part 15

223 21 11
                                    

Next day....      
The day of Roshan's marriage 🥰❤️
Aman comes with his family and friends in roshni's house and roshni is readying in her room Farrah comes to her...
Farrah: roshni...roshni jiju aa gya
Roshni: 😊😊
Farrah: aaye hye roshni to shaarma gyi
Salma ji comes and said
Salma ji: bss baata hi karta rehna jaldi aayo Bahar..Hye mari laado kitni pyari lag rhe ha Nazar na lag Jaya😗....
Everything is set for their marriage and it's the time for it....
Roshni's(POV):Mohabbat jisse karti hu usse hi aaj mera nikaah hone ja raha hain. Par kuch bhi pehle jaisa nehi hain Agar us din wph sab kuch nehi hua hota to shayad aaj hum ek Zindegi sajate jo khawabo jaisa hota..Asmaano ke sitaaro jaisa damakta rehta...Dil mein sukoon hota nahi aisi ghabrahaat....Mujhe malum hain Aman mujhse abhi bhi Mohabbat karta hain magar aaj Uss mohabbat mein woh pehle jaisi chahat kahan?Jo bhi ho mein usse beinteha mohabbat karti hu aur uske family ko bachana mera hq hain.
Roshni seedi se neeche uthar rahi hain....Roshni Neeche dekh rahi thi to Dusri taraf do nigahe use dekhne ke liye kabse bechain hoke pade the...Aman Roshni ke taraf bina palke jhapkaye Dekh raha hota hain...Rooh se rooh ka jo rishta hain yeh......

Aman(POV):Pata nehi hum kaise ek dusre ke hum safar baan rahe hain. Kya hain iss rishtey ki wajood.Mohabbat to nehi hain kyuki woh to kabka khatam ho gaya na uska mere liye Mein To abhi bhi wahi Aman jo  Roshni ko iss qadar pyaar karta hain jo uss pyaar mein khudko fanah karda...Par yeh jo rishta judh raha hain woh ab humara haqiqaat hain...Jise hume samna karna bhi hoga aur ek dusre ke sajhedar banna bhi padega.
Roshni apne jagah pe beth gaai hain.Aman aur Roshni dono hi ek dusre se alag dishao mein bethe hain...Aur beech mein ek Chunri hain jo parde ka kam pura kar raha hain.
Qazi:Roshni Apka nikaah Aman junaid khan wald junaid khan ke sath inn waqilo ke maujudgi mein mey meher 50 lakh rupay sikka raijul waqt tay paya gaya hain kya apko yeh nikaah qubool hain?
Roshni:(After a fer mins and in a low voice):Qubool hain!!
Qazi:Aman Junaid khan wald junaid khan apka nikaah Roshni Ahmad ke sath mey meher 50 lakh rupay sikka raijul waqt tay paya gaya hain...Kya Apko yeh nikaah qubool hain?
Aman:Qubool hain!!!
Qazi:Mubaraak ho Nikaah Ho gaya..

Everyone smiled And  sabko sab mubarak bat dete hain
Dadi:Salma ji ab hume humari ghar ki Roshni ko le jane ki izaazat dijiye
Salma:Ji Yeh to apke hi ghar ki roshni hain Mere ghar ko to bas yeh kuch dino ke liye ujala karne aai thi yeh
Salma went to Roshni
Salma:Laado iss nikaah ka samman apne andar banaye rakhna...Nikaah koi aam baat nehi hain...isse rooh se rooh dudh jati hain...Aur Aman aur tera to dil se dil ka connection hain na...
Roshni:Hmm
Salma:ek baat yaad rakhna Aanso na hota to ankha itni khubsurat na hoti dard na hota to kushi ki koe kemat na hoti...agar mil jata koe chahne sa to is duniya ma upar vala ki zarurat na hoti
Roshni smiled and hugged Salma..
After Some time they reached Junaid manzil.Sara saima Took her to The room which was fully decorated with red and White roses and beautiful candles were also kept there.
Sara aur Saima Roshni ko Bed ke beecho bech betha dete hain aur ghunghaat neeche utar dete hain.
Sara and saima:Bhaai ap jyada tention mat lo hun bhaai ko jaldi bhej denge.
Roshni Felt shy.
After a while Aman came there.
Aman bed pe beth ke Roshni ka ghunghaat hata deta hain...aur iss khubsoorat haseena ko dekhke iss dewane ki to sanse hi tham gaai...
Aman: hye...tariff karoon aapki ja karoon us parlor vali ki jisna aap ko sajaya
Roshni: what..
Aman: no vo ...I mean aapki aankha kua ki terha unma dub Jana ka maan Kar rha ha...aapka baalo ma uljana ka maan Kar rha ha....
Roshni Apna ghunghat utarke Bed se utar jati hain
Roshni: agar tarrif karni nhe aati na to maat hi karoo and tumha bi pata ha humari shaddii normal shaddiyio ki terha nhe ha so aapna chichora maan ko room ka Bahar chod ka aayo🙄
Aman: kyu
Roshni:Ab ho gai na nikaah..Ab bas tumko tumhara promise nibhana padega
Aman:Matlab?
Roshni:Yaad hain na Tum joru ke gulam ho nikaah ke bad sa
Aman:Par aaj to
Roshni:kya aaj to
Aman:aaj to humari pehli raat hain na
😊 To
Roshni:Haan to..jaao aur couch pe jake so jaao
Aman:Par....
Roshni:jate ho ke nehi?
Aman:Haan ja raha hu
Aman Sofe pe jake sona gaya
Aman(in mind):yeh sab kya ho raha hain...shayad sab meri hi galti hain....Yeh rishta aaj aise nehi ulajh jata..Bas aab sab kuch allah apke hath pe hain
Roshni(in mind):Mujhe Aman se khud sa dur rakhna hoga...Verna mein uske samne kamzor padh jaungi...Pata nehi kaise karungi par allah mere sath hain....
Aman stands and comes to roshni and pulls her blanket....
Roshni: Kya ha...ab Kya Lana aaya hoo
Aman: Kya Lana aaya ho Matlab ...aaj ka din to chain sa Sona do...
Roshni: theek ha Chalo so jao but sirf aaj..hi tumhari baat sunugii..phir sirf Mari
Aman and roshni bed pa laat jata ha but distance maintain Kar ka
Dono hi so jaata ha... after some time ...almost in mid night cold wind start ho jati ha and barish bi...so roshni ko thand lagna lagti ha but Aman aaram sa so rha hota ha ( as you know very well jinn ha aag sa bana ha so usa thand nhe lagtii)
Roshni in sleepy tune: Khanbaba Khanbaba .         Aman in sleepy tune :  Kya hua
Roshni : muja thand lag rhe ha Kya aap itni Durr soa hoo ... blanket ma Hawa guss rhe ha and muja thand lag rhe ha
Aman: acha idar tum idar as jao
Roshni: no aap aao
Aman: roshni tum aao
Roshni: acha thoda aaga aap aao thoda aaga ma aati hoon...okkk
Aman: okkk..Aman thoda roshni ki terf aata ha and roshni bi Aman ki terf aati ha and both slept by hugging each other 😴😴

unconditional love Where stories live. Discover now