Voice Of Her Soul

swekshatiwari által

16.7K 1.2K 708

This story is based on Indian TV show "Ek Duje Ke Vaaste" This story starts from epi 153 when shravan insulte... Több

prologue
chapter 1
chapter 2
chapter 3
chapter 4
chapter 5
chapter 6
chapter 7
EDKV second anniversary
chapter 8
chapter 9
chapter 10
chapter 11
chapter 12
chapter 13
chapter 14
chapter 15
note
EdKV's third anniversary

chapter 16

931 58 23
swekshatiwari által

At airport

Before shravan could recover form previous slap he got another slap on right cheek...before he could react sumo  slapped him n times  on his both cheeks...after getting tired she stopped and fist his collar and said " phir se bhaag rahe the naa...haan phir se bhaag rahe the...yahi to aata hai tumhe....bachpan se he problems se bhaagte aaye ho or aaj bhi bhaag rahe ho....kabhi seekha he nahi problems ko face karna hai naa....sahi socha tha mai ne bachpan se he fattu the aaj bhi fattu ho....kya socha tumne itne kuch kar loge or chupke se nikal jaoge or mai kuch nahi karungi....jawab do naa kyo bhaag rahe the haan...ab chup kyo ho...aise to zubaan thakti nahi dusro par ilzaam lagane me aaj kya hua gond kha li kya???"

Shravan was not in state to think anything...he was still not fully recovered from her action...he was still staring her beautiful but angry face...his mind said

God she looks hot when she gets angry...

His thought was broken by sumo's angry voice

He tried to say ummm su..sumo umm actually m..ummm mai ne aaa...tum yaha itni raat ko akeli aai ho???or kyo??

Sumo pushed his collar and slaps her forehead "mai ne itne sawal kiye or tum ab bhi yahi atke ho haan...kya karu mai tumhara??mai ne kuch pucha hai???kyo bhaag rahe the kya soch ke jaa rahe the mujhe chor ke???..ummm I mean problems ko peeth dikha ke...mai ne to socha tha ki 10 saalo me kam se kam ye buri aadat to chali jayegi...par nahi tum kabhi nhi badal sakte brainless malhotra...10 saal pehle bhi kayar the or aaj bhi ho...."

Shravan said " sumo wo actually mai tumhe or nahi hurt karna chahta tha....jab se aaya hun tumhe hurt he kiya hai....aaj bhi mall par sabke samne tumse wo Sab keh diya ek bar bhi ye nahi socha ki tumhe kaisa lagega...aaj phir tum mere karan roi...saari zindgi rulaya he hai tumhe...kabhi koi khushi nahi di...shaadi jaise pavitra rishte ko mazak bana diya jabki janta tha ki tumhare kya sapne hai shaadi ko le kar....chote ki shadi me bhi kya nahi kaha tumhe...or adtiya ko bhi kya nahi kaha...aaj bhi ye dono incident yaad karta hun to khud se nazre milaane ki himmat nahi hoti...
Tumse 10 saal se pyaar karne ka dawa karta tha par naa kabhi bharosa kiya naa tumhari respect ki....isliye mujhe laga ki tumhari zindgi se chale Jana he accha hai...kam se kam or hurt nahi kar paunga tumhe..."

