Meri Chahat

By irtazaabbasshah

221K 10.8K 11.5K

love story of Aliyan(mr rude & sarial bhoot) and Aleezay(miss sweet & churail) More

First Meeting
Sheeza's engagement news
Day out with friends
Sheeza's Engagement
Wedding News
Love Triangle
Ali and Abeeha
Fight
Wants to see her
Fight with a Kid
Resolving the issue
Mehndi Part(i)
Mehndi Part(ii)
Mehndi Special
Memories
Baraat
First Day in new home
Walima
Heart vs Mind
Our Engagement
Decided to Forget
Whose that Jan
A different Aliyan
New Couples
New Journey of Life
He loves Her
Some More Reasons of Happiness
Muhabbat(Love)
Some secrets revealed
He's Going (To London)
Angry Aleezay& Aunt Anna
Every Thing Is Settled Now
Shahmir
Aliyan's Story
New Entries
Mr &Mrs(R)
Aliya Aliyan
Mr & Mrs R's Engagement
Mr & Mrs R's Wedding
Mr & Mrs R's Walima
Aleezay's Dream 😂
Shahmir's Birthday
Aliyan's Decision
Pizza Party
Dr Arham Ayyan Akbar
Time Lapse
La Familia (the family) 🥰🥰
Surprise
Let's See Who Wins
Angry Shahmir
Angry Shahmir
Love Is In The Air 🥰🥰🥰❤️❤️❤️
Miss Masoom
Zubiya's Mehndi
Ramzan Mubarak
Mr & Mrs Shahmir
Vote For
Bataiye
Shahveer's Meeting 😂
Can't Think About Her Like That 😍
Eid Special(1)
Eid Special (2)
Never Ending Problems
London Version
Mixed Up
Aliya's Birthday
Kabeer's Side
Game
My First Ever Interview
Back To Home
Do you want this?😂
Angry Shahveer
Happy Eid
Happy Independence Day
Twist
It's A Late Episode 😂😂
For Shahmir😂😂😂😂
Quick Update
Secret 🤔🤔😉😉
Emotions ☺️😢😍😂🤣🔥💕🤫🤔
Shahveer ka SHAN
Shahveer Akbar 😭😭😭
Meetings
😂😂
The Wedding Starts Now 🥰👍
😉
Mehndi Part(i)
Mehndi part(ii)
Shahmir's Baraat
Celebration 🥳🥳
Good Morning
🥳
Walima
Lovey Dovey 😍😍
Meer Shadi (Part 1)
Meer Ki Shadi Part 2
Happy Women's Day
Rules🙈
Meer's Walima
Becharian
Let's Play
Shahveer's Situation
Trip 😍
🤨
Hmm? 🤔
Decisions
Writer Shahveer Akbar
🙏🏻
Aliya's Nikah
Song
Blessed Month
Heart Break 💔
A Truth Reveal
😂
Australia
Eid Mubarak
Truth Revealed 2
Confused
Ahmad's Engagement
Saas Bahu
💞Triangle💞
Shopping
Guests
Some things changed
Qurbani
Wasiyat
Happy Independence Day
Isha's Nikah
Ashura Day
Not resolved
Meet Up
Be safe
Hardships
Follow Account
A new way
Second Work on Wattpad
Welcome
Nisha
shaadi 😊
Happy Birthday 🎂
Broken Pieces
Separation
Connection pt 1
let's pawri 😎🥳
connection part2
Surprises/shock
EID
Mr & Mrs Akbar
Gallery
Bilkul
JAWAB
🤭🤭
😔
شکوہ جواب شکوہ
🤭🤭
I hold your hand
😔
😑
adat
لڑائی
مشورہ
Eid Mubarak ☺
Imtehan
Masoomiat
some times in life
🧏‍♀️
😑
😪
PRESENTATION
😊😊
🤗
what do you think?
Red Riding Hood
2nd Last (1)
2nd Last(2)
THE LAST ONE
vote 🗳
💔
Let's Continue
Company is Closed
Fixed 🥰🥰
12 o Clock
Nikah e Shahveer
Cards ❤
MAYON
Let's Start The Wedding 💒
Shahveer's Mehndi
Baraat(1)
Baraat part(ii)
Baraat part(iii)
NIGHT OF SECRETS
Fire 🔥🔥🔥
Walima Couples
Sorry & Thankyou 😊😊
Welcome 🥳🥳

Nikah

13.3K 182 15
By irtazaabbasshah

"Sheeza kia chahti ho tum q nahi baat man leti apnay parents ki"
Aleezay ne khirki se bahir dekhtay hue jhunjala kr kaha

"Sorry, mae mama papa ki ye baat bilkul bhi nahi man sakti"
Sheeza ne bed pr bethtay hue tasali se kaha

"Q kia problem hai kabeer main"
Aleezay ne uski taraf rukh mortay huay pucha tha

"Koi ek ho to batau na"
Sheeza ne tv on krtay hue laparwahi se kaha.....aleezay usay daikhti reh gae

