Ham Aur Hamari Galtiya

22 3 1
                                    

Zahid, there was one time in 10 std when zahid was rejected by a girl in front of everyone,his ego didn't accept that fact since then (narrator sighed~) 'tu hi bol bhai mai nahi bolta' shahzaib passed the mic to bazil
Since then zahid became a play boy, flirting to every other girl and girls even fell for him but he would change the girl after he won their heart.

Par duniya ka dastoor hai bhai, jitni speed se ball upar feko utni speed se niche bhi aata hain saying this shahzaib looked up
Wallah! Haddi torta toh chalta, bhaiyya kisi ka dil nahi torna chahiye, call it kaffara of his gunah or the someone's dua for him, he got very hard replied of his wrongdoings.

Aaiye ham aapko lekar chalte hain 2016 ke hamdaani hostel ke ek chote dorm ke teen larko ki zindagi mein, jisme mai aka shahzaib, bazil mera bhai (they hugged) aur hamara bewqoof dost zahid jo Khudko zyada hoshiyaar samjhta hain.

kiya aapko kabhi pyaar hua hain? Hamare dost ko har do din mei hota hain, jealous? Haha

zahid ke parents chahate the jo har Indian parents aapne bete ke liye chahate hain ya to wo engineer bane ya doctor ya bhai kuch to karna hi hai toh zahid ne thak haar ke doctorie choose karli, waise zahid sirf dikhne mei hi nahi balki parhne mei bhi acha tha par kya krein wo aapna dimagh achi jagah chor kar har buri jagah pe istemaal krta tha.

Hamare hostel ke paas wala hostel girls hostel tha, or doctorie choose krne ke baad zahid ne 38 females ko aese hi flirt karke chor diya tha ab ham bhi bore ho chuke the uski is shararto ki wjah se.

kyuki ye 10th standard ki larkiya nahi thi, dil jab kisi se lag jaye aur wo dil tor dein to jo ah nikalti hain arsh tak jaati hain, ab isko zahid ke kiye ki saza samjhlo ya hmari dua, zahid ki zindagi ab badalne wali thi, achi ya buri tarah se aaiye dekhte hain.

'Habibaa jaldii kar ham unhe miss kar denge' inse mileye ye hain zoya, jo ki raat ke 11:30 baje hostel ki dusri larkiyo ka picha kar rhi hai ye dekhne ke liye ki wo raat ko chup chup ke jaati kahan hai?
'pagl ham pakde gaye na toh unse phle ham maare jayege' habiba replied.
'tum log ka toh pata nahi mere doctor banne ka goal to gaya ammi  Abbu se pitai hongi alag' aur ye dari sehmi si larki hai hmari maryam. waise toh ye detective zoya ka hi plan tha par wo akeli ja nhi skhti thi, maryam ne bht roka ki jasusi achi baat nahi par zoya ne ye kehkar use chup kara diya acha kaam kar rahe hain, halaki zoya kayi din se fun dhund rahi thi or finally use fun mil hi gaya.

wo log hostel ke bahar aa chuke the dewaar ki piche se chupke chupke dekh rahe the ki watch gaurd bhi mila hua hain saala!

'Allaah taubah ye watchman kitna sharif banta hai subha' maryam ne hairaan hoke dheere se kaha

'meri bholi bacchi tune abhi duniya dekhi hi kaha hain' zoya ne ahiste se usey jawab diya aur habiba uske jawab pe hasne lagi.

Maryam boht hi neik larki thi waise,haya wali parde wali bhi aur dusro ki madad karne wali, opposite of our zahid, tabhi toh dono ka milna dono ki zindagi badal ke rakh diya.

'hasna band karo ye socho ham bahar kaise jayege?' zoya sochne lagi
'kiya?? Nahi hame dekhna tha saboot mil gya bas ab wapis chalo, ham bahar nahi ja rhe' maryam ne dar ke kaha, usey zoya ki shararto pe yakeen nahi, kisi din jail bhijwayegi ye larki. Allaah na karein..

