Meri Chahat

By irtazaabbasshah

221K 10.8K 11.5K

love story of Aliyan(mr rude & sarial bhoot) and Aleezay(miss sweet & churail) More

Nikah
First Meeting
Sheeza's engagement news
Day out with friends
Sheeza's Engagement
Wedding News
Love Triangle
Ali and Abeeha
Fight
Wants to see her
Fight with a Kid
Resolving the issue
Mehndi Part(i)
Mehndi Part(ii)
Mehndi Special
Memories
Baraat
First Day in new home
Walima
Heart vs Mind
Our Engagement
Decided to Forget
Whose that Jan
A different Aliyan
New Couples
New Journey of Life
He loves Her
Some More Reasons of Happiness
Muhabbat(Love)
Some secrets revealed
He's Going (To London)
Angry Aleezay& Aunt Anna
Every Thing Is Settled Now
Shahmir
Aliyan's Story
Mr &Mrs(R)
Aliya Aliyan
Mr & Mrs R's Engagement
Mr & Mrs R's Wedding
Mr & Mrs R's Walima
Aleezay's Dream 😂
Shahmir's Birthday
Aliyan's Decision
Pizza Party
Dr Arham Ayyan Akbar
Time Lapse
La Familia (the family) 🥰🥰
Surprise
Let's See Who Wins
Angry Shahmir
Angry Shahmir
Love Is In The Air 🥰🥰🥰❤️❤️❤️
Miss Masoom
Zubiya's Mehndi
Ramzan Mubarak
Mr & Mrs Shahmir
Vote For
Bataiye
Shahveer's Meeting 😂
Can't Think About Her Like That 😍
Eid Special(1)
Eid Special (2)
Never Ending Problems
London Version
Mixed Up
Aliya's Birthday
Kabeer's Side
Game
My First Ever Interview
Back To Home
Do you want this?😂
Angry Shahveer
Happy Eid
Happy Independence Day
Twist
It's A Late Episode 😂😂
For Shahmir😂😂😂😂
Quick Update
Secret 🤔🤔😉😉
Emotions ☺️😢😍😂🤣🔥💕🤫🤔
Shahveer ka SHAN
Shahveer Akbar 😭😭😭
Meetings
😂😂
The Wedding Starts Now 🥰👍
😉
Mehndi Part(i)
Mehndi part(ii)
Shahmir's Baraat
Celebration 🥳🥳
Good Morning
🥳
Walima
Lovey Dovey 😍😍
Meer Shadi (Part 1)
Meer Ki Shadi Part 2
Happy Women's Day
Rules🙈
Meer's Walima
Becharian
Let's Play
Shahveer's Situation
Trip 😍
🤨
Hmm? 🤔
Decisions
Writer Shahveer Akbar
🙏🏻
Aliya's Nikah
Song
Blessed Month
Heart Break 💔
A Truth Reveal
😂
Australia
Eid Mubarak
Truth Revealed 2
Confused
Ahmad's Engagement
Saas Bahu
💞Triangle💞
Shopping
Guests
Some things changed
Qurbani
Wasiyat
Happy Independence Day
Isha's Nikah
Ashura Day
Not resolved
Meet Up
Be safe
Hardships
Follow Account
A new way
Second Work on Wattpad
Welcome
Nisha
shaadi 😊
Happy Birthday 🎂
Broken Pieces
Separation
Connection pt 1
let's pawri 😎🥳
connection part2
Surprises/shock
EID
Mr & Mrs Akbar
Gallery
Bilkul
JAWAB
🤭🤭
😔
شکوہ جواب شکوہ
🤭🤭
I hold your hand
😔
😑
adat
لڑائی
مشورہ
Eid Mubarak ☺
Imtehan
Masoomiat
some times in life
🧏‍♀️
😑
😪
PRESENTATION
😊😊
🤗
what do you think?
Red Riding Hood
2nd Last (1)
2nd Last(2)
THE LAST ONE
vote 🗳
💔
Let's Continue
Company is Closed
Fixed 🥰🥰
12 o Clock
Nikah e Shahveer
Cards ❤
MAYON
Let's Start The Wedding 💒
Shahveer's Mehndi
Baraat(1)
Baraat part(ii)
Baraat part(iii)
NIGHT OF SECRETS
Fire 🔥🔥🔥
Walima Couples
Sorry & Thankyou 😊😊
Welcome 🥳🥳

New Entries

1.9K 93 40
By irtazaabbasshah

"Ayyan" ek dam cheekhnay ki awaz pe us ne chehra hathon mae chupa liya........esi hitak pe wo khud sharminda ho k reh gaya tha

"Ayyan" awaz phir se gunji thi.......wahan mojud tamam logon ne foran chehra mor k us awaz k taqub mae daikha tha

Surkh sapaid rangat,teekhay maghroor nakoosh jo uski khubsurti ko mazeed dilkash or haseen bana detay thay,Brown full sleeves top,blue jeans,kandho pe bareek shawl lapaitay,khulay baal,brown long shoes,ankhon pe glasses lagaye wo ek janib dakhti,muskurati hui hath hila rahi thi......ayyan k ilawa wahan mojud har shakhs ne us hussan k shahkar ko dichaspi or sataishi nazron se daikha tha

"Beta....." wo ab bhi chehray pe hath jamaye rukh moray khara tha jab kisi aurat ne usay kandhay se hila k mutawajo karwaya tha
Ayyan ne foran unki janib rukh phaira

"G....."

"Beta lagta hai wo....larki tumhay hi bula rahi hai" us aurat ne kuch faslay pe mojud us larki ki taraf ishara kartay huay kaha

"Anti kiya musibat ko kabhi khud ja k galay lagaya jata hai?" Ayyan k sawal pe us aurat ne mashkook nazron se usay daikha tha

"Beta jao us k pas......kab se awazain de rahi hai......or agar tumhara irada nahi wahan janay ka to bata do bohat se hain jo uski madad karnay ko betab lag rahay hain........hai bhi to itni haseen"

Unki baat pe ayyan foran ghuma tha
Ek pal ko uski tewari charhi thi.......wahan mojud bohat se nojwan or mard usi ki janib ajeeb or maini khaiz nazron se daikh rahay thay
Wo sulag k reh gaya

"Lagta hai is musibat ko khud hi galay lagana paray ga" wo barbarata hua uski janib barha tha

"Hey ayyan.......kesay ho?" Us k wahan pohanchnay par wo foran us k galay lagi thi,ayyan ek pal ko garbara gaya,wo hamesha us se yunhi milti thi us k mana karnay k bawajud

"Mae thk tha.......ab kuch kuch kharab mehsus kr raha hun" usay khud se alag kartay huay wo bola tha

"Hooo.....really?" Us ne shararti andaz mae mu pe hath rakhtay huay pucha to ayyan usay ghoornay laga

"Mae janti thi..........tumharay dil mae meray pyar ka diya abhi bhi jal raha hai......" uski agli baat pe ayyan sir hilata reh gaya

"Oh really?" Us ne eyebrow sawalia andaz mae uthai thi

"Such hi to keh rahi hun..........tum mujh pe kitnay farayfta thay ye mae achay se janti hun.......bachay ne dil hara bhi to kahan.......dunia ki sab se haseen dosheeza pe.........hayeee......ayyan......I love you too" wo shararti andaz mae kehti hui phir se us k galay lagi thi.......ayyan ne foran usay pichay kiya

"Tumhara to dimagh chal gaya hai" wo ghussay se kehta agay barha to us ne foran uska hath tham k roka tha
Ayyan ne is harkat pe ghussay se uski janib rukh kiya
Logon ki mahzuz nazrain wo khud pe or us pe mehsus kar sakta tha
Yahan ye sab tamasha laga daikh kr sab hi unki janib mutawajo huay thay or wo zabt karta usay ghoor raha tha

"Ye...."