Aleezay ko sheeza ki mama ne phone kr k apnay ghar bulwaya tha masla hi kuch esa tha.....sheeza apnay parents ki baat man nhi rhi thi wo jantay thay sheezay ko un k ilawa aleezay hi razi kr sakti hai

"Dkho sheeza q apnay parents ko pareshan kr rhi ho,unki baat man lo unho ne hamesha tmhay support kia hai tmhari har wish puri ki hai ab tmhay b return unko acha dena chahiye unki baat man kr"
Aleezay ne bed pr sheeza k pas bethtay hue usay samjhaya tha

"Aleezay i know mama papa ne kabhi mjhay kisi cheez k liye mana nhi kia
Pr ye meri zindagi ka mamla hai mae apni puri zindagi kisi esay larkay k sath kesay guzar du jisko mae thk se janti tak nhi"
Sheeza bed se uth kr khirki k pas ja khari hui,
aleezay uski baat pr sir hilati reh gae

Aj islamabad ka mosam kafi acha tha badil or suraj ki bhi ankh macholi jari thi kuch dair pehlay ki  baarish se sb nikhra nikhra lag rha tha

"Wo tmhari phupho ka beta hai tm usko kesay nhi janti"
Aleezay bhi us k pas aa kr khari ho gae

"Bachpan mae dkha tha usko phr phupho wagera abroad shift ho gaye thay ab wo log wahan se apna business windup kr k karachi shift ho gaye hain"

"Chalo ye to achi baat hai na warna tmhay abroad jana parta rukhsat ho kr"
Aleezay ne hansi dabatay hue kaha tha
Sheeza ne uski shararat samjh kr us k kandhay pr muka mara

"Badtameez mjhay yahan tension ho rhi hai or tu mazak kr rhi hai"

"Acha sorry pr masla kia hai us mae "

"Kharus hai ek number ka,sarial, bachpan mae mujhay bht marta tha,shararat khud krta tha aur nam mera ata tha uski waja se bht mar khai hai bachpan mae mai ne mama se"
Sheeza ne ronay wala mu bnaya jab k aleezay mu neechay kr k hans di

"Tmhay hasi aa rhi hai"
Sheeza aleezay ko dkh kr ghussay se chilai
Aleezay ne hath kharay kr diye

"Nhi.. nhi..sorry"

"Tm janti ho bachpan se hi meray andar badlay ki aag bharak rhi hai or ab mujhay moka mila hai us se badla lenay ka... Is rishtay se inkar kr k "
Sheeza ne chehray pr hasi latay hue kha,or aleezay ki ankhain herat se phail gae

"Tmhara dimagh to thk hai, tm janti b ho kia keh rhi ho"
Aleezay ne heran hotay hue us se pucha

"Bht achay se janti hun mai kia keh rhi hu"
Sheeza ne aram se bed pr girtay hue kaha
Aleezay bhi us k pas aa kr baith gae tabhi darwaza knock hua

"Yes" sheeza chilai thi

mulazma darwaza khol kr andar dakhil hui or chaye or lawazmat se bhari tray un k samnay rkh kr chali gae sheeza ne uth kr apnay or aleezay k liye chaye tyar ki
Phr cup aleezay ki traf barhaya or khud bhi chaye peenay lagi

"Dkho sheeza wo sb bachpan tha or bachpan mae to sb k sath esa hota hai shararti hotay hain sb pr ab tm bari ho gae ho.......u'r a mature girl now.......is trha ki fazul baton ko mat socho or han krdo apnay parents ki khushi ki khatir "
Aleezay ne usay samjhanay ki koshish ki thi

"Esay hi han krdu na jan na pehchan"

"tm is rishtay k liye han bol do... Jan pehchan k liye bhi kafi waqt mil jaye ga..Aur.. Jahan tak rhi badlay ki baat wo to tm shadi k baad b le sakti ho.... "
Aleezay ne sharart se abru achkatay hue kaha
Sheeza uski baat kuch had tak samjh gae thi

"Hmm.... Idea bura nhi.. " Sheeza ne sochtay hue kaha or aleezay ne sakoon ka sans lia

"Tm ne abhi tak bas nam hi btaya hai Mr ka photo b to dikhao kesa hai dikhnay mae,photo hai bhi tmharay pas k nhi?"
Aleezay ne chaye ka cup rkhtay hue pucha

"Photo to hai pr mae ghussa itna thi k khud bhi nhi dkhi, jesay mili wesay hi cupboard mae phenk di"
Sheeza ne laprwahi se kaha

"Dkh k faida bhhi kia hoga wesa hi jesa bachpan mae tha
Tail lagay baal,ankho mae surma or baray baray glasses.... "
Sheeza ne almari kholtay hue kaha
Aur almari khultay hi koi cheez us k peron k pas giri us ne dkha to wohi photo ultay rukh pari hui thi
Sheeza ne utha kr dkhna chahi to aleezay ne us k hath se cheen li

