Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Book 2: chapter 42

1.5K 111 56
By frozenRose3112

Book 2: chapter42

qurbaton mein bhi judai ke zamane mange
dil wo be-mehr ki rone ke bahane mange..!

hum na hote to kisi aur ke charche hote
KHilqat-e-shahr to kahne ko fasane mange..!

yahi dil tha ki tarasta tha marasim ke liye
ab yahi tark-e-talluq ke bahane mange..!

apna ye haal ki ji haar chuke luT bhi chuke
aur mohabbat wahi andaz purane mange p...!

zindagi hum tere daghon se rahe sharminda
aur tu hai ki sada aaina-KHane mange ..!

dil kisi haal pe qane hi nahin jaan-e-'faraaz'
mil gae tum bhi to kya aur na jaane mange..!

AHMED FARAZ

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️VOTE⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

Mateen ki awaaz pe Aayat ne chonk kar Us taraf dekha. Lekin Haadi apni hi dunya main abhi bhi us se na jaanay kya keh raha tha.

Mateen ko gussay aur taish main unki taraf barhta dekh Aayat ko samajh nahien aaya ke wo kya karay , lekin is beech wo apna haath Haadi ki giraft se kheenchna na bhooli thi.

Lekin Aayat ko zyaada koshish karnay ki zaroorat nahien pari , kyunkay doosray hi lumhay Haadi us se jhatkay se peechhay hataa tha.

Ya phir yeh kaha jaaye ke hataaya gaya tha.

" tumhaari himmat kesay huwi Aayat ka haath pakrnay ki. " Mateen gussay se gurraaya tha.

Office se waapas aatay waqt Zoyan usay taqreeban zabardasti apnay saath yeh keh kar saath laaya tha ke usay Mateen se kuchh zaroori baat karni hai jo wo office main nahien kar sakta. Is liye wo isay yahaan is maqaami park main le aaya tha.

Lekin yahaan pohanch kar jahaan pehlay uski nazar Aayat par parkay roshan huwi thi , wahien jub doosray lumhay uski nazar us anjaan shakhs ke haath par pari , jo Aayat ki kalaayi ko pakray huway tha , Mateen ki aankhon main khoon utar aaya tha.

Jub Mateen ne us shakhs ko Aayat se door dhakela tab wo nahien jaanta tha ke ye shakhs kon hai. lekin jesay hi uski nazrain Haadi ke chehray se takraaien , Uski taraf uthnay waala haath wahien hawaa main ruk gaya.

" Haadi...?.." Ek jhatkay se Mateen ke chehray pe chhaaya taish , be yaqeeni main badal gaya tha. Aur paanchh saal pehlay guzray qayaamat khaiz lumhay phir se uskay dimaag main aag ke golon ki tarhaan barasnay lagay.

" haan haan!! Main karti hoon Haadi se pyar..!! Suna tum ne...!! " Aayat ke wo alfaaz jo Mateen se uska sub kuchh chheen le gaye thay. Phir se uskay kaanon main goonjnay lagay.

" Mateen ye kya kar rahay ho..." Zoyan peechhay se aakay uskay baazu se pakray usay Haadi ki taraf barhnay se rok raha tha. Lekin Mateen to ye tak bhool gaya tha ke wo Aayat ke bachaao ke liye aagay barhaa tha.

Lekin kis se...?

Haadi se...?Jis se Aayat pyar karti hai...?

Is dil cheer soch se hi uska dil tarap uthaa tha. Wo jaanta tha ke wo kabhi Aayat ka pyar nahien paa sakta , lekin kisi aur ki uskay dil main jagaah ki soch bhi Mateen ke liye sohaan e rooh thi.

Wo shayad bhool gaya tha ke us raat Aayat ke Haadi ke liye iqraar , uskay kahay gaye alfaaz ne Mateen ko kis shadeed aziyat main mubtlaa kiya tha. Kyunkay uskay dil main uthnay waala dard usay wo qayaamat khaiz lumhaa dobaraa se yaad dilaa gaya tha.

Jisnay us se uska hosh , uski insaaniyat sub chhen lee thi.

Doosri taraf khaamosh khari Aayat jo Mateen ko is tarhaan dekh uskay jism main waaza larzish shuroo gayi thi.