"Ye pakro or chalo" us k kuch kehnay se pehlay hi us ne ayyan ko apna suitcase or handcarry pakraya tha
Ayyan shishdar reh gaya.......wo dono cheezain is qadar bhari thin k wo girnay wala ho gaya tha
Khud wo baal sanawarti bari ada se agay barh gae
Ayyan pair patakhta us ka saman ghaseetta us k pichay aya tha

"Gari kahan hai tumhari?" Airport se bahir aa kar us ne ayyan ki janib rukh moray pucha tha jo khukhwar nazron se usay daikh raha tha

"Konsi gari han? Tumharay liye mae ne rickshaw mangwaya hai wo daikho" ayyan ne dant pistay samnay ek rickshaw ki taraf ishara kiya......wo sakit si usay hdaikhti reh gae

"What the hell is this? Tum kiya samajhtay ho? Mae is......rickshaw mae jaun gi?" Wo pair patakhti us k sar pe pohanch k chilai thi

"Han......jana hai to bolo......warna ye raha tumhara saman........" ayyan ne us k dono bag wahan patkhay thay

"Apnay dad ki car mangwao or usi mae jao" apnay kapray jhartay huay wo bola to wo usay barbarati hui ghoornay lagi

"Q mangwaun mae dad k ghar se gari? Mujhay wahan nahi jana......mae un sab se naraz hun" ayyan ne chonk k sar uthaya tha.....wo ab rohansi ho rahi thi

"Q? Q naraz ho?"

"Bas marzi meri......chalo ab" wo ghussay se kehti us rickshaw ki janib barh gae.....ayyan bhi us k pichay gaya tha

"Sorry.........mae car laya hun.....us mae chaltay hain" us k pas pohanch k ayyan ne kaha to us ne ghussay se uski janib rukh mora

"Nahi......." ayyan us k jawab pe chonka tha

"Mae ab isi rickshaw mae jaun gi......tum ne ana hai to bata do?" Wo ab rickshaw mae apna handcarry rakh rahi thi

"Aray kiya zaroorat hai is mae janay ki jab car hai...." wo jhunjhulaya tha

"Tum jantay ho ayyan.......mae apni kahi baat se hatti nahi hun......ana hai to ajao meray sath" wo ghussay se boli to nachar ayyan ko us k sath baithna para tha
Unka ghar wapsi ka safar shuru hua tha
Sham k saye phail rahay thay,asman par halkay badil chaye thay,sarak k dono atraaf mae roshnian jalnay lagi thin,or har taraf shor sa tha

"Kiya tum janti ho k ye Pakistan hai?" Un k darmyan khamoshi ko ayyan ne tora tha,jab k wo apna chehra jhukaye or hi sochon mae gum thi

"Han......janti hun......bohat achay se" wo tanzia muskurai thi

"Phir yahan k asulon ka kuch khayal karna chahiye tha" ayyan k lehjay mae kuch sakhti thi......wo kuch pal usay herani se daikhti rahi

"Logon ki nazron se khud ko bacha k rakhnay mae hi behtari hai" uski agli baat pe wo or ziada heran hui thi,uski kahi baatein wo samajh chuki thi

"Sorry" uski mazrat pe ayyan muskuraya tha

"Aurat ki jhuki nazar mae bhi itni sakhti honi chahiye k koi palat k usay daikh na sakay" ayyan k is jumlay pe wo muskura di

"Tum bohat samajhdar ho gaye ho"

"Waqt ne bana diya hai......warna mera esa koi irada nahi tha" us ne kandhay achka diye

"Sab kesay hain?"

"Sab.......thk hain"

"Kisi ne mujhay yad kiya?" Ye uska pasandeeda sawal tha.......wo har bar ye sawal karti thi

"Iska jawab tum achay se janti ho"

"Matlab kisi ne nahi kiya" wo udas hui thi.....ayyan ne uski janib daikha tha
Wo ek shararti,zidi larki thi,apni kahi baat se hatna to wo janti hi nahi thi,apnay dimagh mae I har baat ko manwa k hi dam leti thi,behad batooni  thi wo,uski aadaton se sab pareshan or ajiz rehtay thay,or aksar usay khub dant parti thi....lekin naraz ho kar jab wo khamoshi ikhtyar karti to uski ye khamoshi bhi koi bardasht nahi kar pata tha,ayyan or aliyan se uski kafi betakalufi thi,wo un k sath apnay dil ki har baat share karti thi jisay wo ali ko bhi nahi keh pati thi,wo dono bhi usay bohat chahtay thay bas us k sath ye masla tha k wo bolti bohat thi or wo dono itni baatein sun nahi saktay thay

"Ab esi bhi baat nahi" ayyan uski udas surat daikh kr foran bola tha

"Jesi bhi thi......mae samajh gae hun"

"Tum kiya chahti ho?"

"Ek esa shakhs jo bas mujh se pyar karay" wo khoye huay lehjay mae boli thi,wo esi hi thi....ayyan sir hilata reh gaya

"Tumhari khuwahish jald poori hogi........mae dua karun ga" ayyan k kehnay pe wo muskura di
Zehan mae kisi ka chehra lehraya tha
Or wo chehra yad atay hi wo kho gae thi

"O hello madam" usko yun khoya daikh kr ayyan ne usay kandhay se jhinjhora tha

"Kiya hua?" Wo harbara k boli thi.......sara khayal toot gay tha

"Mae janta hun k rickshaw ki ride tumhay bohat achi lagi hai......par ab hum is se agay nahi ja saktay" wo ayyan ki baat pe chonki thi

"Q? Q nahi ja saktay? Kiya rickshaw kharab ho gaya hai? Kiya hua hai?tum bol q nahi rahay? Batao bhi ab? Esa meray sath hi q hota hai? Mae jab bhi Pakistan ati hun......meray sath koi na koi garbar zaroor hoti hai......why?" Wo ek dam se cheekhi to ayyan ne sar tham liya

"Tumhara dimagh kharab ho gaya hai......." wo jhunjhula k bola tha

"What?" Wo chilai thi

"O bibi......utro......hum manzil e maqsood tak pohanch chukay hain" ayyan ki baat pe wo shocked reh gae

"What? Hum......hum....mar gaye hain?" Wo ek dam rohansi hui thi

"Ye kiya bol rahi ho tum?" Wo ghussay se chilaya tha

"Tum hi ne to kaha........manzil e maqsood tak pohanch gaye hain" us ne apnay ansu saaf kiye thay......ayyan ka dimagh chakranay laga......uski urdu kafi kamzor thi

"Mar diya tum ne mujhay zalim insan........abhi to mera koi khuwab bhi pura nahi hua tha.......daikhna tum.......meri atma tumhay kabhi chain se jeenay nahi de gi......." ayyan ankhain phailaye shishdar sa usay daikh raha tha

"Hayeee........abhi to mae ne shadi bhi nahi ki thi......kiya kiya suhanay khwab daikhay thay mae ne.......sab chakna chur ho gaye......pakar k mar hi diya mujhay" wo ab baqaida ronay lagi thi
Ayyan ne ghussay se agay barh kr uska hath thama or usay rickshaw se nichay utara

"Stop this nonsense......" us k chilanay pe wo roti ankhon se usay daikhnay lagi

"Hum ghar pohanch gaye hain" wo dant pista bola to us ne chonk kr aas paas daikha.....ayyan ka ghar usay samnay hi nazar aa gaya tha

"Matlab k hum......zinda hain?" Wo khushi se uchli thi

"Han......q k itni asani se tum mar thori sakti ho" ghussay se kehta wo uska bag uthanay laga tha

"Afsos.......tumhari dili khuwahish poori na ho saki" us k hath se apna handcarry letay huay us ne kaha to ayyan usay ghoorta reh gaya

"Allah Talah........please is k ghar walay jaldi se ajayein" us ne asamn ki janib daikhtay huay dua ki thi,
shukar us ne suna nahi tha.....wo ghar k andar dakhil ho chuki thi......ayyan bhi uska bhari bag ghassetta agay barh gaya

***************

"Assalam o Alikum" wo lounge mae atay hi chilai thi
Safeena,areesha,aleezay or shahmir wahin bethay thay,areesha or safeena baat kar rahay thay jab k aleezay shahmir ko homework karwa rahi thi,us unchi awaz ne un sabko apni janib mutawajo karwaya tha,wo teeno ek sath khari hui thin

"Saman" safeena usay samnay daikh k heran reh gae thin,phir us k pas aa k galay mili thin
Areesha or aleezay sawalia nazron se ek dusray ko daikh rahi thin

"Kesi ho beta? Tum yahan kesay? I mean yahan ka rasta kesay bhul gae tum?" Us se alag hotay unho ne sawal kiya

"Bas anti........jab apnay bhul jayein to ghairon ko hi apna bnana parta hai" wo udasi se boli thi

"Kiya matlab hum tumharay apnay nahi?"

