The past unfolds

2.5K 187 39
                                    

(After As went HM sat on her chair resting her head on the table.)
Ks: Maddam sir..aiyye lunch Kar lijiye..aaj hum ne khud Apne haatho se bhindi banayi Hain..(Although HM was in no mood to eat she couldn't deny her smiling face.)
(All of them were eating and talking when KS by mistake dropped some curry on HM's uniform.)
Ks: ohho...Maddam sir Aap abhi k abhi change Kar lijiye...gym room mein extra shirt Hain na?
Ps: ek kaam dhang se Nahi Hota na..(she taunted Ks)
Ks: ama chup rahiye Pushpaji...Maddam sir jaldi jayiye..
(She literally pushed HM towards the gym room and smirked.HM came out after changing.)
Ks: Maddam sir jaldi Chaliye ek bohut zaroori kaam Hain..
HM: Kaha Karishma Singh?
Ks: raaste mein batate Hain..(she dragged HM to her bike.)
Cc: Arey Aap dono apna phone toh yahi bhool Gaye (he shouted in vain).
-----------------------------
Headquarters
As: Haseenaji ne shirt badal li..Hume Mpt Jana Hoga.(He rushed out of his cabin.)
-----------------------------
A deserted highway
HM: karishma Singh hum Yaha kyun aaye Hain?
Ks: sach Janna Hain Maddam sir..bataiyye Ka challa Hain Aapke aur Anu bhaiyya k bich..
HM: Aap kya...(ks cut her off.)
Ks: Ghabraiyye mat Maddam sir..hum Subha sunliye the Aapke aur Anu bhaiyya k bich ki baatein..
HM: aur isiliye Aapne humari shirt pe curry girayi taki hum shirt badle..aur phone bhi wahi chhod aye..(she was surprised.)
Ks: haa Maddam sir..Aap ko Anu bhaiyya k paas wapas Jane Ka jaroorat Nahi Hain...
HM: Nahi KS Woh Khudko chot pouchayenge..
Ks: Jo Karna Hain kare..Aap unhe Apne haal pe chhod dijiye..
HM: hum aisa Nahi Kar sakte ks..hum Pyar Karte Hain unse..ek baat puchni thi aapse..
Ks: puchiye na Maddam sir
HM: Anubhav Ka bachpan Kaisa tha?I mean Woh Raat ko neend mein Kuch barbarate Hain..rote bhi Hain..Hume please bataiyye ks..
Ks: Thik Hain suniye..
----------------------------------
Mpt
As: Haseena Malik Kaha Hain??
Cc: Woh karishma madam k Saath bahar Gayi Hain..phone bhi yahi chhod k Gayi Hain..
(AS punched on a table in anger.)
As: Santosh Sharma..abhi k abhi karishma Singh k bike Ka pata lagaiye..
------------------------------------
On the deserted road
KS: humare chachaji Yani Anu bhaiyya k Baba..Bohut rude insaan the..humesha Aapne kaam mein lage rahete the..duniya mein kisiki padi hi Nahi thi unko....Yaha tak ki chhote se Anu bhaiyya se bhi Kabhi Pyar se Baat Nahi karte the..humesha daante rahete the..
Par Chachiji aur Daadiji ki Jaan the Anu bhaiyya..Daadi Humse jyada Anu bhaiya ko laad Karti thi..(she chuckled)
HM: in Sabka Unki sapno se kya connection..
Ks: batate Hain...Anu Bhaiyaa 11 sal k the aur hum 8saal k..jab pata Chala ki chachiji ko kidney ki bimaari Hain..6 mahino tak unka continuous dialysis chalta Raha par Woh gujar Gayi..Anu bhaiya k liye Woh tha pahela jhatka..chachiji k Jane k baad Woh thode sahem se Gaye...chachaji ki Naukri saher se bahar thi toh Woh Anu bhaiya ko boarding school bhejna chahte the par Anu bhaiya Nahi maane...Bohut ladai hui Ghar mein..phir Bhaiyya Ghar mein hi rahe..Daadiji hi unka dekbhal Karti thi..Amma aur Baba bhi Bohut Pyar karte the unse..sab thik thak challah tha..Bhaiyya k 10th boards Ka result Aaya..Bohut badhiya result Aaya tha unka..Bohut Khush the Woh..par..(a tear escaped her eye.)
HM: par kya KS