"Aleezay...." sheeza ne usay ghoora tha

"Sorry yar bhai ka msg aa gaya hai is liye pehlay mae dkh lu"
Aleezay ne photo sidhi kr k dkhi to uski ankhain phail gae
Aur zaban talu se chipak gae

Sheeza ne uski taraf dekhta aur muskurai

"Dkha kaha tha na wesa hi hoga,hogai na bolti band dkh k"
Sheeza ne us k hth se photo cheeni to aleezay ka sakta toota
Tab tak sheeza khud saktay mae thi photo dkh kr
Phr dono ek dusre ko herani se dkhnay lagi k achanak horn ki awaz i or aleezay usko bye kehti bhag gae jab k sheeza wohi shocked khari reh gae

****************

"Good morning mr arsal ibrahim"
Office mae dakhil ho kr muskuratay hue sakib ahmad ne kaha
Arsal ne sir utha kr dkha or samnay kharay shakhs ko daikhtay hi unki ankho main nagwari aa gae
Apnay chehray k tasurat ko normal krtay hue unko baithnay k liye kaha

"Aur sunaiye mr ahmad kesay ana hua yahan?"

Arsal ne intercom pr coffee ka order de

"Bs socha k ap se apka faisla jan liye jaye"
Sakib ahmad muskuraye or arsal ko andaza ho chuka tha k wo kis baray mae baat kr rhay hain

"Main samjha nhi"
Arsal baat ko talna chahtay thay

"Ap bohat achi trhan se smjh gaye hain,chalain phr bhi bata deta hun... Shazil k proposal ka jawab lenay aya tha main"

Arsal kuch dair unko daikhtay rhay phr chair k sath taik lagatay hue paper wait ghumanay lagay,

"Mera jawab ab bhi wohi hai jo tb tha"

"Kia mae ap k inkar ki waja jan sakta hun?"

Saqib ahmad ne muskuratay hue pucha q k inko arsal ka jawab maloom tha

"Aleezay ka rishta teh ho chuka hai or bohat jald uski rukhsati hai,mae last time apko btana chahta tha pr jaldi mae honay ki waja se mae thk se baat nhi kr paya tha"

Saqib ahmad ko yad aya last time bhi ek business party mae unho ne arsal se baat ki thi tab bhi unho ne suntay hi inkar kr dia tha or apni meeting ka keh kr chalay gaye thay,saqib ahmad ek business man thay or political parties se bhi unka taluk tha,aksar business parties mae un se milna ho jata tha,wo arsal k sath business partner banna chahtay thay lekin amir k mana krnay pr wo smjh gaye thay,phr saqib ahmad ne apnay betay k liye alizay ka hath manga tha or arsal ne tab bhi inkar kr dia, amir saqib ahmad ko bohat pehlay se jantay thay or unho ne arsal ko un k baray mae sb bata dia tha,wo jantay thay k saqib ahmad un se badla zaroor lein gay is liye unho ne aleezay ki shadi krnay ka faisla kr lia tha

"Acha... Pehlay to kabhi ye baat nhi suni?"
Saqib ahmad ne tanzia kaha

"Pehlay kabhi humari esay mozu pr detail mae baat bhi nhi hui or mae apni personal or professional life ko hamesha se alag rkhta aya hun.."
Peon coffee de k ja chuka tha

"Please.."
Arsal ne coffee ki traf ishara kia
Unho ne coffee ka sip lia,phr kuch dair baithnay k baad kharay ho gaye

"Aray kuch dair or baithiye..thori gupshup ho jaye"
Arsal ne unko ko baithnay ka kaha

"Nahi kafi time ho gaya ab mae chalta hun"
Saqib ahmad ne un se hath milaya or office se bahir nikal gaye

"You have to pay for it"
Office se bhir aa kr saqib ahmad ne kaha tha
Arsal un k janay k baad kafi pareshan ho gaye thay,phr wo phone milanay lagay

*****************

"Hello mama "
Alizay ne tv lounge mae qadam rkhtay hi unchi awaz mae kaha Or sofay pr girnay k andaz mae baith gae
Nafees or qeemti furniture se saja tv lounge,samnay deewar pr led screen thi
Tv k samnay brown leather ka sofa set or centre table tha ek corner mae kitchen tha jis se kuch faslay pr ek bedroom tha,do bedroom lounge ki dusri traf thay,poora ghar kafi bara or khubsurati se set kia gaya tha
Kitchen se alina uski awaz suntay hi bahir aa gaein
Black purple contrast ka lawn ka suit pehnay sir pr dupatta liye
Nazuk si jewellery pehnay wo kahin se bhi bari umar ki nhi lagti thi jo bhi unko daikhta tha aleezay ki bari behan kehta tha

"Wa alikum assalam aleezay"
Unho ne ghussay se ghurtay hue aleezay ko kaha to aleezay ne danto k neechay zaban daba li