"Nahi anti mae to apni family ka keh rhi thi,sab jantay thay k mae aa rahi hun.......phir bhi Lahore chalay gaye" wo ab bhi udas hi thi,tabhi ayyan lounge mae dakhil hua tha
Wo teeno usko daikh k heran hui thin

"Ayyan tum is waqt yahan? Tum to office thay?" Wo saman ko liye aleezay or areesha ki taraf barh gaein

"Mohtarma ko airport se la raha hun........sab ne driver jo appoint kiya hua hai mujhay" wo sakht chira hua tha
Safeena ne usay ghoora tha

"Saman in se milo.......ye meri bahuain hain......aleezay aliyan ki wife or areesha ayyan ki wife" safeena ne unka taruf karwaya to uski ankhain phail gaein

"What?" Us k shocked tasurat pe wo dono satpatai thin

"Oye Mr Bewafa.......tumne shadi karli?" Wo ayyan ki janib ghumi thi jo sofay k pas khara mobile pe masroof tha
Areesha kina toz nazron se usay ghoornay lagi

"Han....." us ne yunhi mobile pe nazrain jhukaye jawab dia

"Tum to mujh se pyar kartay thay na?" Wo hath bandhti us k sir pe pohanchi thi,jahan ayyan garbaraya tha wahin wo teeno shocked reh gae thin

"Han karta tha.......par qismat ko kuch or hi manzur tha" us ne baray aram se kandhay achkatay hua kaha tha,areesha ki muthian bhinch gaein

"Han ye bhi thk kaha......kismat ko kuch or hi manzur tha....." wo phir se khoi thi......uski ye kho janay wali adat se ayyan ko sakht chir thi

"Mama isay kuch khanay ko dein......iska dimagh chal gaya hai......" ayyan usko khota daikh k foran bola tha

"Han han......mae abhi intizam karwati hun......aleezay tum saman ko kamra dikha do" safeena keh k foran kitchen ki janib gae thin

"Ek mint" areesha or aleezay janay lagi to us ne unhay roka tha,ayyan apnay kamray mae ja chuka tha

"G" aleezay ne apni sand colour ki shawl ko thk kartay huay kaha

"Mae ne apna introduction to karwaya hi nahi" wo muskura k boli thi

"Mae saman murtaza hun......ali murtaza ki behan...... apne shyd mujhay pehchana nahi" us ne aleezay ki janib daikhtay huay kaha tha

"G.....nahi" wo sharminda hui thi

"Mae apki shadi pe I thi......par ap se mil nahi saki thi.........us k baad mujhay wapis Australia jana para tha......mae wahan study kar rahi thi.....ab complete ho gae hai......is liye wapis aa gae hun,bhai or ayyan ki shadi mae exams ki waja se attend nahi kar pai thi,han photos mae ne daikhi thin.......I must say they both are very cute" us ne muskura kar kehtay huay areesha ki janib daikha to wo jheenp gae

"Areesha" tabhi ayyan ki awaz I to wo excuse karti wahan se chali gae

"Aiye mae apko apka room dikha dun" aleezay ne us se kaha lekin wo khamoshi se drawing kartay shahmir ko daikh rahi thi

"Who's he?" Us ne shahmir k pas jatay huay pucha

"Shahmir......my son" aleezay ne muskura kr jawab diya.....saman shocked si usay daikhnay lagi

"Par apki shadi to......" wo kehti kehti khamosh ho gae thi,aleezay jheenp gae

"O I know I know,he's neha's son" usko achanak yaad aya tha,aleezay sir jhuka gae

"I'm sorry.......shyd apko meri baat ka bura laga" aleezay ki khamoshi wo samajh gae thi

"No no,esa bilkul bhi nahi hai....."

"Ok.....kiya mae sara k room mae reh sakti hun? Uska room mujhay bohat pasand hai"

"Yeah sure" aleezay usay sath liye sara k room ki taraf barh gae

*************

"Saman beta ab kiya irada hai degree lenay k baad job karo gi ya nahi?" Wo sab dinning hall ame baithay dinner kar rahay thay......amir k sawal pe us ne apna kanta plate mae rakha tha

"Nahi uncle mae job nahi kar sakti.......kisi k hukum pe chalna meray bas ki baat nahi" madham lehjay mae kehtay huay us ne phir se khana shuru kiya tha......wahan mojud sab log heran reh gaye thay jab k amir muskura diye

"Matlab k ab humay tumharay mutaliq kuch sochna chahiye"

"Aliyan or ayyan se milnay walay dhokay k baad to mae ne is mutaliq sochna hi chor diya hai" aliyan k galay mae kuch atka tha....aleezay ne foran usay pani ka glass thamaya tha......uski ghoori ko nazar andaz kiye wo pani peenay laga......ayyan ki apni halat kharab hui thi.....areesha ki khunkhwar nazrain wo khud pe mehsus kar sakta tha
Wo yaqeenan mu phat thi
Amir or safeena khud uski baat sun k garbaraye thay

"Tumharay dad chahtay hain k tum ab is baray mae socho.......beta ye zindagi ka ek bohat ehem or zaroori faisla hai.......or jesa tum chaho gi wesa hi hoga" amir ne chehra jhukaye dhakay chupay alfaz mae muda bayan kiya tha......sab ki nazrain saman ki janib uthi thin jo apni plate pe taqreeban jhuki hui thin

"Hmm.......kiya sochun uncle......jo apko thk lagay" us ne tabedari se sir jhukatay huay kaha sath hi sharmanay ki bharpoor acting bhi ki thi,aliyan or ayyan haka baka se usay daikhnay lagay

"Good.......mujhay esay hi jawab ki umeed thi....."
Amir ne muskuratay huay kaha or khana khanay lagay

"Dad kiya mujh se dartay hain jo unho ne mujh se ye baat nahi ki?" Apna chehra napkin se saaf kartay huay us ne pucha tha

"Wo is liye k tum apnay amir uncle ki baat apnay dad se ziada manti ho.......unhay to tum baaton mae uljha lo gi par mujhay nahi" amir ki baat pe wo hans di

"Dad ne ye thk nahi kiya.......apki baat mannay pe majbur hun uncle......" amir or safeena hans diye

"Jeeti raho beti" amir ne us k sar ka bosa liya or chalay gaye.....safeena bhi kitchen mae chali gae thin......areesha or aleezay dining table se bartan samaitnay lagin jab k wo dono bhai usay hi ghoor rahay thay jo ab sweet dish pe sir jhuka chuki thi

"Tum itni asani se man kesay gae saman?" Ayyan ne sakhti se pucha tha

"Jitna mae tumhay janta hun.......tum razi nahi ho......phr baba k samnay yun bolnay ki kiya zaroorat thi?"

