Chapter 121

1.2K 104 25
                                    

"Stop it Ananya "said Dev angrily looking at Ananya who is sitting on the floor."tumhe lagta hai ki iske samne rone se ye tumhari baat manegi ."He said sitting in front of  her."Niyati ne tumhe isse marne ke liye Chuna hai .Uttho aur apne saari Shakti se issper war karo " He said pointing at Timnasa . Ananya looks at her taking deep breath .Gathering herself , she stands up in front of her.Closing her eyes she extend her hand toward her, and attack on her from her magic.Magical rays emerge from her hand ,goes toward Timnasa .Timnasa  looks at her with smile as her magical ray touch her without causing any effect.Timnasa smile become wide as she attack on Ananya and she falls on the floor.
"Ananya"Balveer  attacks on Timnasa as Ananya fall down .
"Kya baat hai"said Timnasa as she stops after sliding some steps backward."Chot dil per lagi Kya Balveer."She looks at Balveer as he is glaring at him fuming from inside."Tumhe laga ye ladki mujhe maar sakti hai"She laughed loudly as she speaks.Balveer closes his eyes , clenching his fist tightly , feeling defeated.All his efforts to kill Timnasa seems to be useless.How much he struggled to know about Ananya and today when it's time for final battle ,Ananya is lying on the ground looking at him feeling sorry for not able to do anything.

"Tum logo ko to thik se pta Tak nhi ki Timnasa kaun hai"She said as her laughter dies ."Drak lok jaise sunsan lok se kaise maine Kaal lok per raaj karna suru kiya iska andaza tak nhi hai tumhe."She speaks leaning forward toward Ananya and then stands up looking at Balveer."hazaro saalo tak mai Drak lok me gumnaami me jee rahi thi bina ye jaane ki iss lok ke bahar bhi ek duniya hai"She turns back lost in those days."tab tak jab tak tum jaise achhai ke rakshak ne  hum jaiso ke liye usse bandi grah ke roop me  istemal karna suru kar diya.Ek ek kar ke alag alag lok se waha logo ko bheja aur mujhe uss duniya se aage ke bare me jankari milne lagi."She paused as she looks back at Balveer."Bhaymar unme se ek tha.Jo ek lok ka raja tha ."She turns back tapping finger tip of her both hand as she again starts telling her story."Ek baar kisi ke galatfehmi me ek begunah ko Drak lok bhej diya tha jisse chhurane tunhare pita Sarvkaal aaye the"She Said looking at Ananya as she completed .Ananya and Dev looks at her with wide eyes."Aur usse bachha kar le gya ."she continues ."Mai btana bhul gayi"She said tilting her head toward Dev and Ananya as they are looking at her confused."Maine to usse pehle hi maar diya tha"She said pretending to regret "Aur uske umr chura kar khud Sarvkaal ke sath Sweat lok pahuch gyi.Bechare Sarvkaal mujhe bholi bhali masoom ladki samajhta tha .Maine bhi kya khoob abhinay  Kiya aur apni achhai se uski shishya ban gayi "She said acting to be innocent."Bechara khud mujhe siksha deta raha aur mai uske shiksha se ussi ke lok me  logo ki shaktiya chinne lagi .pta hai maine kya socha tha"She said leaning in front of Ananya who is looking at her without blinking."Bahut hi ahinsak si yojna thi meri.Bas Sarvkaal se Vivah kar ke sweat lok ki rani banna tha ."Ananya gasped as she speaks ."Per tumhari maa Devaki ne sab bigar diya . Sarvkaal ko usse pyar ho gya aur usne usse shaadi kar li"She speaks angrily standing up."Bahut gussa aaya tha mujhe per phir bhi maine sabr se kaam liya ."She smiles as she paused."Ek na ek din Devaki aur sarvkaal ko to mara  hi tha phir Sweat lok per mera hi raaj hota.Per mere iss yojna me bhi kuch pareshani thi .Agar Devaki maa banti to phir Sweat lok ko uska agla sasak mil jata .Issliye maine tumhari maa ko humesha ke liye banjh bna diya ."She smiles looking at Ananya as silent tears rolls from her eyes ."Sab kuch sahi tha per sarvkaal ne sarvagyat Vidya ki siddhi suru kar di jiske pura hone per wo ek hi samay me uss samay Brahmand me ghat rahi sari ghatnao ke bare me jaan sakta tha To mujhe usse majbooran urja srot me badelne ke bare me sochna para .Siddhi ke bicch me hi usne tumhe pta nhi kaha utha le kar aa gya."She speaks aggressively "Koi kab tak dhairya rakhe.Maine Devaki   ko dand dene ka tay kar liya .per itni bhi buri nhi hu mai . tumhe  aasan maut dene ka socha tha maine."She tilt her head toward Ananya ."Per sarvkaal  ne jald hi apni siddhi puri kar li .Usse  pehle hi
pta chal gya ki mai Devaki aur tunhare saath kya karne wali hu .Usne apni patni se pehle tumhe bachana jaruri samjha.Aur tumhe darti per chhor diya.Jab to wo wapas aaya tab tak Devaki pathhar ki ban chuki thi .uss bechare ko ye nhi pta tha ki uske liye maine pehle hi upay laga diya tha . Kyuki wo maine uske Siddhi paane se pehle ki thi."She looks at Balveer who is looking at her in rage with  shocked ."Sweat lok ke bhayrani banne ke baad maine Drak lok se un logo ko aazad kiya jo waha saja kaat rahe the.Sab ne Khushi Khushi meri gulami swikar kar li swivay Bhaymar ke per usse bhi meri gulami swikarne pari." She smiles looking at Balveer ."Jab Balveer kuch bewakoofo ko marne me vyast tha tab mai unke nakaraatmak urja ko ek ekatrit kar ke kaal sastra banana suru kar diya.Aur jab kaal sastra ban gya tab mai sakriya ho gayi ."

