Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho

Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho

Mere halaat aise hain
Ke main kuchh kar nahin sakti

Tadapta hai yeh dil lekin
Main aahein bhar nahin sakti

Zakhm hai hara hara aur tum
Chot khaane ki baat karte ho

Zamaane mein bhala kaise
Mohabbat log karte hain

Wafa ke naam ki ab to
Shikayat log karte hain

Aag hai bujhi bujhi aur tum
Lau jalaane ki baat karte ho

Kabhi jo khwaab dekha to
Mili parchhaiyan mujhko

Mujhe mehfil ki khwaahish thi
Mili tanhaiyan mujhko

Har taraf dhuan dhuan aur tum
Aashiyane ki baat karte ho

Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho

Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho
  • JoinedFebruary 19, 2023


Last Message
Samreen2315 Samreen2315 Dec 31, 2023 09:14PM
Hi I wrote a story if u can please do try it out :-)https://www.wattpad.com/story/359015812-meerasim-as-dancers
View all Conversations

Story by Samreen Begum
Meerasim As Dancers. by Samreen2315
Meerasim As Dancers.
Meerab and Murtasim are very good dancers and dance is their passion... DISCLAIMER : THIS BOOK HAS A UNHEALTH...
ranking #14 in meerab See all rankings
1 Reading List