"Mae ne kaha to hai uncle ki baat nahi tal sakti" us ne benayazi se kandhay achkaye thay
Aliyan khamoshi se usay daikh raha tha

"Acha to wo jisay pasand karain gay tum us k liye razi ho jao gi?" Ayyan ki tewari charhi thi

"Han" us ne kursi se taik lagatay huay aram se kaha ayyan shishdar reh gaya

"I can't believe this.......tum zaroor koi game khail rahi ho......such such batao" wo us k pursakoon tasurat pe bharka tha

"Kesa game? Tum q mashkook ho rahay ho? Mae na kuch soch rahi hun.....na kuch kar rahi hun.....daikho mae khamosh si tumharay samnay bethi hun" wo bamushkil khudko sanjeeda rakhti bol pai thi....ayyan k tasurat usay maza de rahay thay

"Mujhay ab bhi tum pe yaqeen nahi hai......lekin mera mazeed sawal karna bhi bekar hai......behtar hoga jo tum soch rahi ho us k baray mae baba ko khud hi bata do.......warna nataij ki zimedar tum khud hogi.....good night......" areesha ne us k samnay chaye ka cup rakha tha lekin wo itna barham tha k wahan se foran chala gaya
Areesha us k pichay gae thi

"Aleezay"

"G" wo foran wahan I thi

"Meri or saman ki coffee drawing room mae pohancha do......humay baat karni hai" us pe ek nazar daltay aliyan ne hukum sadir kiya or wahan se chala gaya
Aleezay ne saman ko daikha tha

"Don't worry........mae ghussay ki taiz hun lekin ap k husband ko koi bhi cheez utha k nahi marun gi" wo muskurati hui khari hui to aleezay bhi hans di

"Or wo apko esa koi moka dein gay bhi nahi......ap unhay janti hain"

"Wo intezar kar rahay hon gay.....ap jaiye mae ap dono ki coffee lati hun"
Wo wahan se chali gae to aleezay bhi kitchen mae chali gae
Us k zehan mae bohat se sawal uth rahay thay

***************

"Baith jao aleezay" wo coffee k mug un k samnay rakh kar wapis palatnay lagi to aliyan ne usay rok liya,wo wahin saman k pas baith gae

"Ab batao kiya chal raha hai tumharay dimagh mae?" Aliyan ne coffee ka sip letay huay kaha
Saman ne usay ghoor k daikha tha....aleezay k samnay apni baat kehnay mae wo kuch jhijhak mehsus kar rahi thi

"Kuch nahi" us ne apnay tasurat ko coffee ka mug mu se lagatay chupaya tha

"Saman tum janti ho........jhut se or jhut bolnay walon se mujhay sakht nafrat hai" ab k uska lehja sakht hua tha.....
Uska is tarhan baat karna aleezay ko bhi nagwar guzra tha
Saman sharminda ho gae

"Tum kiya sunna chahtay ho aliyan?" Bilakhir usay kehna para tha

"Wahi jo tum kehna chahti ho" aliyan ne kandhay achka diye

"Or mae kiya kehna chahti hun?" Us ne eyebrows uthai thin

"Ye tum mujhay ab batanay wali ho"

"Mujhay kuch nahi kehna aliyan" us ne bezari se rukh mor liya
Aliyan pursoch nazron se usay daikh raha tha jab k aleezay aliyan ko,aliyan ka saman ko yun ragaidna usay bhi thk nahi laga tha.....lekin wo kuch bhi kehnay se qasir thi

"Ok fine......" tang akar usay kehna para tha....
Aliyan muskura diya

"Someone has proposed me" us ne bomb phora tha.....
aliyan or aleezay shishdar se ek dusray ko daikhnay lagay

"Ok......." wo khud ko us jhatkay se sambhalta bola tha

"To tum kiya chahti ho?"

"Ek achay dost ka acha sa mashwara" wo muskurai thi......

"Jesay k?" Aliyan ne hath bandhtay huay pucha

"Jesay k.......kiya mujhay han kar deni chahiye?"

"Mae kiya keh sakta hun? Tumhay ye baat apnay dad or bhai se karni chahiye"

"Tum jantay ho aliyan k tum unhay easily is mamlay k liye qail kar saktay ho"

"Tum bandooq chalanay k liye mera kandha istemal karna chahti ho?"

"What?" Wo heran hui thi

"Ye konsa waqt hai shooting ki baat karnay ka?" Aliyan ki baat sun k wo bokhla gae thi......aliyan ne apna sar peet liya.....uski kamzor urdu pe usay afsos hua tha

"I mean tum ye kam mujh se karwana chahti ho.......ta k sab ki baatain bhi mujhay hi sunni parain"

"Tumhay koi kuch nahi kahay ga......tum jantay ho" us ne bari shan se apnay baal sanwartay huay kaha...... aleezay heran si usay daikhnay lagi

"Wesay mae han kar chuki hun" aliyan or aleezay uski baat sun k haka baka reh gaye thay

"Oh......agar tum han kar hi chuki ho to masla kiya hai?"

"Masla koi nahi.......bas tum dad or bhai se baat karo......apni shadi ki baat mae khud karti achi thori lagun gi" aliyan us k yun kehnay pe usay ghoor k reh gaya

"Acha.......or wo bahadur,hosla mand shakhs hai kon jis ne tum jesa azab apnay sar lenay ka socha hai?" Aliyan ki baat pe saman ki tewai charhi thi

"Shutup aliyan"

"Wo tum sab se bohat acha hai.......jantay ho kitnay zabardast tareekay se propose kiya tha us ne mujhay.......mae to foran man gae thi" wo apni hi joon mae sab kahi ja rahi thi jab k aleezay or aliyan sharminda se pehlu badal k reh gaye

"He's so romantic" wo sharmanay ki bharpoor acting kar rahi thi......aleezay uski baat pe kuch jazbaz hui thi

"Behave saman" aliyan ne usay tanbeeh ki

"Us se kaho k hum us se milna chahtay hain" aliyan ne baat tamam kartay huay kharay ho kar kaha to saman khushi se uchli thi

"Such?"

"Han"

"Tum sabko mana lo gay?" Us ne aliyan k muqabil atay huay pucha

"Mae koshish karun ga.......or agar tumharay dad or ali ne inkar diya to mae kuch nahi kar sakun ga"

"Oh aliyan thank you so much" wo khushi se nihal hoti aliyan k galay lag gae......jahan aliyan ki ankhain phaili thin wahin aleezay bhi shishdar si foran khari hui thi

"Dekhna wo bhi tum sabko bohat pasand aye ga....." aleezay aliyan ko ghoorti hui wahan se chali gae......aliyan ne foran saman ko peechay kiya tha

"Mae promise nahi kar raha raha........sabka jo faisla hoga tumhay qubool karna hoga"

"I know tum sabko mana lo gay......again thanks....."wo dubara us k galay lag k chali gae.....aliyan sar jhatakta kamray mae chala gaya

**************

Wo kamray mae dakhil hua to aleezay apna novel thamay bed pe neem daraz thi........shahmir us k pas hi so raha tha.....aleezay ne ek nazar us pe dali phir nazrain dubara kitab pe jama lin
Aliyan kankhara tha......aleezay ne tab bhi us pe dhyan na diya.....wo apni jaga pe aa k lait gaya

"Wo hum se.....thori.....betakaluf hai........is liye...." wo samajh nahi paa raha tha k us se kesay excuse karay......saman ki harkat pe wo khud apni jaga sharminda ho k reh gaya tha

"Kiya mae ne ap se koi wazahat mangi hai?" aleezay ne uski baat kattay huay kaha

"Tum wahan se esay......I mean bina kuch kahay.....chali I is liye....."

"Q k mera wahan mazeed rukna zaroori nahi tha.....ap mamlaat ko handle karna achay se jantay hain......" us k lehjay mae berukhi thi......aliyan ne bamushkil hansi zabt ki

"Mae mamlat "is" tarhan bilkul bhi handle nahi karta"

"G......ap "or" bhi tareekay jantay hain......" ab k aliyan k chehray pe nagwari chai thi

"Aleezay bibi......" aliyan ki awaz mae tanbeeh thi

"Tum bilawaja shak kar rahi ho.......jesa tum soch rahi ho......."