She looks in Baalveer's eyes with smirk."Tumhe lagta hai Itne saalo se khada ye samrajya ye ladki mita sakti hai "She said as her eyes reflects her madness."Isski maa ko pathhar bana kar saalo tak rakha kya kar payi ye.Iske pita ko saalo tak apna gulam bna kar rakha kya kiya isne .Ye khud meri gulam thi kya kar paayi ye .Pariyo ko ek ek kar ke maut ke ghat utar diya kya kar payi.Aur aaj iske samne iska beta tarap tarap kar mar raha hai kya kiya sunne "She said looking at Balveer ."Per tum kuch kar sakte ho Balveer jisse tumhare partner ko kam dardnak maut mile ."She smiles looking at him and turn toward Vivan who is very badly struggling due to pain.Balveer looks at Vivan and then at Timnasa."tum bas apne gutno per baith kar mere pairo me sir rakh kar, Bhayrani Timnasa ki jai , Bas itna bol do " She speaks with smile. Balveer looks at her as he recall day of Kaal kilvish when he refused to say those words.He looks at Timnasa angrily and then at Vivan and again glare Timnasa ."Aankhein nicche "Said Timnasa sternly .He sighed looking defeatly.He looks down clenching his fist angrily at his helplessness.

Timnasa tilted her head toward Ananya who is looking at ground."Aaj  tum apne bete ki jaan aur  pati ka maan jaate hue Dekhogi aur tum kuch nhi kar paaogi .Ek majboor hari hui ladki ke alawa aur koi nhi ho tum ."
She turn toward Balveer signalling toward her feet as Balveer starts  bending down.

"TUMHARI MAUT HU MAI TIMNASA"

So How was the chapter?
Precap- Kya dena ,aap sab khud hi samajhdar ho.




KUCH TO HAI TERE MERE DARMIYAN-SEASON 2Where stories live. Discover now