"Oh ... Sorry,sorry mama, asalam o alikum"
Aleezay ne un k galay lagtay hue kaha

"Kia krti rehti hain ap sara din kitchen mae?"
Aleezay or wo sofay pr baith gain

"Bohat kuch krti hun,  or madam agar apko bhi fursat milay apnay ghoomnay phirnay se to us traf b ajaya kariye,ziada door nhi hai hmara kitchen bilkul ap k kamray k sath hi hai.."
Alina ne hamesha dohraye janay walay jumlon ko phr se dohraya
lekin muqabil pr asar kahan tha

"Aray mama ap bhi kisko seekhnay ka keh rhi hain ye moto sirf khana janti hai,
Khana pakanay se is kom ka koi taluq nhi"
Ahmer ne lounge mae dakhil hotay hue kaha
Army cut baal,safaid rangat,bari black ankhain,arsal jesay nakoosh,or mizaj mae unse bilkul mukhtalif
Black three piece mae wo kafi handsome lag rha tha,wo aleezay k pas hi baith gaya

"Ahmer bhai"
Aleezay ghussay se chilai

"Aray aram se kia kan k parday pharo gi?"
Ahmer ne kano pr hath rkhtay kaha

"Aleezay,kun chila rhi ho?"
Aleena ne aleezay ko danta,aleezay naraz ho gae

"Mama ap hr br mujhay hi dantti hain,bhai ko kuch nhi kehti"

"Q k mama mujh se ziada pyar krti hain"
Ahmer ne aleezay ko chera jis pr wo or tap gae

"Dekhain mama bhai hr br mujhay is trhan keh kr chehrtay hain"
Aleezay ne jal kr kaha

"Ahmer,mat chera kro apni behan ko"
Aleena ne ahmer ko ghura

"Sorry mama.... Or sorry moto"
Ahmer ne kan pakar kr dono ki traf daikhtay hue kaha
Moto lafz pr aleezay ka mu phr se ban gaya

"Acha lunch hamaray sath kro gay?"
Alina ne ahmer se pucha

"Zaroor krta pr rastay mae papa ka msg aa gaya unho ne akbar palace bulaya hai,lunch aj amir uncle k sath kray gay"

"Akbar palace,khairiat to hai?bhai sahab ki tabiat thk hai?"
Aleena arsal k udhar janay ka sun kr kuch pareshan hui thi,wo kafi dino se note kr rhi thi k arsal kuch pareshan hai lekin wo tal jatay or ab unka waha jana

"Sab thk hain bas papa uncle se kafi dino se milay nahi thay is liye aj udhar ka program ban gaya"
Ahmer ne aleena ko btaya to wo kuch pur sakoon ho gaein

"Mama kia paka hai bht bhook lagi hai"
Aleezay ne masoom si shakal bana k pucha

"Karelay"

"What?" Aleezay chilai or ahmer se hansi rokna mushkil ho gaya or wo janay k liye khara ho gaya aleena kitchen mae aleezay k liye khana lenay chali gae thi

"aj bohat dant nikal rhay hain,kia bhabhi ne aj ap k msg ka reply kr dia?"
Ahmer jatay hue wapis palat aya

"Uski itni majal k meray msg ka reply na kray?"

"Oho,baray shair ban rhay hain,bhabhi k samnay bolti band ho jati hai"

"Tm ne kia bhabhi bhabhi lagaya hua hai abhi bs engagement hui hai shadi nahi,abhi mae azad hu jo chahay karu"

"Sun liye sara bhabhi ap ne apne fiancé k khayalat"
Aleezay ne phone kan se lagatay hue kaha wo sara ko chup k se call mila chuki thi or ahmer ki ankhain aleezay ki shararat pr phail gae,us ne foran se phone cheena

"Hello sara,daikho esi koi baat nhi mae to is liye aleezay ko mana kr rha tha k bhabhi word ziada suit nhi kr rha,or wesay bhi tm dono age fellow ho"
Ahmer ne sara ko wazahat di,or aleezay ko ghussay se ghura

"Ap na.... Baat hi mat karain mujh se"
Sara ki awaz phone mae ubhri or sath hi phone kat dia
Ab dant nikalnay ki bari Aleezay ki thi

"Moto.... Daikhna tmharay hissay ki sari chocolates sara ko de k aau ga"

"Khabardar,chocolates k mamlay mae koi hair phair ki ho to"aleeza ne rob jhara
Tabhi ahmer ka phone ring kia or arsal ka nam parhtay hi usko yad aya k wo uska wait kr rhay hon gay

"Hello papa,g...g..... Hanji bas aa rha hun... Wo... Wo aleezay ki waja se dair ho gae usko uski freind k ghar se lenay gaya tha,sorry bas aa rha hun"
Ahmer ne phone band kia

"Moto tmhari waja se meri hr phone pr izzat ho rhi hai,ab to pakki gae chocolates"

"Phr ap k liye jo naya three piece lia hai mae ne wo bhi gaya"aleezay unchi se boli
Ahmer gari mae baith gaya tha

***************

"Aj bohat dino k baad aye ho wo bhi khali hath?"
Amir ne arsal ko daikhtay hue kaha,jis pr arsal hans diye