"Mae kuch nahi soch rahi aliyan" us ne ghussay se kehtay huay book zor se band ki thi

"To itna ghussa q ho?" Aliyan ne uski janib rukh mora tha

"Mae bilkul bhi ghussa nahi hun" us ne zor se book side table pe patkhi to aliyan ki hansi chut gae

"Kiya tum ab bhi yehi kaho gi?"

"Mujhay ap se koi baat nahi karni" wo apna rukh moray lait gae
Aliyan kuch pal usay yunhi daikhta raha
Phir khud bhi rukh moray ankhain moond lin......

****************

Wo ainay k samnay khara office k liye tayar ho raha tha jab k nazrain apnay aqab mae khari aleezay par jami thin
Yellow suit mae malbus.....chadar mae lipti....khulay baal pusht pe bikhray huay thay....wo kamra samait rahi thi.....

Wo aliyan se naraz thi.....rat honay wali choti si jharap k asrat ab bhi baqi thay jinhay wo khatam karna chahta tha is liye apni tie ko dubara kholta wo us k pas aa gaya
Aleezay k hath se cushion letay huay us ne sofay pe phainka or apni tie us ki taraf barhai

"Tie bandho gi? Ya...... phir "kisi or" se ye kam karwa lu? Wesay....."Kai" options hain meray pas...." Aliyan ki baat sun kar aleezay ne kha janay wali nazron se usay daikha.....uska ishara wo samajh gae thi.....dil jal k khak hua tha
Us ne tie aliyan k hath se khainchi or bandhnay lagi

Aliyan ne uski kamar k gird hath phailatay huay usay mazeed kareeb kiya tha......aleezay ki dharkanain barh gaein.....wo jaldi jaldi apna kam karnay lagi....aliyan ki nazron se chehra tap raha tha

"Achi lag rahi ho......" gambheer lehjay mae kaha gaya tha Aleezay heran reh gae....lekin nazrain nahi uthai.......

"Thanks to bol do......" Aleezay ne chehra uthaya tha...nazrain mili thin

"Thanks...." Berukhi se bolti wo janay lagi to aliyan ne usay rok kar apni janib khaincha tha

"Naraz ho?" Bari masoomiat se sawal kiya gaya tha....aleezay usay daikhti reh gae
Wo esay puch raha tha jesay janta hi na ho

"Nahi.......mae q naraz honay lagi? Naraz to un se hua jata hai jin se manaye janay ki umeed ho.......par fikar mat karain.....mujhay ap se esi koi umeed nahi" dant pistay huay us ne jawab diya tha

"Achi baat hai.....zeher lagti hain mujhay yun fazul mu phulaye rakhnay wali larkian" aleezay is jumlay pe tap gae thi

"Pata nahi konsi larkian hain jo apko shehed lagti hain....."

"Tum......" Ek lafz mae us ne baat mukamal ki thi......aleezay ki ankhain phail gaein

"Janti ho......jab tum naraz hoti ho na......tumhari naak......laal ho jati hai......
Tumhari ye bari kali ankhain.......ye mazeed gehri ho jati hain......
Tab tum bohat khubsurat dikhti ho....." Aliyan ne muskura k kaha,aleezay haka baka si usay sun rahi thi......kiya ho gaya tha usay.....wo kahan esi baatein karta tha.....

"Par jab tum roti ho......." Aliyan ne ek pal k liye uski ankhon mae daikha

"Tumhari ankhain......bohat dilkash dikhti hain......itni dilkash k mae in mae kho jata hun...tumhari ankhon mae kuch to jadu hai....tum shyd pehli larki ho...jo rotay huay bhi bohat haseen lagti ho........" aleezay satpata gae

"Janta hun......ajeeb baat keh raha hun.....par kiya karun.....ye sach hai....." aleezay chehra jhuka gae
Aliyan ne hath se uska jhuka chehra utahaya tha

"Meray kehnay ka ghalat matlab mat lena.....mae tumhay kabhi rota nahi dekhna chahta....apni waja se to bilkul bhi nahi......par janay anjanay tumharay anuson ka sabab mae hi banta hun.....us k liye.....I'm really sorry......" Us ne aj pehli bar aleezay se maazrat ki thi....aleezay ki ankhon mae pani jama honay laga

"Daikho ab rona mat.......ro gi to mae control nahi kar paun ga......" Us ne aleezay k ansu saaf kartay huay kaha

"Q ap bhi ro dain gay?"

"Han......" Uski baat pe aleezay hans di.....
aliyan ne muskuratay huay uski peshani chumi

"Bohat buray hain....." Aleezay ansu saaf kartay huay narazgi se boli

"Janta hun........par maafi bhi to mang raha hun.....daikho....ab sidhi tarhan man jao....warna....." eyebrow uthatay us ne tanbeeh ki to aleezay ko mazeed ghussa aya

"Warna.....warna kiya?"

"Or bhi bohat tareekay atay hain mujhay mananay k" maini khaizi si muskurahat us k labon pe phaili to aleezay satpata gae....wo foran us se dur hati thi....aliyan muskura dia

***************

"Good morning" wo lounge mae baitha apnay toys k sath khail raha tha jab white or pink kurta trouser mae malbus,scarf kandhon pe lapaitay,balon ko pony mae qaid kiye wo us k pas baithtay huay boli thi

Shahmir ne rukh mor kar ek sanjeeda nazar us par dali or bina jawab diye apnay kam mae dubara mashghool ho gaya
Saman kuch heran hui thi

"Kesay ho?" Us ne phir se sawal kiya tha.....is dafa shahmir ne na rukh mora or na hi jawab diya

"Tum jawab q nahi de rahay?" Wo phir se boli thi.....shahmir ne uski janib daikha or sanjeedgi k sath bola

"Baba ne mujhay girls se baat karnay se mana kiya hai" wo phir rukh mor gaya tha jab k saman ki ankhain phail gaein

"Q? Q mana kiya hai?"

"Q k ye us k liye zaroori hai" uski baat ka jawab aliyan ne diya tha
Black three piece mae malbus,baal set kiye,eye glasses lagaye wo office k liye bilkul tayar khara tha
Shahmir foran uski taraf bhaga tha,aliyan ne usay goad mae utha liya

"Baba mae ne kisi girl se baat nahi ki" saman se bilkul rukh moray wo aliyan k galay laga keh raha tha,aliyan muskura dia

"Good boy"

"Itni sakht pabandi or itni si umar mae? Bohat na insafi hai ye" saman us k muqabil khari hui thi

"Ye pabandi agay chal k us k asulon mae shamil hogi......or mae yehi chahta hun"

"Sab dinning hall mae wait kar rahay hain......let's go" wo shahmir ko liye agay barh gaya to saman bhi muskurati hui us k peechay chal di
sab wahin mojud thay......shahmir ko apnay sath wali kursi pe baitha kr wo usay nashta serve karnay laga.....

"Aleezay kahan hai?" Aliyan ne dining hall mae nazar dorai to wo wahan dikhai na di

"Oh majnu apni heer ko dhundh raha hai?" Chaye ka sip letay saman ne shararat se kaha tha.....saman ki baat or sabki hansi pe wo kuch satpata gaya

"Majnu ki laila thi ok" ayyan ne uski kamzor urdu k bais islah karna zaroori samjha tha

"Oh acha......"

"To majnu ne kiya heer ko dhoka diya tha?" Uski baat sun k ayyan ne sir pakar liya.......wo kisay chair baitha tha

"Wesay ye to meri story ho gae......meray majnu ne heer ko chor k laila se shadi karli" us ne hansi zabt kartay huay ayyan ki janib daikha tha.....ayyan ne bebasi se sir jhuka liya.....wo us se behas kar k apna mood bilkul bhi kharab nahi karna chahta tha

"Tum na ye nashta khao........subha subha mera dimagh khanay ki zaroorat nahi" ayyan ne bigray mood k sath kaha tha

"Jo cheez tumharay pas hai hi nahi wo mae kesay kha sakti hun?" Us ne kandhay achkatay hua chaye ka sip liya.....ayyan uski baat pe mazeed tapgaya

"Tum....."