Ks: usidin Daadiji ko heart attack Aaya.. aur Woh chalbasi..Bhaiyya bardasht Nahi Kar paye..Khudko kamre mein bandh Kar liya Yaha tak ki daadi k antim sanskar mein bhi Nahi Gaye Woh..Phir jiska dar tha wahi hua chachaji ne unhe boarding mein bhej Diya..hum bohot roye the pata Hain Maddam sir..kahe ki Bohut Pyar karte the hum Anu bhaiyya se..aur woh Humse..kahete the hum gudiya Hain unke..
HM: Uncle ji Anubhav ko Apne paas kyun Nahi leke Gaye..
Ks: kahe ki dusri Shaadi Kar li thi unhone..toh kaise le jaate Anu bhaiya ko..
HM: Anubhav Vyom Bhai ko kaise jaante Hain?
Ks: Vyom ji aur Woh ek hi college mein the..ekdum jigri dost the..Woh log 3rd year mein the jab humne usi college mein dakhila Liya aur Hume aur Vyom ji ko Pyar hua..par humare Anu bhaiya na Bohut badal Gaye the ...Bohut rude aur gusse wale ban chuke the..humko Bilkul Accha Nahi Lagta tha unka Woh nature..Woh humare Saath ek Ghar mein bhi Nahi rahete the..hostel mein rahete the..Maa humko samjhati thi ki Bohut chhoti Umar se dard sahene k Karan shayed Bhaiyya aise ban Gaye Hain..par hum bhi garam khopdi k Hain na..Hum anadar hi anadar gussa hote rahe..
HM: Tiya kon Hain KS?(KS's face fell.)
KS: Usi k wajah se toh Sab barbad ho Gaya..vyomji ki cousin thi Woh..ek hi batch mein the tino..Anu bhaiya ki Bohut Acchi dost ban Gayi thi..par Ekdin Kuch tasveere samne aayi Tiya aur Anu bhaiyya ki..Dono apattikar sthiti mein the par Bhaiyya ne unhe sach maanne se inkaar Kar diya..
HM: toh kya Anubhav ne..(she didn't want to complete the sentence.)
Ks: Kuch Nahi Kiya tha unhone..par kaash hum unki Baat maan Lete..Bohut roye the Woh..bole the Bahena humpar yakeen Karo par hum un tasveeron par yakeen kiye..Vyom ji aur unka Bohut ladai hua..sab galat samjhe unhe..Bhaiyya 1mahine k liye Gayab ho Gaye..sabko laga Woh chhup Gaye..par Nahi Woh wapas aaye aur Khudko Sahi sabit kiye(she said with a tinch of pride in her eyes.HM smiled too.)
HM: phir sab thik ho Gaya na?
KS: (sighed)..Nahi..bhaiyya ne Kaha Hume chunna Hoga unme aur vyomji mein se ek ko..
HM: aur Aapne Vyom Bhai ko Chuna!
KS: haa kyun ki Woh galat Nahi the..apni bahen ko rota Dekh aur unn tasveero k Baad Kon Bhai chup rahega..hum Bohut samjhane ki koushish kiye par bahiya maane Nahi humko band Kardiya ek kamre mein hum bhi gussa ho Gaye aur bhaag ke chale Gaye Vyom ji k paas..Maa Baba ko pata tha..phir jab Bhaiyya ko pata chala Woh Bohut gussa ho Gaye..aur Hume Lene chale Gaye..Pushpaji bhi thi Ghar par usswaqt..Vyom ji ne unhe rokne ki koushis ki toh unhe zor se dhakka Diya aur vyomji k sar pe gaheri chot lag gayi aur 2 din k liye Woh hospitalised ho Gaye..humara dimaag ghum Gaya aur
Flashback
Ks: Kahe Kiya aisa..humari khusi Nahi Sahi Gayi aapse, huh?Itna kis Baat Ka gussa Haan..(she shouted)
As: Bahena Humne Jaan bujhkar Nahi Kiya..
Ks: chup rahiye..Aap na uss layek hi Nahi ki koi aapke Saath rahe..chale jao yaha se aur raho akele..
As: Bahena!
Ks: Nahi Hain hum aapki bahen..I hate you..aapki wajah se hi sab aapse dur chale Jaate Hain..
Flashback ends
HM: aur sab ki Tarha Aapne bhi unhe chhod Diya?(she was in tears.)
Ks: hum Jante Hain hum galat Hain..Humne unhe Shaadi mein bhi Nahi bulaya..(A voice made them to look back)
As: Haseenaji..Aap Yaha kya karrahi Hain?(his eyes were depicting anger, sadness,fear all at same time.)
HM: anubhav hum Woh...
As: Chaliye humare Saath(he held her wrist.)
Ks: Kahi Nahi Jayengi Woh..(releasing her from his grip.)..chale jaiye Aap yahase..aur takleef Nahi poucha sakte Aap Inhe..
As: Bahena Aap bich mein mat aayiye..Haseenaji Chaliye..(he commanded.KS took out her revolver and pointed at As.)
Ks: piche hatiye..Chaliye Maddam sir(she dragged HM to her bike and went away while As kept shouting from back.)
As: Haseenaji mat jayiye..please ruk jaiye..Hume chhodkar mat jayiye..
-------------------------------
Precap: love heals everything
-------------------------------
Will HM go back to AS or is this their end?What will As do now?
--------------------------------
Do vote and comment if you like the chapter.
Thank You








ANUSEENA-The Fear Of Losing You✓Where stories live. Discover now