Wo akbar palace aye thay,ye palace amir ne apni pasand se banwaya tha,jiski takreeban hr cheez white or royal blue contrast ki thi or ye contrast aliyan ka favourite tha,usko ye do rang bohat pasand thay

"Tum nahi sudhro gay"
Arsal ne kaha

"Assalam o alikum uncle"dark blue frock pehnay,balon ko pony mae bandhay,saaf rangat or teekhay nakoosh wali sara drawing room mae dakhil hui or us k sat hi safina bhi waha aa gae,dark green suit mae malboos,sara k naksh un se kafi miltay thay
Mulazim un k liye abhi juice rakh kr gaya tha

"Assalam o alikum bhai sahab"
Arsal un k atay hi kharay ho gaye,salam ka jawab dia or sara k sir pr pyar dia

"Aleena or aleezay nhi i?"
Safina ne bethtay sawal kia,sara bhi pas hi baith gae

"Sorry mae office se sidha aa gaya,next time unko b sath le aau ga,han ahmer aa rha hai"
Arsal k batanay pr sara ka dil dharka tha,ahmer k waha anay ka usko maloom nhi tha

"Mama mae ati hu"
Sara excuse kr k waha se chali gae,kuch dair baad safina bhi waha se chali gae thi

Kuch dair khamoshi rahi jisay amir ne tora tha

"Arsal koi pareshani hai kia?tm ne phone pr bhi kuch nhi btaya"

Amir or arsal bachpan k dost thay,ek sath parhai ki phr business partners ban gaye,dono ek dusray ko bohat achay se jantay thay,apni har pareshani share kartay thay

"Hmmm..."
Arsal ne sofa se taik lagatay hue kaha
Amir sofa par sidhay ho kr baith gaye

"Kia baat hai, business ka koi masla hai"

"Nhi nhi,bs ek personal problem hai"
Arsal k chehray pr pareshani daikh kr amir bhi pareshan hue thay

"Kia baat hai,batao?"

"Mujhay samajh nhi aa raha k ye baat kesay kahu,yaqeen kro agar meray bas mae hota to kabhi tm se ye request na krta"

"Arsal itni tamheed q bandh rahay ho,kia mae ne tmhari koi baat kabhi tali hai?"

"Amir mae chahta hun k aliyan or aleezay ka nikah kr dia jaye"
Arsal ne sir jhuka kr apni baat kahi,is baat ko kehnay k liye jitni himmat unho ne ki thi wo hi jantay thay ya unka Khuda,unhay bhi aliyan ahmer hi ki trhan azeez tha,wo us ko apni waja se kisi problem mae nhi dhakalina chahtay thay lekin majbur thay
Arsal ki ye baat drawing room mae dakhil hotay ahmer ne bhi sunni thi,amir or ahmer arsal ki is baat pr shocked thay

"Papa"

"Arsal"
Ahmer or amir dono shocked se arsal ko daikh rhay thay

"I m sorry,mae janta hu ye baat tm dono k liye shocking hai lekin mae majbur hu"

"Kesi majburi papa?"
Ahmer ne arsal k pas baithtay hue kaha

"Amir tum saqib ahmad ko jantay ho gay"
Arsal ne amir ki traf daikha jin k chehray pr pareshani thi

"Han janta hu,usko kesay bhul sakta hun mae"

"Last time meeting mae usne apnay betay ka proposal aleezay k liye dia tha,tab to baat thk se ho nahi pai thi,aj wo meray office aya tha us proposal k baray mae jannay k liye"

"Tumhay foran inkar kr dena chahiye tha"
Amir ne kaha to arsal ne unko office mae honay wali sari baat batai,ahmer khamosh betha unki baat pr ghor kr rha tha

"mae janta hu mae ne jaldbazi ki hai lekin us admi se bachnay k liye mujhay ye kehna para,tm to jantay ho amir k wo bohat khatarnak admi hai us se apnay mamlaat bigarna bhi bewaqoofi hai"

"Mae samjh sakta hu tmhari problem,wo kitna khatarnak admi hai mae ye bhi janta hu,lekin aliyan...." wo kehtay kehtay ruk gaye

"Mae janta hu,us k liye bohat mushkil hai apnay past se bahir ana,mae bohat majbur hun amir apni beti ko un logo se bachanay ka meray ps ek yehi rasta hai,tm mujhay selfish samjh saktay ho,lekin aliyan par mujhay bohat bharosa hai wo ek samajhdar larka hai, mamlat ko bohat achay se handle kr sakta hai"arsal k lehjay mae pareshani,bebasi sab tha,amir ne un k hath pr hath rakh kr unko tasali di

"Tum fikar na kro sb theek ho jaye ga"amir ki baat sun kr arsal k chehray ki pareshani kuch kam hui thi,lekin wo nhi jantay thay k amir usko kesay razi kray gay

***************

"Ji mr.khan ab is deal ko hum sign nhi kr saktay,us company ki jo reputation hai us waja se humay ye deal kafi nuksan de sakti hai,ji...ji...ok..thanks"