"Oh shut up" un dono ki behas ko aliyan ki taiz awaz ne roka tha.....wo dono khamoshi se sir jhuka gaye

"Mama aleezay ko bulayein......mujhay nashta serve karay......." wo bezari se kehta akhbar parhnay laga.......ayyan or saman mae maini khaiz nazron ka tabadla hua tha

"Oooooooo.........romeo kiya humain ijazat hai aj apki juliet bannay ki?" Saman ne hath joray ankhain patpatai thin.....aliyan ne usay zabardast ghoora tha

"Nahi to bhai.......ye khidmat mae anjam de deta hun" ayyan ne bhi maini khaiz muskurahat se kaha tha

"Khamoshi se nashta karo tum dono" aliyan ne un dono ko ankhain dikhai thin,wo dono mu banatay chup chap nashta karnay lagay

"Aleezay......." wo apni kursi se uthta usay awaz denay laga

"Aliyan baitho beta.....mae serve kar deti hun" safeena ne usay roka tha

"Nahi mama........ap nashta karain.......mae usay bulata hun" wo wahan se sidha kitchen mae aya tha......aleezay wahan mojud nahi thi,na hi wo lounge mae thi,wo apnay kamray mae aya tha....wo wahin thi......ankhain saaf karti phone pe baat kar rahi thi.......aliyan pareshan sa uski taraf aya tha

"Kiya hua aleezay? Tum........tum ro q rahi ho?" Kandhon se thamay us ne Aleezay ka rukh apni janib mora tha......aleezay ne phone band kiya or apni ankhain saaf ki

"Kiya baat hai aleezay? Batao mujhay pareshani ho rahi hai"

"Aliyan....." wo roti ankhon se muskurai thi

"Hmmmm....." wo pura uski taraf mutawajo tha

"Aliyan......ahmer bhai....." aliyan ki ankhain ek dam se phaili thin,dil ek dam se zor se dharka tha,najanay kiya hua tha

"Kiya hua aleezay?"

"Ahmer bhai ka.......beta hua hai" wo muskura kr boli to aliyan ne gehra sans liya,is ek pal mae najanay kitnay khayal zehan se guzray thay

"Oh......"

"Aliyan mae phupho ban gae" wo khushi se boli thi

"Mae bhi......" aliyan ne ghera sans letay huay usay galay lagaya tha......aleezay ne us ki seenay pe muka mara tha

"Ap phupha banay hain......."

"Oh sorry" wo khajal sa hua tha

"Tumne to mujhay dara hi diya tha.......kiya zaroorat thi is tarhan baat karnay ki,janti ho kitna pareshan ho gaya tha mae"

"I'm sorry......."

"Aleezay is mae ronay wali kiya baat thi?" Aliyan ne usay alag kartay huay pucha tha

"Mae ro thori rahi thi........ye to khushi k ansu thay" aleezay ne apni ankhain saaf ki to aliyan usay ghoornay laga

"Bas ansu bahanay ka koi moka chahiye tum aurton ko"

"Chalo ab mujhay nashta serve karo.......bohat bhook lagi hai"

"Ye kam to ap khud bhi kar saktay hain" aleezay ne kamar pe hath jamatay huay kaha

"Nahi mae nahi kar sakta.......jab k meray pas is kam k liye ek khubsurat si mulazima hai" aliyan k title pe wo bharki thi

"Aliyan"

"Jaldi se ajao" aliyan ne uski peshani chumi or bahir chala gaya.......aleezay bhi us k pichay I thi

Aleezay ne jab ye khabar sunai to sab k chehray khushi se khil uthay.........sab ne Allah ka bohat shukar ada kiya tha......

***************

"Congratulations sara api" us ne sara k galay lagtay huay kaha.......wo muskura di
Sab sara k ghar jama thay......kamray mae tamam larkiyan or aurtain jama thin

"Thanks saman........kab I tum Pakistan? Mujhay inform bhi nahi kiya?" Saman us k pas bed pe baithi bachay ko daikh rahi thi.....jo pas paray carrycot mae bekhabar so raha tha
surkh safaid rangat,ahmer jaisay nakoosh,chehray se hi shararti dikhta tha....

"Mae teen din pehlay Pakistan I thi,meri family to mujhay bilkul hi bhul chuki hai.......ajkal ap k ghar mae.......ap k kamray mae parao hai mera" saman ki baat pe sara ki ankhain phaili thin

"Saman.......meray kamray ko kuch nahi hona chahiye ok?" Sara ne tanbeehi andaz mae eyebrow uthai thi......
Wo jab bhi us k kamray mae rukti thi......tabahi machati thi,saray kamray mae har waqt phailawa
rehta tha,koi bhi cheez jaga pe nahi hoti thi
Wo ek toofan thi.........jo sirf tabahi machana janti thi

"Sorry.........uska to jo hona tha ho gaya" saman ne kandhay achak diye,sara sar tham k reh gae

"Mama ye baby kon hai?" Shahmir jo bed pe kab se aleezay k sath jur k baitha tha ahista se puchnay laga
Wahan mojud afraad se wo kuch sharma raha tha

"Ye apka chota bhai hai......." aleezay ne muskuratay huay kaha to wo pursoch nazron se us bachay ko daikhnay laga jiska carrycot us k pas hi para tha

"To ye yahan q hai? Isay to hamaray ghar mae hona chahiye na......hamaray room mae" shahmir ki baat sab ne suni thi,wo sab hans di

"Ye apki sara phupho ka beta hai.......wo yahan rehti hain is liye baby bhi yahin rehta hai......." areesha ne usay pyar se samjhaya tha

"Phir ye mera bhai nahi" wo narazgi se hath bandhta rukh mor gaya......

"Mama I want my brother......jo hamaray pas rahay.......hamaray room mae" apni bari ankhon ko gol kiye shahmir ne aleezay ki janib daikhtay huay kaha tha
Sab k samnay kahay gaye shahmir k jumlay pe Wo sharminda si sar jhuka gae

"Han shahmir.........apki ye wish bohat jaldi poori hogi......ap k pas bhi ek gift anay wala hai.....bas thora sa wait karna hoga apko" sara ne us k baalon mae hath phairtay huay kaha tha

"Really?" Shahmir uski baat pe khushi se uchla tha

"Bhabhi......" aleezay ne usay ankhain dikhai thin.....

"Kiya hua? Such hi to kaha hai" sara ne dhitai se kandhay achka diye

"Bas sab yunhi khush rahain.........or kiya chahiye zindagi mae.......Allah apna karam hum sab pe rakhay" faiza phupho ne Aleena or safeena ki taraf daikhtay huay kaha to wo bhi muskura di

"G apa thk kaha ap ne" Aleena ne nam ankhain saaf ki thin.......aj wo or safeena ek or mansab pe faiz hui thin.....shukar ada karna to un pe farz tha

"Hello everyone" wo tabhi kamray mae dakhil hua tha........sabki nazrain us ki janib uthi thin

"Rohail kitni bar kaha hai salam kiya karo" faiza phupho ne foran usay toka tha......wo muskurata hua unki taraf aa gaya

"Asalam o Alikum ammi jan......kesi hain ap?" Wo un k galay lagtay huay puchnay laga
Wo sara k pas se uth kr areesha k pas ja bethi thi

"Thk hun bachay......apni mumani jan se milo......khair se dadi ban gae hain" faiza se alag hota wo aleena se milnay laga

"Bohat mubarak ho mumani jaan......"

"Bohat shukria meray betay....."

"Anti apko bhi bohat mubarak ho" wo safeena se milnay k baad sara ki janib palta tha.....

