Chapter 5: We Will Meet Again

Start from the beginning
                                    

Shehnaaz nodded in no.

"Tujhe paata hai aaj subah se Rohit kitna excited tha? Woh Shefali ke ghar isliye nahi gaya taa ki woh yaaha yeh sab kuch arrange kar sake. Tu lucky hai jo woh tere liye itna kuch karta hai. Aur tune usko hi suna diya?"

"Par usne jo kiya..."

"Usne kuch jaan bujh kar toh nahi kiya. Waise bhi yeh jhut bolne ka idea teri Mummy ka tha."

"Mummy ka?"

"Haan. Ek baat bolu? Rohit tujhse bohut pyaar karta hai. Sidharth Shukla ek star hai. Uske liye tere mann mein jo feelings hai woh hai. Lekin iss chakkar mein Rohit ka dil mat dukha."

"Aap sahi keh rahe ho. Maine kuch zyada hi bol diya. Rohit gussa hai mere se?" Shehnaaz asked innocently.

"Woh toh hai thoda bohut. But uss se bhi zyada bechara hurt hai."

"Main maanaungi toh maan jaayega?"

"Koshis kar ke dekh."

Shehnaaz came out of her room. She saw Rohit leaving and said, "Kaha jaa raha hai? Tere bina main cake cut nahi katungi."

"Bohut raat ho chuki hai. Ghar mein Maa akeli hai. Tu cake cut karle. Waise bhi meri kya zaroorat hai." Rohit said.

Shehnaaz went near him and said, "Zaroorat hai. I'm sorry. Tujhe toh paata hai na main kuch bhi bol deti hoon. Meri baaton ko kya dil pe lena?"

"It's ok."

"Kya ok? Agar tu mere saath cake nahi katega toh main samjhungi tune mujhe maaf nahi kiya."

"Samajh le nahi kiya maaf."

"Please aisa mat kar. Main kaan pakadti hoon. Aage se aisa kabhi nahi hoga." Shehnaaz pulled her own ears.

Rohit couldn't help laughing seeing this cute baby doll.

"Kya kar rahi hai? Pagal hai tu? Chal maaf kar diya. Aur tu bhi mujhe maaf kar de." Rohit said.

"Pakka kar diya nah?"

"Haan Baba kar diya. Chal ab cake kat te hai." Rohit said.

They both went to cut the cake. Shehnaaz's parents smiled seeing them.

Late At Night...

"Tu kyu waha se aise bhaag gayi? Paata hai hum kitna shocked hogaye the?" Shefali said on phone.

"Ab aur kya karti? Rohit ne aise dara diya tha... Lekin maine bhi kuch zyada hi bol diya. He just wanted to make me happy." Shehnaaz said.

"Haan woh toh hai. But tujhe bura toh bohut lag raha hoga. Tu Sidharth ke saath stage share karne wali thi. Aisa mauka kismaat walo ko milta hai."

"Bura toh lag raha hai. But if destiny wants, we will meet again." Shehnaaz said and looked at the poster of Sidharth.

"Hum dobara zaroor milenge."
_______________________________________

Sidharth returned home late. He saw his Mom waiting for him at the dining table.

"Aa gaya tu? Ruk main abhi khana laga deti hoon." Rita Ji said and started serving the food.

"Mom aap abhi tak soyi nahi? Maine toh kaha tha ki mujhe der hogi." Sidharth said while sitting on the chair.

"Tune itni der se kuch nahi khaya, main kaise aram se so jaati? Main toh bolti hoon itna kaam mat kar, it's not good for health. At least time se khaana toh khaa le."

Sidharth smiled and started eating. Suddenly he remembered the incident that happened in the concert. How that girl ignored him and left from there. He felt insulted. Sidharth stopped eating.

"Why am I even thinking about her?" Sidharth asked himself.

Rita Ji noticed that and asked, "Kya soch raha hai? Kuch hua hai kya? Sonia ke saath kuch..."

"Nahi nahi Mom. Waisa kuch nahi." Sidharth said and again started eating.

"Kuch toh baat hai. Tu khoya khoya sa lag raha hai. Apni Mom ko bhi nahi baatayega?"

"Paata hai aaj concert mein....."

Sidharth told her the whole story.

"Maine socha bhi nahi tha ki koi mere saath aisa karega. Sach mein woh ladki bohut ghamandi hai. Warna mere stage par bulane ke bawajood aise kaise chali gayi?"

"Ho bhi toh sakta hai uska koi zaroori kaam aagaya tha. Yaa phir koi aur problem tha. Bina jaane aise hi kisi ko judge karna acchi baat nahi hai." Rita Ji said.

"Toh phir usne haath kyu uthaya? Agar woh haath nahi uthati toh main bhi usse nahi bulata."

Rita Ji laughed and said, "Tujhe bura laga?"

"Mujhe kyu bura lagega? It was her loss. She missed a big opportunity. Mujhe uss se kya?" Sidharth said.

"Haan yeh bhi sahi hai. Accha ab main sone jaa rahi hoon. Tu bhi khana khatam karke so jaa." Rita Ji said and left.

"Aaj jo bhi hua usse toh main humesha yaad rakhunga. I hope ki hum phir kabhi naa mile. Aur agar by chance mil bhi gaye toh main dikha dunga ki Sidharth Shukla hai kaun." Sidharth said in his mind.

_______________________________________

How's the chapter?

Vote if you liked it.

First Love Or True Love (Completed)Where stories live. Discover now