Us ne phone band kia,apni eye glasses utar kr table pr rkhi or seat se taik laga kr ankhain band kr li,tabhi ali us k cabin mae dakhil hua or usko sotay daikh k hans dia

Wo bht hi wajeeh personality ka malik tha
Royal blue colour k three piece mae malbus,black baal ek style se pichay ko set kiye,teekhay nakoosh chehray pr sanjeedgi sotay hue bhi thi

"O hello" kisi k jhinjhornay pr us ne bamushkil apni ankhain kholi,phr samnay kharay shakhs ko daikh kr chehray pr ghussa dar aya

"Ali.....Ye kia tarika hai uthanay ka?"wo ghussay se bola,jab k ali us k samnay kursi pr baith gaya

"To or kesay uthata,janu"ali ne usko chera,ali uska uni fellow tha,handsome,shararti,khush mizaj,uski shararti adaton ki badolat hi dono ki friendship abhi tak barqarar thi,wo jitna khush mizaj tha aliyan utna hi sanjeeda tha,aliyan bohat kam logo se dosti krta tha,family,friends or business uski priorities mae shamil thi,in k baad hi us k liye koi ata tha

"Shut up esay fazul lafz na bola kr"ali hans dia,wo aksar esay hi naye naye alqabat se aliyan ko nawazta tha

"Or btao kesay ana hua?"

"Phone ki waja se" ali ne usko ghor se daikhtay hue kaha

"What?Kia matlab phone ki waja se?"aliyan uski baat samajh nhi paya tha

"Tmharay dad ka phone aya tha,wo tumhay kab se call kr rhay thay pr tum phone nhi utha rhay thay to unho ne mujhay kaha k pata karu tum kahan bzy ho,mae pas hi cafe aya hua tha is liye tmharay office aa gaya,yahan akar pata chala k janab aram farma rhay thay or hamesha ki trahn phone silent pr tha"

Ali ne jaldi jaldi sari baat batai,aliyan ne foran apna cell check kia us pr 20 missed calls aa rhi thi ,us ne sar pr hath rakha,

"Baba ne chorna nhi mujhay"

"Acha hai na teri is adat se jan chutay gi" ali ne us k phone silent pr laganay wali adat pr tanz kia,aliyan phone mila rha tha

"Hello,asalam o alikum baba,kesay hain ap?"
Aliyan k chehray k tasurat bata rhay thay k uski class shuru ho gae hai

"Sorry,sorry" wo muskuraya

"Ji bas abhi aa rha hun,ali..."aliyan ne eyebrow utha kr usko daikha

"Ji usko bhi sath la rha hun,ok Allah Hafiz"

"Chaliye mr ali apka bhi bulawa sath aya hai,lagta hai humari weekend pr honay wali secret party ka baba ko pata chal gaya hai" wo dono hans diye phr wo dono office se bahir chalay gaye

****************

"Assalam o Alikum"
Us ne drawing room mae akar kaha,ali bhi us k sath hi waha aya tha,ahmer or arsal usko daikh kar kharay ho gaye or un dono se milay,aliyan amir k sath baith gaya,kuch dair sb khamosh rahay

"Aliyan mujhay tumhay ek zaroori baat batani hai"
Amir ne usko daikhtay hue kaha

"Ji baba" wo kuch confuse hua tha,arsal or ahmer ka ana or amir ka istrahn baat krna usko kuch garbar lagi thi

"Aj tumhara nikah hai aleezay k sath"amir ki baat pr aliyan shishdar reh gaya,ali bhi unki baat par chonk gaya tha,phr arsal or ahmer ki traf daikha,wo bhi herat se amir ko daikh rhay thay
Aliyan ne ali ko daikha wo bhi heran sa usko hi daikh rha tha,koi bhi amir se ye expect nhi kr rha tha k wo itni jaldi faisla le le gay

"Baba" aliyan bas itna hi bol paya

"This is my decision aliyan,kia tumhay koi aitraz hai?"amir ne sakht lehjay mae kaha,wo jantay thay aliyan unki baat kabhi nhi talta,wo esa krna nhi chahtay thay pr apnay dost ko bhi pareshan nhi daikh saktay thay,yehi to dosti nibhanay ka waqt tha
Sab aliyan ko daikh rhay thay or us k faislay ka intezar kr rhay thay

"Thk hai mae tyar hun"aliyan ne narazgi se kaha or wahan se chala gaya,ali bhi us k pichay janay laga tha lekin amir ne usko rok dia,wo usko kuch waqt dena chahtay thay ta k uska mood thk ho sakay

Kuch dair mae hi ghar mae shor sa mach gaya
Amir ne safina or sara k samnay ye sara mamla rkha,safina samjh sakti thi k aliyan is wakt kitna dukhi hai ,koi bhi us k pas nhi gaya tha wo us ko akelay reh kr sochnay ka time derhay thay,sara is faislay se bohat khush hui thi,khush to safina bhi thi k unka beta pichli yadon se isi trha bahir aa sakay ga or aleezay to unko wesay hi bohat pasand thi