Aayat ko ek pal main Paanchh saal pehlay guzri wo raat yaad aayi jub isi tarhaan wo Haadi ko usay choota dekh aapay se baahar ho gaya tha. Lekin ab Mateen ke chehray se guzartay in dard naak saayon ko dekh wo jaan gayi thi ke wo kya soch raha hai.

Wo kin lumhon ko dobaara se jee raha hai.

" Tum yahaan kesay aa gaye..? Tum to England main rehtay ho na..?.." Haadi , yahaan Mateen ki mojoodgi se shayad inthaayi sadmay main tha , kyunkay usay Mateen ke uskay haath uthaanay se zyaada dilchaspi uski yahaan mojoodgi se thi.

" Aapi..." Zarish , Aayat ka baazu pakar kar uskay saath khari ho gayi. Lekin Aayat ki nazrain Mateen ke chehray par markooz thien. Wo jaanti thi ke is waqt Mateen ka dimaag kin sochon main ghiraa hoga.

Aur wo barh kar usay rok lena chaahti thi , usay bataana chaahti thi ke wo jo samajh raha hai wesa nahien hai...uskay dil main uskay siwaa na koyi kabhi tha , aur laakh koshish ke baad bhi na koyi aur hoga.

" ye yahaan kya kar raha hai Aayat...?" Haadi ne ek baar phir Aayat ki taraf dekhtay huway kuchh is andaaz se poochha. Jesay Aayat ne usay koyi bohat baraad hoka diya ho.

Haadi ki zabaan se Aayat ka naam sunna bhi Mateen ke liye naa qaabil e bardaasht baat thi.

" Zarish chalo yahaan se.." Aayat Haadi ke sawaal ka jawaab diye bagair boli. Wo jald se jald Mateen aur Haadi ko ek doosray se door kar dena chaahti thi. Jo uski yahaan mojoodgi se mumkin nahien tha .

" Zoyan chalo yahaan se.." Zoyan bhi wahaan saakit kharay Mateen se bola lekin wo khamosh khara Aayat ke jhukay chehray ko dekhta raha .

" Nahien Aayat pehlay tum bataao ke ye Mateen yahaan kya kar raha hai...? , ye sub kya ho raha hai.koyi mujhay kuchh bataaye ga..?!!..." Haadi ko uski yahaan mojoodgi ek aankh nahien bhaa rahi thi. Usay yaqeen nahien ho raha tha ke Mateen pakistan main hai , kyunkay jahaan tak usay pataa tha wo to UK ka shehri hai. Aue pehlay kabhi pakistan main qadam bhi nahien rakha..to aaj achaanak kahaan se.....? Kahien ye Aayat ke liye to nahien aaya...?

Aur Aayat aur Zarish ko dekh kar lag raha tha jesay wo Mateen ki yahaan mojoodgi se bilkul heraan nahien hai.

" Haan Aayat bataao Haadi ko ke main yahaan kyun hoon , kyunkay ye waqt to tum dono ki mulaaqaat ka tha , mera nahien. To phir main yahaan kya kar raha hoon.. "

Mateen ka lehja karwaa tha , lekin usmain chhupi uski takleef Aayat se posheeda nahien reh paayi thi. Uski aankhain bhartay aansuon se jalan mehsoos kar rahien thien. Lekin wo apni poori koshish kar rahi thi ke wo ek aansoo bhi na bhaayae.

Wo in dono ke saamnay kamzor nahien parnaa chaahti , jo sirf apnay baaray main soch rahay hain.

" mujhay tum dono ko koyi jawaab nahien dena , Zarish chalo.." Aayat ne mazboot lehjay main keh kar dobaara se wahaan jaana chaaha , lekin ek baar phir Aayat ke khilaaf e tawaqqa Haadi us ke saamnay aakar uska rasta rok gaya tha.

" nahien Aayat..! Aap jub tak mujhay apni galti sudhaarnay ka ek aur moqa nahien detien , mujhay koyi jawaab nahuen de detien. main aap ko yahaan se jaanay nahien de sakta. Please ek baar meri paishkash ke mutallq soch ke jawaab dain , main waada karta hoon ke main aapka maazi bhulaa ke aap ko har wo khushi doon ga jis ki aap haqdaar hai. " Haadi ne ek baar phir minnat bharay lehjay main kaha tha.

Lekin wo ye nahien jaanta tha ke uski ye harkat Mateen ke sabr ka baandh tor degi.