"Congratulations bhabhi.......ye raha ap k munnay ka gift" us ne bohat khubsurat packing mae lipta gift sara ki janib barhaya tha

"Thank you"

"Ijazat ho to mae ek nazar ap k munnay ko daikh li?" Sara ne muskura kar asbat mae sir hilaya tha

"Aray.......ye to bilkul ahmer bhai ki copy hai" us ne usay goad mae uthatay huay kaha to sab hans diye

"Han.......bas adaton mae us pe na jaye" aleena ne hanstay huay kaha

"Koi nam bhi socha hai Ya phr munna final karun mae?" Us ne bachay k galon pe pyar kartay huay pucha tha

"Roham" aleezay ne jawab diya tha

"Hmm......nice name" ek pal ko uski nazar samnay ki janib uthi thi......
Us ne roham ko sara ki goad mae de diya

"Ye yaqeenan shahmir hai......am I right?" Wo shahmir ko daikhtay huay bola to aleezay ne muskura kr sar hilay

"Shahmir jao.......mamu se milo" aleezay k kehnay pe us ne rohail se hath milaya tha

"Ap itni sari girls mae baithay kiya kar rahay ho?"
Rohail ne us k gal khainchay thay.....

"Chalo hum bahir chaltay hain........sab boys to bahir baithay hain" rohail k kehnay pe us ne aleezay ki janib daikha tha
Aleezay ne usay ijazat di to rohail ne usay goad mae utha lia.....

"You are very handsome"

"Sab kehtay hain" rohail hans diya or usay liye bahir chala gaya
Wo gehra sans leti areesha se baatein karnay lagi......

*****************

"Tum kiya samajhti ho mujh se itni asani se peecha chura lo gi" wo kitchen se pani peenay k baad wapis janay lagi to kisi ne uska hath tham kar usay andar khaincha tha
Uska dil zor se dhark raha tha.......ankhon mae behad khof tha.....
Us awaz ko wo pehchan gae thi.....

Usay deewar se lagaye.....dono janib hath jamaye......wo us k tmam rastay rok chuka tha.....chehra us k chehray k qareeb kiye wo uski khoafzada ankhon mae baghor daikh raha tha

"Choro mujhay" wo uski giraft se nikaltay huay madham lehjay mae chilai thi

"Kis se bachti phir rahi ho? Mujh se?" Wo phankara tha

"Mae kiya tum se darti hun? Jo bachti phirun gi......choro mujhay" nam ankhon mae ghussa sumoye wo boli thi

"Darna to chahiye.........akhir ko shohar hun tumhara......" uski agli baat pe wo ankhain phailaye usay daikhnay lagi

"Tum samajhtay kiya ho khudko.......ye sab kar k kiya jeetana chahtay ho tum?"

"Apna pyar jitana chahta hun......itna to haq rakhta hun" us sakht or sanjeeda lehjay pe usay apni jan hawa hoti mehsus hui thi

"Mae is rishtay ko nahi manti......samjhay tum" ghussay se kehti wo rukh phair gae thi

"Samajha to mae tumhay dun ga........ainda meri call ignore karnay ki ghalti mat karna.......tum tak pohanchna meray liye mushkil nahi.......Lekin apnay dil ki waja se majbur hun.......ye dil hamesha tumhara mamlay mae dagha de jata hai mujhay" wo muskuraya tha
Uski baat sun k wo kanp k reh gae thi

"Tum.....tum.....samajhtay kiya ho khudko?" Bamushkil wo apna jumla mukamal kar pai thi,muqabil ki ankhain or un mae mojud tasurat usko khatray ki ghanti mehsus huay thay

"Tumhara shohar........or chahta hun k tum bhi khudko meri biwi samjho"

"Esa kabhi nahi hoga" uski ankhon mae ankhain dalay wo chaba chaba k boli thi

"Tum janti ho.......mujhay zid pasand nahi" us ne apni giraft mazboot ki thi

"Mae tumhari ghulam nahi hun......jisay tum yun orders do gay"

"Mae ne esa kabhi socha bhi nahi.......mae tum se pyar karta hun......biwi ho tum meri......or poori izzat k sath tumhay le jana chahta hun.....apni family ko samjhao k tumharay liye jo wo soch rahay hain sochna band karain......tum sirf meri or ye tum achay se janti ho" uska talkh lehja muqabil pe bijlian gira raha tha......wo us ki taraf se bekhabar nahi tha
Wo us se kisi kisam ka bhi rabta nahi rakhti thi.....lekin wo us k tamam mamlat se agah tha

"Bohat jald aaun ga tumhay lenay.......lekin us bar ki tarhan khamoshi se nahi.......puri shan k sath......bas thora intezar karna hoga.......is bar tumhay sath le k hi jaun ga" uski peshani pe bosa diye ek jhatkay se usay apni qaid se azad karta wo wahan se ghayab hua tha......wo wahin baith gae
"Kiya us k naseeb mae yeh likha tha......"
Wo chehra hathon mae chupaye ronay lagi

******************

"Kiya soch rahay hain ap?" Wo terrace mae khara cigarette sulga raha tha jab aleezay wahan I thi

"Hmm......kuch nahi" aliyan ne rukh bahir ki janib mor liya

"Bata dein.......shyd mae koi hal bata sakun.....apki problem ka" Aleezay ne kandhay achkatay huay kaha to wo muskura diya

"Koi problem nahi hai.......sab thk hai......tum pareshan na hua karo" aliyan ne usay galay lagatay huay tasali di thi lekin wo phir bhi sanjeedgi se usay daikhti rahi

"Ap ne keh diya mae ne man liya...." wo naraz hui thi

"Han man to lena chahiye....." us ne cigarette ko ash tray mae masal diya
Chehray pe ab bhi pareshan kun tasurat thay

"Ap mujh se keh saktay hain jo kehna chahtay hain......."

"Tumhay esa q lag raha hai k mae tumse kuch kehna chahta hun? Every thing is fine aleezay.....don't worry"

"Kiya apko phupho ki kahi baaton ka bura laga hai?" Aleezay ne zaban pe thehra sawal puch hi liya tha

"Nahi.......wo thk keh rahi thin......apni beti k liye sab itna to sochtay hi hain" us ne chehra jhuka liya tha
Faiza phupho ki kahi kuch baatein usay yad I thin
Wo sara se milnay ja raha tha jab unki kahi chand baatein us k kano mae pari thin

("Arsal kiya zaroorat thi bachi ko itni jaldi biyahnay ki........ek bachay ka baap hai wo.......aleezay ki hasti basti zindagi mae ek bachay ki ammad wo bhi jo uska apna nahi hai......kiya ye us k sath na insaafi nahi.......wo jitna bhi us bachay ko pyar de le......rahay gi to soteli maa hi na.......wo bacha usay kabhi nahi apnaye ga........itnay sal wo apnay baap se alag raha hai.......kiya tarbiyat ki hogi unlogon ne uski.......meri mano to tumhara ye faisla aj sahi mainon mae ghalat sabit hua hai"

Unki baatien sun k wo zabt se muthiyan bhicnh gaya tha......ankhain is ahanat pe surkh ho gae thin......lekin wo  unhay koi jawab nahi de saka tha.......q k wo jawab dena zaroori nahi samajhta tha

Zindagi mae esay kai mukam atay hain jahan insan ko danista tor pe khamoshi ikhtyar karni parti hai........waja apki kamzori nahi hoti........bal k waja logon ki choti or mayari soch hoti hai jisay ap badal nahi saktay........esay logon ko samjhana alfaz zaya karna hai
Us ne bhi yehi kiya tha......wo khamosh raha tha

Jesay hi wo palta tha aleezay ko apnay samnay paa kar chehra jhuka gaya.....yaqeenan wo bhi sab sun chuki thi.....