Sumo clapped her hands and said
"Wow just wow tum or tumhare assumptions shravan...tum humesha khud se he soch lete ho har baate samne waala kya sochta hai kya chahta hai isse tumhe koi matlab nahi....kabhi apne is kalpnaalok se bahar niklo or dusro ke thoughts bhi janne ki koshish karo....10 saal pehle tumne ye socha ki mujhe apne kiye ka pachtawa nahi hai or isliye bina meri baat sune bhaag gaye...peeche se chillati rahi tumhari car ke peeche bhi bhaagi par tumne suna he nahi....ramnath uncle ki baat suni or nirmala aunty ko unke friend ke ghar dekh kar tumne soch liya ki wo guilty hai, ek bar bhi unse jaa kar pucha nahi ki unhone aisa kyo kiya, kyoki tumne socha ki mere papa galat nahi ho sakte....meri galti badi thi or phone par maafi nahi maang sakti thi isliye contact nahi kiya or tumhe laga ki mujhe meri galti ka ehsaas nahi hai...wapas aane par tumne soch liya ki mai purani waali selfish sumo hun bina ye jaane ki mai badal chuki hun....pct ke mamle me bhi tumne soch liya ki mai ne aditya se papers liye kyoki mai usse use karna chahti thi, ek bar bhi aa kar shikayat nahi ki ki sumo tumne aisa kyo kiya...bs aaye or dosti tod Di...(tears were continuously flowing from her eyes)
Or shadi me jab mai ne paise lene se mana kar diya to tumhe laga ki mai ne apni ego or dikhawe ke liye ye sab kiya....ek bar bhi ye janne ki koshish nahi ki ki mai us insaan se paise nhi le sakti thi jisne mere pyaar ko khareedne ki koshish ki....tumne socha tumhe,  laga sirf yahi mayne rakhta hai tumahre liye hai naa...aaj bhi mai ne mall me mai ne kuch nahi kaha iska matlab tumne ye nikaal liya ki mai gussa hun hurt hun....

9 saal ki thi jab maa papa chor kar gaye kisi ne poori duniya ke samne apna nahi mana kisi ne aise sabke samne ye nahi kaha ki special hun mai...kisi ne yun duniya ke samne pyaar nahi jataya mujh par...naa he kisi ne khud se naraz hone ka haq diya or itni shiddat se manaya...dar gai thi mai ki kahi mai jaagu or ye Sapna toot naa jaye...bharosa nahi ho raha tha ki ki kisi ke liye mai itna mayne rakh sakti hun....lag raha tha koi cheen naa le ye khushi or isliye bhaag gai waha se..."

Now she was crying bitterly... Shravan was looking toward her helplessly...he too was crying seeing her in this state he couldn't stop himself and hugged her ...

"Shhh sumo please ro mat please ...tum janti ho mai tumhe rote hue nahi dekh Sakta...accha theek hai mai nahi jaunga tum kahogi to kahi nahi jaunga...pakka...or abse tumse puche bina koi decision nahi lunga..."
Ssshhh please stop crying sumo

After some time she stopped crying but still hugging him

Shravan said "sumo tum to janti ho naa mera dimaag thoda kharab hai....mai nahi samajh pata hun tumhe...ab kabhi bhi kuch bhi galat karu tum aaj ki tarha aa kar mujhe maar dena par please ignore mat karna..."

Sumo realized her position and pulled herself back...she looked him and said

"Tum humesha galti karte ho or sorry bolne chale aate ho...or meri har baat maan jaate ho bina shikayat kiye ....10 saal pehle agar mujhse kaha hota ki sumo tumhara ye behaviour mujhe accha nahi lagta mai hurt hota hun to naa mai bachpane me wo galti karti naa hum 10 saal alag hote or naa tum wo sweet se chashmish se ye khadoos kutubminar bante" (with a pout)

Shravan laughed at her antics..

"By god sumo tum to mere naam par ek book likh sakti ho itne naam de chuki ho...akdu, khadoos, kutubminaar, egoistic, chashmish, brainless malhotra,

Sumo tumne mujhe rokne bhi aai rok bhi liya...mar bhi liya or ye baat bhi maan li ki mai ne jo mall me kiya usse tum hurt nahi khush hui ho...to ab please wapas aa jao naa..mai promise karta hun ki ab mai kabhi hurt nahi karunga tumhe...please wapas aa jao naa...kya sumo apne shravan ko ek chance nahi degi???ek last chance sumo....itna to chalta hai naa pyaar me dosti me???....."

Sumo said "shravan is bar sirf mera dil he nahi toota bharosa bhi buri tarha se toota hai...mai sab itni jaldi nahi bhula sakti...."