Is se pehlay ke koyi kuchh samajh paata , Mateen Ek baar phir Haadi ko collar se pakar kar usay ek ke baad yak e deegray ghoonsay maarta raha. " Main tujhay zinda nahien chhoroon ga..Aayat se shaadi karay ga tu. Kaminay..main tumhay is laayak hi nahien chhoroon ga. " Zoyan aur Zarish teenon unki taraf barhay thay. Jubkay Aayat yeb dekh baraf ban gayi thi.

Jub Zoyan ne Mateen ko Haadi se door kiya tha l kin Mateen deewaana waar khud ko chhuraata dobaara se Haadi ki taraf barhaa tha.

Aayat ek cheekh ke saath laa shaoori tor par unki taraf barhi thi aur is se pehlay ke Haadi ya Mateen dono main se koyi bhi dobaara haath uthaaye , Aayat un dono ke beech khari ho gayi. Tab tak Zoyan bhi Mateen ke gird baazu lapait kar usay dobaara pakar chuka tha.

Aayat Haadi ke saamnay is tarhaan khari huwi thi jesay usay Mateen se bachaa rahi ho. " Mateen tum paagal to nahien ho gaye....!"

Aur Aayat ki ye harkat Mateen ko mazeed seekh paa kar gayi thi.

" is shakhs ke liye tum mujh se azaadi chaahti ho Aayat...!! Is ke liye tum mujh se door jaana chaahti ho....?!.....Tum ab bhi Haadi ke baaray main soch rahi ho...!! , main aaj bhi tumhaaray liye kuchh maainay nahien rakhta.,!!.." Dahaar se shuroo kiye gaye Mateen ke alfaaz aakhir tak rundhi awaaz main badal gaye thay.

Aayat be yaqeeni se usay dekhti rahi. Jin aansuon ko wo itni koshsish se rokay huway thi. Mateen ke dil kharaash ilzaamon se baandh tor kar beh niklay thay.

" Mateen is waqt tum hosh main nahien ho , tum nahien jaantay tum kya keh rahay ho. Please ghar chalo... " Zoyan usay wahaan se kheenchta le jaanay lagaa. Lekin uski aankhain Aayat ke chehray ko chhornay se inkaari thien.

" Zarish tum Bhaabhi ko ghar le kar jaao." Zarish se kehnay ke baad wo Mateen ko wahaan se le gaya.

" ye shakhs ki mojoodgi main kabhi haatha paayi ke siwaa baat nahien ho sakti.." Haadi apni naak se behtay khoon ko saaf kartay huway bola. Lekin Aayat ya Zarish donon main se kisi ne usay kuchh jawaab nahien diya. Balkay Zarish naak sukoortay huway uspay ek sarsari nigaah daalnay ke baad dobaara Aayat ki taraf muri.

" Aapi..." Zarish ne Aayat ke qareeb aakar usay mukhaatib kiya. Lekin uski nazrain ab bhi us jaanib thien jahaan Zoyan Mateen ko apnay saath le kar jaa raha tha.

" Aayat ye sub kya ho raha hai , mujhay kuchh samajh nahien aa raha. Uska kya matlab tha ?.." Haadi ne ek baar phir sawaal kiya.

Lekin is baar Aayat usay nazar andaaz karnay ke bajaaye uski taraf muri .

" aapko mera jawaab chaahiye tha na...., to suniye...nahien..!! Main aap ko doosra moqa nahien de sakti...! Kyunkay main shaadi shuda hoon..! Mateen mera shohar hai..!..aur uskay ilaawaa main kisi aur ke baaray main soch bhi nahien sakti..!! Sun liya aap ne...?! Ab khud ke liye meri zindagi aur jahannm mat banaayain..!! " Aayat deewaana waar boli thi. Uskay aansoo ab tawaatar se beh rahay thay.

Mateen ke alfaaz , uski aankhon main bharay dard ne Aayat ko tor ke rakh diya tha.

Wo jo khud ko mazboot zaahir kiye khari thi. Ek pal main tootay sheeshay ki tarhaan bikhar gayi thi.

Haadi be yaqeeni o herat se usay dekhay gaya. Usay yaqeen nahien ho raha tha ke Aayat ki shaadi ho chuki hai. Aur wo bhi us shakhs se jis se wo nafrat karti thi...?.. Ye kesay ho sakta hai...?

