraksh:papa main...main..

Balraj:kuch bologe?

Rudraksh:papa main use pyaar karta hu aur use shadi karna chahta hu

Balraj:yeh kya bakwas kar rahe ho

Rudraksh:bakwas nahi sach hai mai pyaar karta hu use aur use hi shadi karunga

Balraj:kya naam hai uska?

Rudraksh:preesha...papa Preesha bohot achi ladki hai.. ek baar use mil to lijiye

Sharda:vo keh raha hai to milne mein kya harz hai...ek baar to uski khushi ke bare mein sochiye

Balraj:tum bhi uski baanton mein aa gai...are ache se janta hu ese logon ko

Paison ke liye fasa liya hai apne bete ko

Rudraksh:papa bas agar kisi ke liye acha nahi bol sakte to bura bhi mat boliye. Aur apne meri khushi ke liye kabhi kuch nahi kiya. Is baar kar dijiye

Balraj:thik hai kal chalenge par agar vo ladki mujhe theek nahi lagi to main tumhari shaadi apne dost ki ladki se kara dunga aur tum na nahi karoge.

Rudraksh:thik hai.

Next day Rudraksh and his parents go and meet srinivasans.

Balraj:apka ghar itni choti gali mein kyu hai? Humari gadi bhi nahi aa pai chalke aa na pada itni garmi mein.

Preesha's father:maaf kariyega apko taqleef hui

Balraj:vo sab theek hai vo ladki kaha hai bulaiye usko

Rudraksh was getting angry on his behaviour

Later Preesha comes there. Rusha exchanged smiles.

Balraj: to tum ho Preesha

Preesha: ji

Sharda:beta tum bohot pyari lag rahi ho

Balraj: Rudraksh bata raha tha ki tum college ki top students mein se ek ho

Tumhare bohot ache marks ate hai aur Rudra ke to average number hi ate hai fir tumhari dosti kese hui ise

Preesha:main dosti insan se karti hu unke marks se nahi. Rudra ek bohot acha insan hai vo mujhe samajhta hai aur khush rakhta hai isliye

They talked for a while and then preesha tells Balraj that she wants to talk to him for a moment.

All were shocked at her boldness.

Preesha takes him in another room

Preesha:uncle apse aaj pehli baar mil pai hu aur pata nahi age kabhi mil payungi ki nahi isliye aapse aaj baat karni zaroori thi.

Balraj:kis bare mein ? yeh ki mai tumhe apni bahu accept karlu?

Preesha:nahi Rudraksh ke carrier ke bare mein.

Uncle Rudra bohot talented hai. Vo bohot acha gata hai aur guitar bajata hai. Usne competition bhi jeeta tha aur usmein Rockstar bane ke sari qualities hai.

Mai janti hu aapko in sab se nafrat hai isliye to Rudra bhi duniya ke samne apna talent lane se darr ta hai.

Vo aapka ladka hai uncle. Aap uski khushiyon ke bare mein nahi sochenge to kaun sochega. Aap use bohot pyaar karte hai isliye aap nahi chahte ki kuch galat ho uske saath par aapke gussa ke karan vo aapse door hota ja raha hai. Ek baar uski khushi ke liye apni zidd side mein rakh ke dekhiye.

Aap mujhe reject karke kisi aur ladki se uski shadi to kara denge par aap humesha uske pita rahenge aur vo aapka beta.

Aap mujhe accept kare na kare par uske talent ko please accept kar lijiye. Use rockstar bane ki permission de dijiye.

Balraj was silent for a while.

Balraj: humlog chalte hai.

Preesha:ji

They both came in hall

Rudra asks Preesha about what she told his dad. Preesha din't tell him.

Preesha's father: to kya faisla hai apka

Balraj: hum aapko kal bata denge abhi humne kuch decide nahi kiya.

They went.

Preesha's mom: kya zaroorat thi unse akele baat karni ki..dekhna isi vajah se tujhe reject kar denge.

Preesha: baat karna zaroori tha amma aur ab jo bhi faisla hoga unka mai maan lungi.

Next day Rudraksh and his family came to their house again early morning.

Preesha opened the door.

Will Balraj accept Preesha?

Do tell me in comments.

Vote if you liked this part.

Always for youWhere stories live. Discover now