*****************

Aliyan ne room mae akar ghussay se tie noch kr phenki,coat bhi phenk dia,or bed pr lait gaya,apni eye glasses utar kr side pr rkh di

Wo kisi se bhi ye expect nhi kr rha tha,arsal or amir wo to sb jantay thay phr bhi unho ne ye baat kesay kr di,ghussay or zabt se uska chehra lal ho rha tha,us ne uth kr kamray mae tehlna shuru kr dia,uski samajh mae nhi aa rha tha kia karay,wo razi to ho gaya tha lekin ye sb us k liye bohat mushkil tha,us ne dressing table pr paray saray decoration pieces ko tor dala tha

"Kia musibat hai"wo bed pr baith gaya

"Baba or arsal uncle ko to sab pata hai,phr bhi wo kesay esa faisla kar saktay hain"

"Nhi choru ga us aleezay ko,bohat shok hai na mujh se shadi krnay ka sab shok puray krdu ga us k"us ne kurh k socha,phr tyar honay chala gaya,is waqt wo khud ko bht bebas mehsus kr rha tha

**************

Ahmer or arsal ghar ja chukay thay,arsal ne ahmer ko tamam intazamat krnay bhej dia tha,Arsal ne gahr aa kar sab se pehlay aleena ko sara mamla samjhaya

"Arsal itni jaldbazi ki kia zaroorat thi kuch dair aliyan ko sochnay ka moka to detay or aleezay usko to maloom bhi nahi hai k us k sath kia honay wala hai"

"Ye jaldbazi nhi hai,zindagi ka kia bharosa,mae chahta hun aleezay k farz se sabukdosh ho jaun"
Aleena arsal ki baat pr dar gae,un ka dil zor se dharka

"Kuch soch samajh k bola kijiye arsal,kesi baatein kr rhay hain"
Arsal muskuraye

"Kia ghalat kaha?"
Aleena ne jawab nhi dia or almari mae unka coat hang karnay lagi,arsal bed pr baithay chaye p rahay thay

"Ok baba sorry nahi baat krta is trhan"
Un k sorry bolnay pr aleena hans di

"Ab tum jakar aleezay ko sab samjha do"

"Meri to kuch samajh mae nhi aa rha us se kesay baat kru"
Aleena bed pr baith gae

"Kabhi to ye baat krni hi thi na,samjho wo wakt aj aa gaya hai"
Aleena kamray se chali gae or arsal ahmer se phone pr baat krnay lagay

*****************

"Aleezay" kamray mae dakhil ho kr aleena ne aleezay ko awaz di
Wo dressing room mae thi,aleena ki awaz sun kr bahir aa gae

"Ji mama"

"Kuch kr rahi thi?"

"Ji wo us din sheeza k sath kuch shopping kr k i thi wohi cupboard mae set kr rhi thi"

"Acha idhar aao yahan betho"

"Ji mama koi kam hai kia"

"Nahi mujhay tum se kuch important baat krni hai"

"Kia baat hai mama?" Wo kuch garbarai thi

Aleena ne apni ikloti pyari beti ki traf daikha,jis ki bari kali ankhein us k papa jesi thi,usko wo boht pyar krtay thay,bari manaton k baad unho ne aleezay ko paya tha,uski koi khuwahish rad nhi ki thi kabhi ahmer se ziada pyar usko kia tha,or ab us k liye hi itna bara qadam b utha rhay thay,
aleezay k bachpanay ko daikh kr aleena aksar sochti thi k wo shadi k baad kia kray gi, abhi aleezay itni mature nhi thi k in mamlat ko handle kr sakay

aliyan k past k baray mae alizay nhi janti thi,na hi dono ki koi khas baat kabhi hui thi......sab ne usay kuch na btanay ka faisla kiya tha.....ye ghalat to tha par zaroori tha

"Mama ap ro q rhi hain" wo un k chehray pe behtay ansu daikh k pareshan hui thi

"Nhi beta kuch nahi, ye to bas esay hi"
Aleena ne ansu saaf kartay huay kaha

"Mujhay tm se bohat zaroori baat krni hai dhyan se baat sunna meri" unho ne uska hath thantay huay kaha......

"Ji mama"

"Beta tmhara aj nikah ho rha hai,tmharay amir uncle k betay aliyan k sath"

"What?" aleezay zor se chilai......aleena ki baat ne usay shocked kiya tha

"Han beta "

"Pr mama ye itni achanak faisla kis ne lia",usko kuch samajh nhi aa rha tha

"Tmharay papa ne"

"Pr q mama itni kia jaldi thi papa ko,abhi to ahmer bhai ki shadi bhi nhi hui,mae kesay......"