Shravan said "I understand sumo par kya hum bhi kabhi sath nahi ho payenge...agar tum chaahti he nahi thi ki hum sath ho agar tum mujhe maaf he nahi kar paa rahi tu mujhe jaane kyo nahi diya..."

Sumo said "shravan life me second chance har koi deserve karta hai....meri galtiyo ke baad bhi tumne mujhse dobara dosti ki...or ab mai tumhe ek chance dena chahti hun...mai ne tumhe isliye nahi roka ki mujhe tumse koi badla Lena hai...mai ne tumhe isliye roka hai taaki is bar tum problem se bhaago nahi balki unse lado or apni khushi wapas pao...hum humesha pareshaaniyo se bhaag nahi sakte...kabhi naa kabhi ladna padta....mai ne tumhe second chance diya hai ab tum bhi apne parents ko second chance do..."

Shravan said "sumo please unki baat naa karo...un dono ne meri life ke 11 saal barbaad kiye hai..."

Sumo said "wo to hum dono ne bhi kiye phir bhi hum aaj yaha khade hai or baat kar rahe hai naa...kyoki aap laakh galtiya kar lo kitna bhi gussa ho lo par pyaar to reh he jata hai naa wo kabhi khatam nahi hota hai....or wo dono tumse pyaar karte hai....mai unhe turant maaf karne nahi keh rahi kyoki mai bhi abhi tumhe maaf nahi kar pai hun....
Shravan kisi bhi misunderstanding ka main reason hai lack of communication.. Humne baat he nahi ki isliye itni dooriyaan aa gai....tum please unse baat karo unki baat suno or phir faisla lo...."

Shravan looked her with so much love and smiled

Sumo said "mai itni der se yaha tumhe kuch samjha rahi hun or tum khade khade hass rahe ho..."

Shravan said "mai dekh raha hun wo ladki jo apna ek project nahi bana paati thi...aaj bhi jo apni gaadi ka clutch theek nahi kar paati wo itni samajhdaar kaise ho gai??...waise sabki baat to kar li par humare bare me to kuch kaha he nahi tumne...."

Sumo said "mai ne kaha naa mai tumhe second chance de rahi hun ab ye tum par hai tum mujhe wo bharosa dilao ki ab tkk humare beech jo bhi hua hai wo nahi hoga...agar tum mera bharosa jeet gaye to hum zaroor sath honge....."

Suddenly pushkar's voice interrupt them...

Sumo bid bye to him started to go toward pushkar
Shravan said from back "sumo ye to batati jao itni raat ko yaha akele bhagti hue mujhe rokne kyo aai???"

"Mere liye accha ladka dhoond ke shadi karane"...sumo said with smirk

Pushkar said "agar aapka ho gaya ho to mai apni friend ko le jaa sakta hun"

pushkar said to driver who was standing there from starting "kamalji aap sumo ki gadi pct drop karke ghar chale jaiye"

Pushkar was about to move toward the car when shravan said "sumo wo pyaar ke bare me kya keh rahi thi ye to batati jao"..(with smile)

"Not so soon Mr hopeless malhotra"..sumo said and winked

And the drove away from there leaving a happily smiling shravan...

To be continued....
____________________________________
Hello everyone here was the most awaited conversation...

Tell me your view in comment about this part ....

I wrote this part when I was cooking😂😂so please ignore any type of mistake....

wish you all a very happy independence day in advance ...

Love😘
Sweksha

Olvasás folytatása

You'll Also Like

18.9K 1K 10
Shravan and Suman met when they were children and grew up to be good friends, until they entered high school things changed . In their last teenage y...
548 42 4
These are some very different shades of our dear Shravan Malhotra, in regards to his Sumo. ⚠️ Warning: There might be some mature content in the flow...
36.6K 2.5K 25
My very first story about Shraman. Its unedited and i used a lot of abbrevations so read at your own risk!!
64.8K 2.8K 39
This story is based on two brother Both are opposite to eachother Big one is clam and second one is naughty Its about their Marriage