Lekin is se pehlay ke wo aur kuchh poochh sakta Aayat Zarish ke saath wahaan se taiz qadmon se chalti wahaan se door chali gayi.

Is baar wo usay jaata dekhta raha kyunkay wo ab usay rokna nahien chaahta tha , kyunkay wo jaan chuka tha ke ab bohat dair ho chuki hai...

Aayat kisi aur ki bevi ban chuki hai.

Lekin Mateen...?

Mateen kyun...? Kya Mateen ki harkatain Aashir ko nahien pataa jo usnay Aayat ki shaadi Mateen se kar di...?

Usay yaad aaya tha ke us din phone par Haadi ke poochhnay par bhi Aayat ne kabhi ye nahien bataaya ke uskay saath wo harkat karnay waala kon tha...?

Kahien wo Mateen to nahien....?

*************

" wo Mujhay chhor kar Haadi ke paas jaana chaahti hai Zoyan...! Tum ne dekha nahien us waqt bhi wo meray saath honay ke bajaaye Haadi ke aagay khari ho gayi...!! Aur tum chaahtay ho ke main pur sukoon ho jaaoon...!!!" Mateen ek baar phir gussay se bola tha. Ek kohni darwaazay ke frame pe rakhay , doosray haath se wo be dardi se baar baar apnay baal paishaanise hataa raha tha. Jisay sekh Zoyan ko lagaa ke abhi uskay baal jar se ukhar jaaain ge.

Wo jo ye soch kar Mateen ko apnay saath Zarish ke bataaye gaye us park main le gaya tha ke Aayat aur uski dobaara se baat cheet karaa kar unkay talaaq jesay baray faislay se peechhay hata sakain , usay bilkul umeed nahien thi ke wo Haadi wahaan achaanak se aa dhamkay ga.

Zoyan kabhi Mateen ke taish se bharay surkh angaara hotay chehray ko dekhta to kabhi saamnay road ki taraf. Wo jaanta tha ke agar isi tarhaan uska dhiyaan road se batakta raha to yaqeenan wo kisi baray Accident ka shikaar ho saktay hain. Par khush qismati se is waqt road par ikka dukka hi gaardiyaan thien.

" ye Tum itnay yaqeen ke saath kesay keh saktay ho Mateen...? Ho sakta hai Haadi ki wahaan mojoodgi mehaz ek ittafaaq ho , aur wesay bhi tum ne to khud dekha tha na ke Aayat bhaabhi usay khud nazar andaaz kar rahien thien , phir tum aisa kesay keh saktay ho ke wo uskay saath thien...ya uska bachaao kar rahien thien...?" Zoyan ne ek baar phir usay samjhaanay ki koshish ki , lekin Haadi ko wahaan dekh kar Mateen apnay aapay se nikal gaya tha. Aur abhi tak usay sukoon haasil nahien ho raha tha.

Itnay saalon baad phir se wo is tarhaan bekhud huwa tha. Ke usay apnay gussay par kaabu paana taqreeban na mumkin lag raha tha.

Wo jo Aayat ki khushi ke liye usay khud se azaad karnay ka faislaa kar chuka tha. Ab bhi Aayat aur Haadi ko ek saath soch kar hi uskay jism main taish ki ek nayi kehar dor gayi thi.

" kyunkay ye wahi Haadi hai , paanchh saal pehlay jis ke liye Aayat ne meray pyar ko thukraaya tha. Aur aaj phir usi ke liye wo mujh se talaaq chaahti hai.." Mateen ke inkshaaf se Zoyan ki aakhain phati ki phati reh gayien thien. Usnay ek dum se car ko road ke ek taraf rok diya aur Mateen ki taraf mura.

" kya matlab hai tumhaara..? Ye Haadi...wahi hai jis se tum Dubai main milay thay..?" Zoyan ko Mateen ke is shadeed radd e amal ki wajaah ab samajh aana shuroo huwi thi.

" haan ye wahi Haadi hai..! Lekin tum isay kesay jaantay ho...?" Mateen ko bhi ab yaad aaya tha ke Zoyan Haadi ko pehlay se hi jaanta hai. Lekin kesay...?

Zoyan ab Mateen ki taraf jhijhaktay huway dekhnay laga. Usay samajh nahienn aa raha tha ke wo Mateen ko ye kesay bataaye ke us se pehlay Aayat ki shaadi jis shakhs se honay jaa rahi thi wo koyi aur nahien balkay yehi shakhs hai. Kyunkay itna to wo jaan gaya tha ke Mateen is khabar ko kis lehaaz se le ga.