"Beta abhi sirf nikah hoga,jab tmhari studies complete ho jaye gi rukhsati tab ho gi"

"Pr mama papa ne itni jaldi ye faisla q le lia, koi baat hai kia? ap mujh sekuch chupa rhi hain na"
Aleezay samajh gae thi k koi baat zaroor hai jis ki waja se arsal ne itna bara faisla lia hai......lekin baat kiya thi......wo puch nahi sakti thi......arsal k faislon k agay koi sawal nahi uthata tha

"Beta ye tmharay papa ka faisla hai or tum janti ho k un k faislay k agay kisi ki nahi chalti"
Aleezay bed pr baith gae or ronay lagi,aleena bhi usko daikh kr ro di,uski shadi esay hogi unho ne kabhi nhi socha tha

"Beta ro mat tmharay papa ne kuch soch samajh kr hi faisla lia hai,wo tum se kitna pyar krtay hain,tm unki baat mano gi to wo bhi khush ho gay"
Aleena ne usko samjhaya tabhi arsal bhi wahan aa gaye

"Aleezay"
Unho ne aleezay ko bulaya to wo roti hui un k galay lag gae

"Papa mae ne apki kabhi koi baat nahi mani kia?"

"Esay q keh rhi ho aleezay" wo uski baat se heran huay thay

"To phr ap meri shadi is trhan q kr rhay hain"

"Q k tum bht khati ho or hum tmhay khila khila k tang aa gaye hain"
Aleezay ki baat ka jawab kamray mae dakhil hotay ahmer ne dia jis pr sb hans diye
Aleezay ne ahmer ko ghura

"Ahmer tang mat kro apni behan ko"
Arsal ne usko danta

"moto esay ro to mat, tm konsa hum se door ja rhi ho abhi kuch arsa or humay tmhari khidmat krni hai" ahmer ne us k baalon mae hath phairtay huay kaha to wo ghussay se uski janib muri thi

"Bhai"

"Sorry sorry ye daikho kitni chocolates laya hun tumharay liye"
Ahmer ne apni pocket se uski favourite chocolates nikali

"Thank You bhai" aleezay us k galay lagi

"Papa bahir mehman aa gaye hain amir uncle ki family bhi pohanchnay wali hai chalain"
Ahmer or arsal waha se chlay gaye

Aleena aleezay ko tyar krnay lagi
amir or unki family bhi aa gae thi, sheeza or sara aleezay ko drawing room mae le i thi,sheeza ko aleezay ne jaldi jaldi mae sb bata k bula lia tha,us k liye ye ek ehm din tha wo sheeza ko kesay bhul sakti thi or agar bhul jati to sari zindagi tanay sunnay partay

Aleezay ne light grey color ka trouser or shirt pehna tha jis pr silver embroidery hui thi sir pr net ka dupatta lia hua tha jis k charo traf bhi halki embroidery thi
Jewellery us k liye safina lai thin,halkay makeup mae bhi wo bht pyari lag rhi thi

Us ko aliyan k sath sofay pr bitha dia tha
Aliyan black three piece mae kafi khubsurat lag rha tha,wo khamoshi se sir jhukaye baitha tha....chehray par sanjidgi or bezariyat saaf zahir thi,wo yahan se foran chala jana chahta tha

Aleezay ka dil bht taiz dharak rha tha
Us ne aliyan ki traf daikha or uski nazar palatna bhool gae,kandhay pr sheeza k muka parnay pr hi usko hosh aya or us ne foran sir nichay jhuka lia

Nikah khwan aa gaya tha,jald hi dono k nikah ki rasam ada ho gae, safina or aleena aleezay k galay lag gae tino ki ankhain nam thin,phr sheeza or sara bhi us se mili,dono usko cher rhi thi or uska chehra surkh ho raha tha

Aliyan nikah k foran baad sb se excuse kr k wahan se chala gaya tha,sb uski bezari ko note kr chukay thay

Aleezay ko bhi mehsus hua k baat krna to door us ne aleezay ki traf daikha tak nhi
Jis pr uska muskurata chehra murjha gaya tha,baqi sara time wo chup chup si rahi

Continue Reading

You'll Also Like

657K 15K 26
بقلم / الشيماء محمد ( شيموووو)
65.5K 4.3K 29
کہانی ان کرداروں کی کو دوستی اور محبت کے رشتے نبھانا جانتے ہیں،،آزاد پنچھیوں کی طرح ہر آسمان فتح کرتے ہیں.... کہانی ایسے لوگوں کی جو زندگی کو جیتے ہی...
19.4K 1.4K 49
𝐍𝐨 𝐩𝐚𝐫𝐭 𝐨𝐟 𝐭𝐡𝐢𝐬 𝐩𝐮𝐛𝐥𝐢𝐜𝐚𝐭𝐢𝐨𝐧 𝐦𝐚𝐲 𝐛𝐞 𝐫𝐞𝐩𝐫𝐨𝐝𝐮𝐜𝐞𝐝, 𝐝𝐢𝐬𝐭𝐫𝐢𝐛𝐮𝐭𝐞𝐝, 𝐨𝐫 𝐭𝐫𝐚𝐧𝐬𝐦𝐢𝐭𝐭𝐞𝐝 𝐢𝐧 𝐚𝐧𝐲...
70.3K 4.8K 34
Ranked#1 . A romantic/social story. episodes will be coming weekly. it is a story of a girl huda , who goes throw different phases of life. A story o...