3 VACHAN

1K 83 8
                                    

The feast went on smoothly only Dakshyani was upset and angry the entire time. All retired for the night and Amarsri and Srinav were together in a room, sitting on the swing and enjoying the cold breeze.

"Mujhe vishwas nahi ho raha ki yeh swapn hai ya aap sach mai mere saath hai." Srinav said. Amarsri smiled.

"Pehle sochta tha ki aapko paa liya toh jeevan ki har iccha poorn ho jayegi kintu vidambana dekhiye, aapko paane ke baad lagta hai ki jeevan mai koi iccha shesh hi nahi rahi. Lagta hai ki sara jeevan hi sampoorn hogaya." Srinav said. Amarsri smiled at his cuteness.

"Accha batayiye aapko yeh kab abhas huya ki aapko mujhse prem hai ?" Srinav asked.

"Mujhe toh tumse sadev prem tha." Amarsri said.

"Toh fir aane mai itna samay kyu lagaya ?" Srinav asked.

"Kuch prashno ke uttar samay par chod do Srinav." Amarsri said trying to change the topic.

"Accha aap toh trikal-darshi hai, bhoot, bhavishya sab jaanti hai. Toh batayiye vivah uprant mera bhavishya kaisa hai ?" Srinav asked.

"Bhavishya aise hi nahi bataya jaa sakta Srinav." Amarsri said.

"Mujhe aisa kyu lag raha hai ki aap mera bhavishya mujhse gupt rakhne ka prayas kar rahi hai ? Kyu Swamini ?" Srinav asked.

"Srinav, pati-patni ka bhavishya aapsi sehmati aur vishwas par tika hota hai. Jinka dampatya inn dono guno se susajjit ho jaye unka toh jeevan ujjwal hi hoga." Amarsri said.

"Aapsi sehmati aur Vishwas ko banaye rakhne ke liye kya karna hoga ?" Srinav asked.

"Do saral maarg hai, vachan dena aur vachan ka palan karna." Amarsri said.

"Samaj mai sukhi jeevan ke liye saptpadi arthat 7 vachan nirdharit hai." Srinav said.

"Tumhare aur mere sukhi dampatya ke liye keval 3 vachan paryapt hai." Amarsri asked.

"Aur woh kya hai ?" Srinav asked. Amarsri smiled and summoned three flowers.

"Pehla vachan, mere kahe ka sadev palan karna." Amarsri said giving one flower.

"Dusra vachan, mujhse kabhi asatya mat kehna." Amarsri said giving him the second flower.

"Aur teesra vachan, mujhse kabhi koi baat gupt mat rakhna." Amarsri said giving him the third flower.

"Kintu asatya na kehne aur kuch gupt rakhe mai kya antar hai ?" Srinav asked.

"Asatya bolne ka tatparya hai ki satya jaan kar bhi usse badal dena. Aur gupt rakhne ka tatparya hai ki satya ka gyan hone par bhi satya na kehna." Amarsri said. Srinav nodded.

"Bolo Srinav kya tum yeh vachan dete ho ?" Amarsri asked.

"Mai aapko vachan deta hu ki mai kabhi aapse koi baat gupt nahi rakhunga." Srinav said giving her the first flower.

"Mai kabhi aapse kuch asatya nahi kahunga." Srinav said giving her the second flower.

"Aur aapki kahi har baat mujhe sadev swikarya hogi." Srinav said giving her the third flower. They both hold their hand together.

"Aaj se inn teeno vachano ka palan karna mera dharm hoga. Aur jis bhi din mai kisi ek vachan ka palan na kar paya toh woh din mere jeevan ka antim din hoga." Srinav said

"Srinav !" Amarsri scolded for saying the last part.

Srinav smiled seeing her worry for him and kept his head on her shoulders.

¤¤¤¤¤
A/N

THESE THREE PROMISES MAKE AMARSRI THE DOMINANT ONE IN THE MARRIAGE. BUT HERE SHE DIDN'T UNDERSTAND THAT BOTH HUSBAND AND WIFE SHOULD BE EQUAL FOR A HAPPY LIFE.

HARIHARESHWARI 3 : PREM-LEELAWhere stories live. Discover now