" Wo darasal....ye Haadi...wahi hai jis se Aayat ki shaadi toot gayi thi. "

Ye suntay hi Mateen do lumhay usay dekhta raha , phir seedhaa ho kar khud ko seat par taik lagaanay ke andaaz se dheela chhor diya. Aur aankhain bund kar lien.

Zoyan ab bhi usay dekh uskay gussay ka doosra silsilsilaa shuroo honay ka intzaar karnay lagaa , lekin jub kitnay hi lumhon ke baad bhi Mateen usi tarhaan betha raha. Uski androoni haalat ki khabar ka andaaza sirf uski gehri aur rukti saanson se lagaaya jaa sakta tha.

Zoyan ko jub lagaa ke Mateen ab kuchh nahien kahay ga. Tab usnay bhi apna dhiyaan us se hataa kar car start kar di. Lekin usi waqt Mateen ki sard lehjay main doobi awaaz
aayi thi.

" shayad Aayat waaqayi kabhi meri thi hi nahien...itnay arsay se main sir ek suraab ke peechhay bhaag raha tha..."

************

Ghar pohanch kar Aayat ne khud ko kamray main bund kar diya tha. Zarish ne bohat koshish ki ke us se baat kar sakay , lekin Aayat ne us se koyi bhi behas karnay se saaf inkaar kar diya tha. Jis par Zarish ko maayoos hokar ghar waapas lotna para.

Aashir ka bhi uskay mobile par massage aa chuka tha ke wo aaj dair se ghar waapis lotay ga.

Zarish ke jaanay ke baad Aayat khamosh kamray main bed par oondhi leti Mateen ke kahay gaye ilzaamat main musalsal jal rahi thi.

Aaj phir Matewn ne uskay pyar ko kisi aur ka naam diya tha. Aaj phir usnay Aayat kamdil tor diya tha.

Takiye pe uski giraft itni mazboot thi ke uski wajaah se baeed na thi ke uskay naakhun ukhar kar nikal jaayain. Lekin jo dard wo apnay seenay main mehsoos kar rahi thi , uskay saamnay ye kuchh bhi nahien tha.

" tumhain muaaf bhi nahien kar sakti...lekin tumhain apnay dil se nikaal bhi nahien sakti...Ya Allah...!.. kya ho raha hai meray saath...mujhay himmat de..." Usnay aah bhartay huway sochaa tha.

Is haalat main usay na jaanay kitni dair guzar gayi. Aur kis waqt uski aankh lag gayi usay khud mehsoos nahien huwa.

Side main rakhaa mobile na jaanay kitni baar baj chuka tha. Jis ki wajaah se wo apni neend se bedaar huwi thi.

Pardon main mukammal andehra bataa raha tha ke suraj dhal chukaa hai , aur raat ka naa jaanay konsa pehar hai. Onghtay huway wo seedhi huwi thi. Mobile ek baar phir bajna shuroo huwa tha. Lekin wo apnay andar itni taaqat bhi mehsoos nahien kar paa rahi thi ke check kar sakay ke kon usay musalsal raabta karnay ki koshish kar raha hai. Aur naa hi uska dil tha kisi se baat karnay ka.

Mobile kayi dafaa bajnay ke baad dobaara khamosh ho gaya tha. Aur kamra dobaara se sannaata phail gaya tha. Lekin kamray ki sukoonat us waqt tooti jub darwaazay pe dastak huwi thi.

" Aayat!..." Doosri taraf se Aashir ki awaaz aayi thi. na chaahtay huway bhi usay jawaab dena para. Jis ke baad Aashir darwaaza khol kar andar daakhil huwa. Aur light on karkay bed ki taraf mura.

" Bhaai aap kab aaye. " dupatta pehantaynhuway wo uth bethi thi.

rookhi awaaz par Aashir ko uski na saaz tabiat ka andeshaa huwa.

" main kuchh dair pehlay aaya hoon , tumhain living area main nahien dekha , is liye yahaan aa gaya. Tumhaari tabiat to sahi hai...? " phir jub uski nazar Aayat ki surkh aur sooji aankhon par pari to wo uskay liye fikar mand ho gaya. "Aayat kya baat hai...Tum ro kyun rahi thien..?"

