Chapter 8: Beginning Or The End

3.7K 357 10
                                    

Next Day in the morning...

Rohit came to Shehnaaz's house with a packet full of sweets. As soon as Shehnaaz's mother opened the door, Rohit touched her feet and feed her a sweet. Then he went to Shehnaaz's father and did the same.

"Arrey subah subah mithai kis khushi mein?" Santosh Ji asked.

"Uncle, Aunty meri job lag gayi hai. Next week join karunga." Rohit said with a huge smile on his face.

Shehnaaz's parents became glad to hear the news.

"Congratulations! Kitni acchi news sunai tumne. Dil khush hogaya. Sana ko paata hai?" Pammi Ji said.

"Abhi tak toh nahi. Waise hai kaha woh?"

"Apne kamre mein. Jaao jaake khush khabri de do usse."

Rohit nodded and went to Shehnaaz's room.

"Rohit toh humesha se hi brilliant student tha. He deserves this. Jo bhi kaho humari Shehnaaz ke liye Rohit se accha ladka kahi mil hi nahi sakta." Santosh Ji said.

Pammi Ji agreed. "Sach kaha apne. Ab toh naukri bhi lag gayi hai. Mujhe aur der nahi karna. Main aaj hi Rohit ki Maa se baat karungi inn dono ki shaadi ke baare mein."

Rohit entered Shehnaaz's room and saw her playing guitar. She was making a video. After it was finished, Rohit clapped. Shehnaaz noticed him.

"Rohit, tu kab aaya?" Shehnaaz asked.

"Bas abhi abhi. Youtube par post karegi yeh video?"

"Hmm. Hope accha response aaye. Waise tere haath mein kya hai?"

"Yeh toh bas....." Rohit suddenly stopped looking at Shehnaaz's room.

"Ek minute. Tera room kuch badla badla sa lag raha hai." Rohit said and looked everywhere. There was no poster, no photo, no magazines of Sidharth Shukla. The room was looking empty without all these.

"Yeh kya hai? Yaaha itne saare photos, posters, magazines the, sab gayab?" Rohit asked.

"Kaal raat ko hi maine sab nikal diye." Shehnaaz replied.

"Lekin kyu?"

"Bohut jee liya yaar sapno ki duniya mein. Ab aur nahi. Ab waqt aa gaya hai reality ko apnane ka."

"Yeh sab karne se kya tu Sidharth ko apne dil se nikal paayegi?"

"Nikal chuki hoon. Sidharth was like a mirage jiske peeche main pagalon ki tarah bhagti jaa rahi thi. Jo end mein mujhe hi hurt kar gaya. Now I want to focus on my career. Bohut badi singer banungi main. Pure world ko dikha dungi ki main kya kar sakti hoon. Aur phir tu toh mere saath hai hi." Shehnaaz said and looked at Rohit with full of trust in her eyes.

Rohit put his hands on her shoulders and said, "Of course hoon. Dekh ke accha laaga ki tu samajh gayi. Lekin tu sapno ki duniya se bahar nahi aayi, bas tera sapna change hogaya hai. Aur yeh wala sapna sirf tera nahi hai, yeh mera bhi sapna hai ki log mujhe dekhte hi kahe, 'Arrey woh dekho, Shehnaaz Gill ka husband jaa raha hai.' Tab mujhe bohut proud feel hoga."

"Sirf meri akele ki hi responsibility nahi hai tujhe proud feel karane ki. Tujhe bhi toh accha sa job karna hoga, naam kamana hoga." Shehnaaz said.

"Arrey main toh bhul hi gaya. Yehi toh baatane aaya tha main. Meri job lag gayi hai. Acchi khaasi salary milegi."

"Abe tune pehle kyu nahi baataya? Congrats yaar! I'm so happy! Itni badi news aur tu ab baata raha hai. Fitte muh tere." Shehnaaz said excitedly and hugged Rohit.

"Main bohut khush hoon. Tune itna struggle jo kiya hai."

"Maa ne bhi bohut struggle kiya hai. Papa ke jaane ke baad akele mujhe bada karna unke liye asaan nahi tha. Ab main earn karunga aur unki saari khwaishein puri kar dunga." Rohit said. He became emotional.

First Love Or True Love (Completed)Where stories live. Discover now