"I think humain wapis chalna chahiye" wo agay barhnay laga to aleezay ne usay rok liya

"Hum jayein gay.......par esay nahi......ye qissa yahin khatam ho jana chahiye" wo kamray ki janib barh gae jahan arsal or faiza baithay thay.....un k ilawa wahan koi mojud nahi tha,is liye wahan honay wali guftugu koi bhi sun nahi saka tha

"Aleezay please........mae mazeed koi behas nahi chahta...." wo filhal unka samna nahi karna chahta tha

"Koi behas nahi karay ga" aleezay usay liye kamray mae aa gae

"Appa mae apnay faislay pe ab bhi qaim hun.......mujhay kisi kisam ka koi dukh ya afsos nahi.......aliyan k mazi se kon waqif nahi tha? Sab jantay huay bhi mae ne apni beti ka hath us k hath mae diya......q k us se behtar insan apni beti k liye mae dhundh nahi sakun ga........mujhay aliyan pe poora bharosa hai.......meri beti sari zindagi us k sath khush rahay gi......rahi baat shahmir ki......to mujhay is mamlay mae bhi koi aitraz nahi.....mujhay apni beti pe poora bharosa hai.......shahmir ki tarbiyat mae agar koi kami reh gae hai to wo usay poora karay gi......wo shahmir k har mamlay mae aliyan ko jawab de hai....wo kabhi aliyan ka sar shahmir k agay jhuknay nahi de gi"
Aleezay ne aliyan ki janib daikha tha.......arsal k alfaz ne un dono ko pursakoon kar diya tha.....

Uski nazron mae arsal ki qadar aj or barh gae thi.....arsal ne wohi jawab diya tha jo wo dena chahta tha.....wo mutmain ho gaya tha

"Papa" aleezay ki awaz pe wo dono foran kharay huay thay........faiza phupho sharminda si nazar anay lagi thin

"Aao aleezay.........baitho" arsal ne muskura kr kaha

"Nahi papa......mae ab chalun gi.......bas ap se milnay I thi" wo dono agay barh k arsal or faiza se milay thay

"Khayal rakhna apna" arsal ne uski peshani chumi thi

"Aj mae apnay shohar k samnay bohat sharminda hui hun papa........" aliyan or faiza k janay k baad us ne arsal ki janib daikhtay huay kaha tha

"Beta mae maazrat......."

"Nahi papa......please mujhay gunahgar na karain......phupho k alfaz ne humay bohat hurt kiya hai" us ne apni nam ankhain saaf ki thin......arsal ka dil kat k reh gaya

"Kuch nahi hota beta.......wo bari hain.......apni fikar ka izhar kar rahi thin.......han alfaz sakht thay......par unki baat ka bura mat manna"

"Hmm.......koshish karun gi.....k in alfaz ko bhula du......aliyan k baray mae nahi janti....."

"Wo tum se ziada samajhdar hai......yaqeenan wo bhi bhula de ga" )

"Aliyan I'm sorry......please ap phupho ki baat ka bura mat manayein" aleezay ne us k hath thamtay huay kaha to wo muskura diya

"Mae ne kisi ki baat ka bura nahi manaya aleezay........please tum yun sorry mat kaho......mujhay acha nahi lagta" us ne aleezay ko galay lagaya tha

"Par ap dil se to un se naraz hain na" usay kisi tor bhi yaqeen nahi aa raha tha

"Mae na dil se or na hi dimagh se....kisi se naraz hun.......un ki fikar tumharay liye jaiz thi or mae qadar karta hun us muhabbat ki jo wo tum se karti hain......unki jaga koi bhi hota to wo bhi shyd yehi kehta.....is liye mae ne bilkul bhi bura nahi mana.....mujhay esay log pasand hain jo dil ki baat ko dil mae nahi rakhtay zuban se keh detay hain....."

"Acha.......lekin ap khud to esay nahi hain......ap to apni baatain dil k najanay konsay konay mae chupa k rakhtay hain......kisi ko khabar bhi nahi honay detay"
Wo aliyan se alag hotay narazgi se boli thi

"Bohat si baaton ko maslehatan chupana parta hai......ta k un k asrat apki zindagi pe na par sakain" us k baalon ko kan k pichay arastay huay aliyan ne jawab dia

"Shahmir kahan hai?" Wo jab se wapis aya tha aliyan ne usay daikha nahi tha

"Apnay gift ki ammad k din gin raha hai"

Shahmir kuch kuch dair baad us se us gift k baray mae puchta tha jiska sara ne usay bataya tha
Aleezay us k bar bar k sawal karnay se tang aa chuki thi

Aliyan muskura diya

"Han.......mae bhi apni beti ka bohat intezar kar raha hun"
Aleezay ne usay ghoora tha

"Beti nahi beta.......shahveer" aliyan heran sa usay daikhnay laga

"Tum ne nam bhi soch liya?"

"Han jab ye khabar mili thi mae ne to tab hi nam soch liya tha" aleezay ne kandhay achka diye

"Meray betay ki ankhain bilkul mujh jesi hongi" wo  muskurati hui sochnay lagi
Usay betay ki khuwahish thi.......jo bilkul aliyan or shahmir jesa ho......bas ankhain us jesi hon...

"Beta nahi beti......aliya" aliyan ne uski tasheeh karna zaroori samjha tha
Aleezay ne foran uski janib rukh mora tha

"Ap ne bhi nam soch liya?"

"Han jab mujhay khabar mili thi to mae ne bhi tab hi nam soch liya tha

"Or uski ankhain bilkul meray jesi hongi.......janti ho......jenny ko meri ankhain bohat pasand thin......" aleezay us k jumlay pe shishdar reh gae

"Kon jenny?" Wo bharki thi

"Jenny....wo......meri class fellow thi....she has a secret crush on me"
aleezay sulagti nazron se usay daikh rahi thi

"Aliyan ap ek bar hi q nahi bata detay k apki zindagi mae kitni I or kitni gaein? Yun har mokay pe mera dil jalana zaroori hai kiya?"

"Han na......Tum jalti hui itni bohat khubsurat jo dikhti ho......" aliyan ne uski nak dabai thi.....aleezay ghussay se rukh phair gae

"Ok baba.....ab nahi kehta" aliyan ne uska rukh apni janib mora tha

"Mujhay paka yaqeen hai apko phir kisi baat pe apni koi hoti soti zaroor yaad aye gi......behtar hai ap apni study ko rukh mor lein"
Wo janay lagi to aliyan ne usay apni janib khaincha tha

"You know..that...I only love you.....phir q naraz ho jati ho?" Aliyan ne eyebrow uthatay huay sawal kiya tha.....aleezay hans di

"Bas yehi alfaz sunnay k liye......naraz hona parta hai" aleezay us k hisar se nikalti foran wahan se chali gae...... aliyan us k alfaz samajhta reh gaya

Continue Reading

You'll Also Like

19.4K 1.4K 49
𝐍𝐨 𝐩𝐚𝐫𝐭 𝐨𝐟 𝐭𝐡𝐢𝐬 𝐩𝐮𝐛𝐥𝐢𝐜𝐚𝐭𝐢𝐨𝐧 𝐦𝐚𝐲 𝐛𝐞 𝐫𝐞𝐩𝐫𝐨𝐝𝐮𝐜𝐞𝐝, 𝐝𝐢𝐬𝐭𝐫𝐢𝐛𝐮𝐭𝐞𝐝, 𝐨𝐫 𝐭𝐫𝐚𝐧𝐬𝐦𝐢𝐭𝐭𝐞𝐝 𝐢𝐧 𝐚𝐧𝐲...
92.9K 5.1K 61
Age difference based٫ Love after marriage
70.8K 3.1K 8
‎اسرار asrār Keeping secret; concealment, suppression; secrecy, secret, mystery
152K 8.5K 46
Kyu meri mohabbat ko dosti ka Naam de gye? In alfaazon ko kyu Khamoshi karaar kar gye? Tere khatir khud ko bhula baithe hum Tu na jaane teri raah p...