'shhh maryam meri achi bachi tu ab choti h jaisa mai kehti hu ham waisa krege' zoya ne maryam ko taal diya Allaah hi bachaye ab.

Aur dusri taraf se zahid aur uske dost night out ke liye bahar nikle huve the

'please zoya ham chalte hain isse acha to ham terrace par party kar lete par ye nahi please'

'agar wo bure kaam ke liye paise de rahe hai ham ache kaam ke liye denge mere sath chalo!' zoya ne bade himmat ke sath kaha aur bahar nikli

Abee ye larki pagal hain!

Habiba aur maryam dekhti rahi usko bas, wo watchman uncle ko dhamkane lagi ke unko bhi jane dein warna video clip wo mam ko bta dengi, bas phir kya tha, gate unke lye princess ki tarah khola gaya aur teeno bahar aayi.

Aur dusri larkiyo ka picha karne lagi thi, aakhir wo ek cafee pe pohche jaha unhone us larkiyo ko kch larko ke sath coffee peete huve pakad liya

'Inko hidayat kon denga ab?' Habiba ne ghusse mei pucha

'ham denge in Shaa Allaah aao' teeno larkiya cafe mei enter huve aur dusri larkiya unhe dekh kar aese hairaan huvi jaise unki ammi ne unhe pakar liya ho!

Hostel ki teen sharif larkiya teen thodi bigri hui larkia ke sath! Agar sab pakde gaye toh mam sabko ulta tanga dengi haha!

Aur guess karo? Wo kuch ladke kon the? Ofcorse mai aur mere dost, zahid waise washroom gaya hua tha mai aur bazil baithe huve the bas.

'tum log ko sharam nahi aati aese kaam krte huve?' zoya shuru hogayi thi
'tum log bhi to yha ho!' liza ne jawab diya, hayee ye larki sundar hi nahi bolti bhi talwar jaisa hai!

'wo to ham tmhare lye idhar aaye ki hostel ki larkiya jaati kaha hain, dekho bahen or bhai' habiba hamare taraf murh ke boli

'ye advice samjhlo ya warning, aese kaam nahi karne chahiye, hamare maa baap hame padhne ke lye itne dur bhejte hain itna bharosa karke aur ham sirf unka aitbaar nahi tor rahe Allaah ko naraz kr rahe hain.'habiba ne pyaar se kaha
' koi dekho na dekho Allaah toh dekh raha hai na, acha lgta ye sab? 'maryam ne pucha aur sabne sharmindagi mei sar jhuka liya

' sorry Ham ainda aesa nahi krege ' zeba ne kaha' sorry hame nhi Allaah se maafi mangna beshak Allaah maaf krne wala bada ghafoor or rahim hain' kaha tha na hmari pyari maryam, dekho kitni pyari hain ما شا ء اللہ تعالیٰ.

Mission completed un teeno ne toh ham sbko sudhar diya tha kash zahid bhi hota, sudhaar jata kiya wo?

Maryam zoya aur habiba with liza fiza haniya k sath khushi khushi wapas  hostel ja rahi thi

Aur waha larke soch mei padh gaye the ki bandi ne baat to sahi kahi, tabhi zahid hero ki tarah aapni watch par time dekhte huve hamare paas aa gya par table ko khali paa kar ham dono dekhne laga, phir sab kahani zahid ko bata di.

Zahid aapni kiye par sharminda hone ke bajaye kuch aur hi soch raha tha

'koun thii ye shareefa jisne meri date kharab kardi abhi batata hu usko! Zahid ne aapni sleeve upar karke gusse se bahar aaya, 6 larkiya ja rahi thi use nahi pta tha konsi hai toh usne chilla kar kaha

' O mohtarma ' sabne morh ke dekha aur bas zahid ki nazr ek hi aankho par thi.

wo kaali aankho ne safed rang mei dhaal diya zahid ko.

case no 39Onde as histórias ganham vida. Descobre agora