3.let's switch 😉

136 17 7
                                    

Scene 1. Sumod Room,Night time

S: chota haddi,kya hain ye? Ab hospital se ghar aarahe ho? Raat ke 2:30 ho rahe hai!

P:ab kya kare susheela ji? Emergency thi, ab kya kare, doctors ki life esi hi hoti hain, aap meri jagah hoti to samaj aata!

S: na aur tum meri jagah hote to pata chalta intazar karna kitna mushkil hota hain! Khana table per rakha hain, kha lena and so Jana, me to chali sone, good night 🌃

P: Good Night 🌃🌉

................
Next Morning 🌄

S: ( waking up) yaar, ye subha itni jaldi kese hogai aaj, chalo baba, tayar hona hain

P: Na to finally uth gayi tum Susheela!

S: ( in mind)yo ise ke hua? Suheelaji se susheela!
Aur achanak se hariyanvi?

P: are soch ke rahi ho? Choti haddi!
Na jaldi se mere liye breakfast bana do, taki me kaatelal & Sons beauty parlour ja saku

S: kaatelal & Sons beauty parlour! Ke ke ke bol rahe ho tum Parmod, na tabiyat to thik hain na tumhari?

P: na maane to tumhari tabiyat thik na lag rahi, aur chalo ab time pass bohot hua? Tumhe ab hospital na jana hain doctor Sahiba?

S: doctor Sahiba aur main? Yo ho ke Raha Hain yaha?

P: ke Horsham hain matlab wahi ho raha Hain jo hamesha hota hain!ha wo to tum raat ko itna der se ghar aati ho, late soti ho, to shayad dimag per asar hogaya hoga!

S: na asar to tumhare dimag par hua hai Parmod

P: Parmod nahi pra..Mo..d

S: hain, lekin aaj achanak
( And suddenly Suheela ki najar ek photo par jati hain)

( She Takes photo in her hand)

S: yo kab ki photo hain?

P: na yo ke baat Hui, khud hi bhul gayi ye photo kab khichayi thi?
Yo yo tumhare pehele din ki photo hain jab tumhara as a doctor hospital me pehela din tha!

S: kya, mera doctor...hain bajarang bali ke horaha hain mere ghar me! Na Parmod yo ke prank kar rahe ho subha subha?

P: na muzhe koi kaam dhnada nahi hain ke subha subha uthke prank karne ko? Yaha finally hamari Mom Kusum me , hamari kafi convenience karne ke baad, mari aur mere bhai agni ki mehenat, lagan aur hosla  dekhte hue finally hame kaatelal & Daughters me kaam kare ko diya Hain yaha tak ki naam bhi change karwake kaatelal & Sons karadiya hain
Unka bharosa nahi todna hai muzhe!
Ek to pehle hi sab aurto ko Lagta hain ki ladke beauty parlour na chala sakte! Pata nahi kab sudhrenge log?
Kaam aur sapno ka koi gender thodi na hota hai?

S: Parmod Lekin

( Agnima enters)

G: ke baat hain jiju sahab, subhe subhe bade gusse lag rahe ho?

S: garima, tu police uniform me?

G: na to teri tarah ke doctor ke kapde pehen lo sis, inspector hu to inspector ke hi kapde pehenugi na

S: hain, garima tu bhi! Sab ko ho kya Gaya hain aaj?
Aur agni tum kya sherwani pehen kar aaye ho, shadi me Jana hain ke?

Ag: Na isme manne koi problem na hain! Mene pehle hi soch liya hain ki shadi ke baad se me sherwani aur dhoti hi pehenunga, me to bada comfortable hu in kapdo me, aur wese bhi beaty parlour jane ka koi dresscode thodi na hain!

( susheela is so much panic ki kya ho raha hain tabhi achanak se time ruk jata hai , sab log statue 🗽 hojate hain, aur uper se aawaj aati hain)

Voice: Susheela! Tum abhi ek mirror world me ho, yaha sab kuch ulta hoga kese wagra pucho mat, aaj tunhara din hain, kal koi aur is duniya me aayega!

( Voice aana band, aur status people over hojate hain)

Kaatelal and Sons: Glimpse of Future : ft.Sumodagnima, puvni & Masha Where stories live. Discover now