Chapter 2

957 42 162
                                    

----------------------------------------------------------------------
RECAP
Raj: Main janta tha proof ke bare mein zaroor poochenge aap. To yeh lijiye, yeh hai meri phone. Uncle yeh dekhiye, is phone ke gallery mein, 2 saal pehle wali photos dikhata hoon main. (He says while scrolling down the phone while sharing the screen with her dad) yeh dekhiye uncle yeh rahi aapki beti, meri mangetar ka picture. Mangni humne jaldi jaldi kiya tha, isliye witness sirf iske dost the. Yeh dekhiye aapki beti, meri mangetar lal saari ode hue aa rahi hai. Is photo mein wo apne doston ke saath photos kichwa rahi hai. Aur ye dekhiye, is photo mein aayina bhi hai jisme aap dekh sakte hai ki sherwani pehne hue jo iski photos le raha tha woh main hi hoon. To ab to aapko meri baat..., hamaari baat pe yakeen hogi.


----------------------------------------------------------------------


Satisfied with the proof, and also with his trust on his beloved daughter, baba smiles and hugs Rajveer. He was happy from within the heart today as Rahul had everything power, money, position and even loved her a lot but he didn't know how to talk to women or how to respect them, whereas Rajveer was a complete gentleman.

Baba: Thik hai. Beti tum jee lo apni zindagi. Main janta hoon ki tumne bhi bohot soch samaj ke apni zindagi ka yeh bada faisla liya hoga. Aur meri beti ke decisions par mujhe poora bharosa hai, koi doubt nahi. Agar aaj ye photos bhi na dekhe hote to bhi main tumhe jaane deta Rajveer ke saath par in photos ko dekhne ke baad hum dono ko ye to tasalli milegi ki ye sau taka sach hai. Aur jis tarah Rajveer beta tumhe dekh raha hai, bina tumpe chillaye tumhare aur Rahul ke mangni ke liye, jis tarah se wo tumhari photos kheench raha tha tum logon ki mangni ke waqt bina apne aap ki photos liye😂, mujhe to bas uske aankho mein tumhare liye respect dikha hai. (he gives Rajveer an understanding nod & a playful smile with a wink, and seeing Rajveer's shocked face he continues) Pyaar bhi dikh raha hai shayad par respect maine dekh liya hai. (turning towards Rahul) Aur Rahul main janta hoon ke tum meri bacchi, hamare bete ki gudiya se pyaar karte ho. Par kya tumne kabhi socha hai ke tumhare is short tempered nature ke vajah se ye khush reh paayegi ya nahi? Tumne to sirf family nahi balki saare guests ke saamne hi yeh keh diya ki yeh is mangni ko todne ke liye Rajveer ko yaha le aayi hai. Aur to aur bina kuch sune, bina kuch soche tumne uspar chilla dia. Mujhe meri beti aise ghar mein bhejna uchit nahi lagta. Isliye beta main tumse vinati karta hoon agar tum meri bacchi se saccha pyaar karti ho to please use apne pyaar ke sath rehne do. Main tumse haath jodkar vinati karta hoon, aur is embarrassing situation ke liye gudiya ki taraf se main tumse maafi mangta hoon.

When he says this, Rahul ducks down and stops baba from bending and touching his feet.

Rahul: Baba pyaar to main usse saccha wala karta hoon. Isliye main is baat ko yahi chod raha hoon (then turning towards Rajveer) aur tum..agar tumne iski acche se dekhbal nahi kiya to main apni princess ko tumse door lekar rahunga samjhe. Tumhare pas sirf ek mauka hai. Agar use gawa diya to main zimmedar nahi rahoonga....samjhe?

(Kya hua...itne shocked kyun ho? Rahul se aisi response expected nahi thi kya? 🙄😮😲😯 Par ye mera IDEAL 2nd male lead hai, to ise to selfless banana hi tha 😛🤪🤪)
RNRaina1858 ab aapko princess ka matlab pata chal gaya hoga. Maine use koi princess nahi banaya hai so don't worry, main itna bhi actual story se deviate nahi karungi ki aap log character hi imagine na kar paaye😅


Rahul ma baba ko namaskar karta hai, aur naina se gale milta hai. Aur phir ek baar phirse wo Rajveer ko ghoorta hai and wo chala jata hai.

Silsila Ye Chaahat Ka (Very Slow Updates)Where stories live. Discover now