Aayat ne dil hi dil main apni laa parwaahi pe khud ko kostay huway hont kaata , lekin apnay chehray par Aashir ki bagor dekhti nazron ko mehsoos kartay hi wo ek gehri saans letay huway boli.

" main theek hoon bhaai...darasal aaj subhaa kamra saaf kar rahi thi , is liye dust ki wajaah se allergy ho gayi hai.aur grocery shopping ke baad aakay so gayi." Usnay halki muskraahat ke saath kuchh sach aur kuchh jhoot ka sahaara liya.

Uskay itnay qaabil e qabool jhoot ke baawajood Aashir usay usi mutafakkir nazron se dekhta raha jesay wo uskay jhoot se bakhoobi waaqif ho.

" aap ne khaana khaaya..? Main abhi khaana lagaa deti hoon.." Aashir ka dhiyaan khud se hataanay ke liye usnay topic badal diya.

" Nahien...main khaana khaa kar aaya hoon , tum ne khayaa..?"

Aayat ke asbaat main sar hilaanay par wo phir bola. "Theek hai tum aaraam karo main apnay room main jaa raha hoon , mujhay ek zaroori call karni hai , aur Ammi se baat kar lena tumhaara bohat poochh rahien thien wo.". Aashir ke baal sehlaatay huway wo uthaa aur kamray se nikal gaya.

Aashir ke darwaaza bund karnay ki awaaz ke baad hi uski surkh aankhon se ek aur aansoo toot kar gira tha.

Shaayd ye aansoo hi uskay humsafar thay , jo uski aakhri saans tak uska saath nibhaayain ge. Bedardi se apnay aansoo ponchhtay huway wo uthi aur bathroom main chali gayi taakay isha ki namaaz ke liye wazoo kar sakay.

Aaj usay apnay Rab se bohat kuchh kehna tha. Sirf wahi tha jis se wo apnay dil ki har baat , har takleef baant kar apnay bikhray wajood ke tukray samaitnay ki koshish karti thi. Kyunkay wo jaanti thi ke sirf wahi usay samjh sakta hai. Jis se uska koyi raaz posheeda nahien tha.

**

Aashir apnay kamray main daakhil huwa aur bed par beth gaya.

Wo bakhubi waaqif tha ke Aayat allergy ke baaray main jhoot bol rahi thi. Lekin is ke ba wajood wo us waqt usay wo usay kuchh keh nahien paaya. Wo jaanta tha ke agar wo us se kuchh bhi kehta to wo apnay bhaai ke saamnay bikhar jaati.

lekin phir apnay bhaai ko apnay liye pareshaan dekh Aayat mazeed takleef mehsoos karti. Is liye Aashir ne uskay zakham kuraidnay ke bajaaye usay khud ko sambhaalnay ka waqt de diya.

Wo bathroom jaanay ke liye uthaa hi tha ke uska mobile bajnay lagaa.

Aashir ne side table se mobile uthaa kar screen par dekhaa jis ki screen par Haadi Malik ka naam jagmagaa raha tha.

Aashir ne be yaqeeni aur gussay se uskay naam ko dekha , aur bina kuchh sochay gussay se call cut karkay mobile bed par phaink diya aur baathroom main chalaa gaya.

*****************

Salaam

Nahien abhi End nahien huwa , abhi is chap ka ek aur part baaqi hai , jo main jald update karoongi. Jis ke baad shayad Epilogue bhi ho, agar aap chaainge to.

To kesa lagaa aj ka chap.

Is chap main aur is ke baad ke chap main agar aap is book ka review dengay to mujhay khushi hogi. :)

Continue Reading

You'll Also Like

658K 15K 26
بقلم / الشيماء محمد ( شيموووو)
125K 7.1K 46
A journey of Two people who were broken. Ahil Raza & Hoorain Ahmad Kabhi kabhi humara guzra hua kal humare ane wale kal ko bhi khaa jata he. Hume...
58.8K 1.6K 41
وهل بضع كلمات ستصف حبي لكِ ؟! وهل لهفتي لسماع صوتكِ سيكفي؟! وهل خافقي الذي يشن الحروب لرؤياك سيكون دليل محبتي؟! القاسي احبكِ فتحملي جحيم قسوته..
158K 10.2K 80
Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal...