Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

بواسطة frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... المزيد

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Book 2 : chapter 34

1.5K 94 29
بواسطة frozenRose3112


Book 2 chap 34

Ajab tarhaan ke log bastay hain tere shehar main faraz...!
Mit jaatay hain anaa main lekin mohabbat nahien kartay!!

                            🌿AHMED FARAZ🌿

⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐vote please ️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️

" Bhabhi is main ab kya daaloon..." Rida jo pakoron ke liye besan tayaar kar rahi thi Aayat se boli.

Aayat ne apnay haath main pakra laal mirch ka dabba waapas uski jagaah pe rakh diya. Jo rida abhi istamaal kar chuki thi. Aur rida ki taraf muri.

" do chamach jitna Anaar daana , aur thora chaawal ka aata daal do is se pakoray crispy hongay . Lekin namak abhi mat daalana jub pakoray talnay ke liye karaahi rakho tab namak add karna warna pyaaz paani chhoray gi.

Aayat ne usay bataaya. Aaj Fehmida beghum ne Rida ko pakoray banaana sikhaanay ki zimmay daari Aayat ke hawaalay kar di thi. Aur Aayat Rida ki jaldi se sub kuchh seekh lenay ki khoobi se bohat mutaasir huwi thi.

Zarish subha Zoyan ke saath hi Maaikay chali gayi thi aur raat ko unki waapsi ka imkaan tha. Fehmida beghum ne Aayat ko bhi jaanay ko kaha lekin Aayat ne taal diya. Ke wo phir kabhi chali jaaye gi.

" kya huwa masaala bun gaya...?.." Fehmida beghum kitchen main daakhil hotay huway bolien. Wo seedhi Rida aur Aayat ke paas aa gayien.

" Aray waah itni jaldi masaala bana bhi liya..? Lagta hai tumhaari Aayat bhabhi ne saara kaam kiya hai..? " Fehmida beghum ne Usay mashkook nazron se dekhtay huway kaha, par unkay honton par halki muskraahat bhi mojood thi.

Lekin ye suntay hi Rida ek dum se boli. " nahien Amma maine bhabhi se sirf tareeqa aur saamaan poochha unko koyi kaam nahien karnay diya. Sub kuchh maine khud tayaar kiya hai. Aap bhalay bhabhi se poochh lain. Haina Bhaabhi...?"

Apni beti ki is maasoomiyat par wo muskura uthien. Aayat bhi Rida ki baat par muskraa rahi thi.

" jee Chachi Rida apna saara kaam khud kar rahi hai , maine koyi madad nahien ki balkay meray sirf ek baar bataanay se hi Rida sub kuchh achhay se kar rahi hai.  "

" sun liya aap ne..." Rida moon banatay huway boli. Aur dobara se besan mix karnay lagi. Fehmida beghum abkay hamsnay lagien thien. lekin wo abhi usay aur tung karna chaahti thien.

" achha to ye sub tum ne akelay tayaar kiya hai....? Hmm Aayat lagta hai Ab Rida ko cooking karna aagayi hai , to phir aaj se , raat ka saalan roz Rida banaaye gi. Theek hai." Ye suntay hi Rida ki hawaaiyaan ur gayien thien. Raat ka saalan wo banaaye gi..? Bilkul nahien..!!

" nahi Amma..! main abhi itni Expert bhi nahi huwi ke aap ye itna bara kaam meray zimmay chhor dain , agar maine saalan banana shuroo kiya to subkay pait kharaab ho jaaian ge. Kya aap ko kisi ki fikar nahien hai..?.." Rida jhat se boli.

" Aayat mujhay lagta hai mujhay Rida ki saas ke taanay sunnay ke liye tayaar ho jaana chahiye , kyunkay meri beti ko to kitchen ka kaam aata hi nahien. Kal ko jub iski shadi hogi to is ki wajah se saaray ghar ke pait kharaab hongay aur phir iski saas mera jeena haraam kar de gi ke fehmida ne apni beti ko kuchh nahien sikhaaya.." is baar Fehmida beghum thori sanjeeda nazar aa rahi thien. Lekin Aayat ab bhi jaanti thien ke ye sub sirf Rida ko tease karnay ke liye kaha jaa raha hai.

" Ammi....abhi meri shaadi thori ho rahi hai jo aap meri cooking ke liye pareshan ho rahi hain. Aur  wesay bhi main shadi nahien karoon gi..abhi mujhay apni parhaayi mukammal karni hai uskay baad main Doctor banoon gi.  " Rida ne moon banaatay huway kaha.

" jee chaachi...aur aap pareshan na hon , main Rida ko har cheez banana sikha doon gi. Aur mujhay pata hai Rida ko sub kuchh seekhnay main zyada waqt nahien lagay ga.

Aayat ke ye kehnay par Rida usay muskraatay huway mashkoor nazron se dekhnay lagi , aur Fehmida beghum un dono ko.

Aayat jub se is ghar main aayi thi , Fehmida beghum ne kabhi usmain koyi khaami nahien dekhi. wo sub ke saath pyar aur ikhlaaq se paish aati. Rida ko to wo apni sagi behn jesa pyar karti thi. Lekin is sub ke baawajood sirf ek baat thi jo Aayat ke be aib kirdaar par daag bani huwi thi,  aur wo thi uskay aur Mateen ke rishtay main Aayat ki be-mukhlisi.

Aayat ko dekh kar unhain Daadi jaan ki baat yaad aayi thi. Wo subha se soch rahi thien ke kesay Aayat ko bataaye ke unhon ne kal hi ek gynecologist se appointment le li hai aur aaj unhain wahaan jaana hai.

" Rida tum jub tak ye achhay se mix karo , tab tak Aayat ! Tum meray saath zara meray kamray main aana , mujhay tum se kuchh baat karni thi. " Fehmida beghum ne saada lehjay main kaha aur wahaan se bahar chali gayien. Lekin ye kehtay huway unkay chehray pe aayi halki si jhijhak dekh kar Aayat soch main par gayi thi .

Aayat wahaan khari unki cook raashida khaala ko Rida ki madad ka keh kar khud bhaari dil ke saath Fehmida beghum ke saath baahar aa gayi aur wahaan se unkay kamray main.

Aayat bohat kam hi unkay kamray main aati thi. Lekin har baar jub bhi wo unkay kamray main qadam rakhti usay fehmida beghum ki saleeqa mandi ka dil se aitraaf karna parta. Unkay kamray main koyi bhi aisi cheez nahien thi jo aankh ko chubhay ya kaha jaaye ke ye is tarhaan se kyun rakhi hai , isay is tarhaan se rakhna chaahiye tha. Yahaan tak ke bed sheet par silvat dhoondna bhi kaafi mushkil kaam tha. Jub tak ke bed par koyi bed par koyi beth naa jaaye.

unkay ishaaray par Aayat beth gayi thi. Aur  bethnay ke saath hi Fehmida beghum us se kya kehnay waali hain , ye sochtay huway uska dil zorron se dharaknay lagaa tha.

" Aayat..! daadi chaahti hain ke main tumhain gynecologist ke paas le kar jaaoon.." Fehmida beghum ne bilaa-toquff ke usay bataa diya. Jisay sun kar ek lumhay ke liye to Aayat ke chehray par heraangi aur dar phail gaya tha , lekin doosray hi lumhay hi Aayat ne khud pe qaabu bhi paa liya .

Lekin Aayat ka ye ek lumhay ki badalti rangat bhi Fehmida beghum se poshhieda na reh saki thi. Aur uski haalat samajhtay huway unhon ne Aayat ke sard partay haath apnay haath main thaam liye .

Apnay haathon par unkay shafeeq lums se Aayat ne unki taraf dekhaa.

Fehmida beghum ke chehray par shafeeq muskraahat thi. "main jaanti hoon tum kya soch rahi ho...Tumhaari aur Mateen ki shadi kin haalaat main huwi..aur tumhaaray rishtay ko  phalnay phoolnay main bhi kaafi waqt lagaa hoga. " fehmida beghum ne "lagaa hoga"  is liye kaha kyunkay wo Aayat ko apnay saamnay sharminda nahien karna chaahti thien. Lekin wo nahien jaanti thien ke Aayat unkay dil main chhupi baaton ko jaanti thi. Is liye baawajood koshish ke uska sar shrmindagi se jhuk gaya tha.

" aur main ye bhi samajhti hoon ke ye paanch chhai mahinay itna zyada arsaa nahien hota.  Lekin mera yaqeen maano , agar Daadi jaan bazid na hotien to main kabhi tum se is baaray main baat bhi na karti.  lekin unki zid ke aagay main majboor hoon..umar ke wo jis hissay main hain , main nahien chaahti ab wo kisi bhi baat ko apnay dil pe lain. Apni zindagi main unhon ne bohat se ghum dekhay hain , aur shayad isi wajah se jub itnay saal baad unka zaeef dil apni khuahish pooray hotay nahien dekh raha , to wo tum se thori maayoos ho gayien hain.. Par tum pareshan na ho unki ye Maayoosi sirf kuchh waqt ke liye hai . " Aayat khaamoshi se sun rahi thi , Dadi jaan ki maayoosi se wo anjaan nahien thi. Uska apna dil dukhta tha ye dekh kar ke uski wajah se unhain kitna dukh ho raha hai.

" lekin is sub ke ilaawa main tum se kuchh aur jaanna chaahti hoon.." Fehmida beghum ki awaaz se saaf zaahir tha ke wo jo poochhnaa chaahti hain wo khud unkay liye aasaan nahien hai , aur Aayat jo ab bhi  sar jhukaaye bethi unko sun rahi thi unkay ye kehnay par wo apnay bikhartay jazbaat par qaabu paanay ke liye be dardi se apnay hont daanto talay diye bethi thi. Lekin jo dard wo apnay seenay main mehsoos kar rahi thi , uskay saamnay ye kuchh bhi nahien tha .

" Aayat doctor ke paas jaanay pehlay main sirf tum se ye poochhna chaahti thi ke....Mateen aur tumhaari azdwaaji zindagi theek hai na...?..mera matlab hai tum dono ke darmyaan...tum samajh rahi ho na main kya keh rahi hoon.. "

Ye sub kehtay huway fehmida beghum Aayat ke kham sar ko khojti nazron se dekhnay lagien. Wo jaantien thien ke kisi bhi larki ke liye ye sawaal baa'us e sharmindagi hai , lekin agar unka shaq sahi huwa to unka Aayat Ko Doctor ke paas le jaanay ka koyi jawaaz hi nahien banta. Is liye poori raat sochnay ke baad hi unhon ne Aayat se ye sawaal poochhnay ka faisla kiya tha. Aur is ki wajaah ye bhi thi ke wo dekhna chaahti thien ke unka Aayat ko Mateen ke liye chunnay ka faisla kitna sahi tha.

Lekin Aayat ki jhuki palkain unkay seenay main chhupay us shaq ko aur mazboot kar rahien thien. Laa shaoori tor par Unki Aayat ke haath par pakar mazboot ho gayi thi. Jisay Aaayat ne mehsoos kiya tha.

" Aayat..." Fehmida beghum ne ek baar phir usay mukhaatib karna chaaha , lekin unkay kuchh kehnay se pehlay hi Aayat ne apni gardan uthaa kar unki taraf dekha tha.

Jin aankhon main thori dair pehlay dard tha ab be taassur pathar ki ho chukien thien. Wo be jhijhak unki aankhon main dekh rahi thi , lekin uskay chehray par koyi  be-adbi ka taassur nahien tha.

" Main jaanti hoon ke shaadi ke shuroo main ' mera aur Mateen ka rishta be maainay tha.., lekin ab hum dono khush hain....hum dono is rishtay ko qabool kar chukay hain..aur humaari..." Aayat abkay apni nazrain jhukaa gayi thi. " humaari Azdwaaji zindagi ab achhi guzar rahi hai..." Ye sach tha ke wo jhoot bol rahi thi,  lekin ye jhoot boltay huway bhi uskay rukhsar gulaabi ho rahay thay. Jisay dekh Fehmida beghum uskay gulaabi Rukhsaaron ka matlab kuchh aur samjhtay huway unka  chehra bhi khil uthaa tha.

Aayat ke is jawaab ne unkay seenay se jesay ek bhaari pathar uthaa diya tha , in kuchh mahinon main wo Mateen ke liye kitni fikar mund thien , ye sirf wo hi jaantien thien. Lekin aaj Aayat ne unhain us fikar se nijaat dilaa di thi. Aur unkay honton par ab bari se muskaan phail gayi thi.

" Aayat meri bachi.!  tum nahien jaanti ye sun kar main kitni khush hoon . Main jaanti thi ke tum Mateen ke liye perfect choice ho..Allah tum dono ko is rishtay ki har khushi naseeb karay.." Fehmida beghum ne uskay maathay ko choomtay huway kaha tha. Lekin Aayat ne jawaab main sirf halki muskraahat ke saath hi unki taraf dekha tha.

" mujhay tum se yehi jaanna tha , par Daadi jaan ki khushi ke liye humain Doctor ke paas chalna hoga. Tum jaanti ho na wo Mateen se kitna pyar karti hain , aur ab unka dil bus is baat par atal hai ke main jaldi se tumhain Doctor ko dikhaaoon taakay agar koyi maslaa hai to wo bhi hal ho jaaye. Wesay dekha jaaye to unki ye baat  galat bhi nahien hai. Haina..!  Theek hai ab tum jaao Mateen bhi aata hi hoga , uskay liye chaaye bana do aur Rida se bhi pakoray le kar jaana , pehli baar usnay kuchh banaaya hai uska bhaai taste to karay. " fehmida beghum jaldi jaldi se keh rahi thien. Aur Aayat ba mushkil apnay dharaktay dil ko qaabu main kiye apnay honton par naqli muskraahat sajaaye asbaat main sar hilaa rahi thi.

Fehmida beghum ke kamray se waapsi par usay pataa chala ke Mateen aur Murad sahab ki bhi abhi waapsi huwi hai. Wo jaldi kitchen main chali aayi,  jahaan usnay Mateen aur Murad sahab dono ke liye chaaye banaayi aur Rida se pakoron se bhari plate le kar wo apnay kamray ki taraf chali gayi. Kyunkay Murad sahab ko chaaye Dadi jaan ke kamray main peenay ki aadat thi jo Fehmida beghum unhain detien thien.

*****

Mateen abhi fresh ho kar bathroom se nikla tha aur abhi bhi towel se baal sukhaa raha tha.  usnay roz ki tarhaan aaj bhi cotton ka safaid  shalwaar kameez suit pehna huwa tha. Pakistan aanay ke baad wo ghar main zyada tar shalwaar qameez hi pehannay lagaa tha.

Jub wo towel waapas baathroom main taang chuka tab Aayat kamray main daakhil huwi aur usay dekh kar Aayat ne Halki awaaz main salaam kiya tha . Jis ka jawaab Mateen ne Aayat ki taraf dekhtay huway halki muskraahat ke saath diya tha.

Aur pehli nazar main hi Mateen ko pataa chal gayaa ke aaj Aayat ka chehra utraa huwa hai , jesay usay koyi baat pareshaan kar rahi ho. Aur is ke saath hi uski apni muskaan bhi gaayab ho gayi thi. Lekin  us ne Aayat ko mukhaatib karnay ki koyi koshish nahien ki.

Mateen ke sofay par bethtay hi Aayat tray coffee table pe rakh ke khud saamnay bed par beth gayi. Usay dekh kar koyi bhi keh sakata tha ke is waqt Aayat ko agar moqa mikay to wo abhi wahaan usay chhor kar baahar chali jaaye. Lekin ye moqa Mateen usay kabhi nahien deta. Khair tab tak to nahien jub tak wo usay rok sakta hai.

" pakoray tum ne banaaye hain..?" Mateen ne plate se ek pakora uthaatay huway poochha.

" nahien , Rida ne banaaye hain.." Aayat ne bataaya , uski nazrain saamnay pakoron ki plate main thi jesay wo us plate ko bataa rahi ho , jis par Mateen ne teveri charhaatay huway uski taraf dekha.

Usay pakoray kuchh khaas pasand nahien hotay lekin usnay ye soch kar pakora uthaaya tha ke Aaj Aayat ne ye uskay liye khaas tor banaaye hain.

Lekin ye sunnay ke baad ke ye Aayat ne nahien banaaye ,  Mateen ka isay khaanay ka bhi bilkul dil nahien kiya. Par phir apni behn Rida ke liye usnay wo pakora khaa liya.

Aur khush qismati se Rida ne waaqayi bohat achhay pakoray banaaye thay.

" hmmm...Achhay banay hain..lagta hai Chachi ne usay kitchen main pighlaanay ka faisla kar liya hai..." Mateen muskraatay huway bola.

Mateen ki taareef suntay hi Aayat ke chehray par bhi halki muskaan phail gayi thi. Us Accident ke baad ab wo dono shadi shuda joray ki tarhaan na sahi, par ek doosray ke saath mohzib tareeqay se paish aatay thay.

Aayat ka musquraata chehra  doosray hi lumhay phir se udaas ho gaya tha , kyunkay na chaahtay huwya bhi uska dimaag Fehmida beghum ke sawaal aur apnay jhoot ke gird bhatak raha tha. Aur usay apna dum ghutta mehsoos huwa. Wo unkay saamnay jhoot nahien bolna chaahti thi lekin haalaat ne uskay saamnay koyi aur rasta nahien chhora tha.

" Aayat.."

" Aayat..!..?"

" hhhnn..?!" Mateen ki awaaz par Aayat ne chonk kar uski taraf dekha jo Aayat ko mutafakkir nazron se dekh raha tha. Aur usay dekh kar lag raha tha jesay wo abhi apni jagaah se uth kar uskay paas aana chaahta hai. Tab usay pataa chalaa ke wo kuchh lumhon ke liye apni hi dunya main kho gayi thi.

" kya baat hai...tum pareshan lag rahi ho.., kisi ne kuchh kaha hai kya..?!" Kisi se murad , wo dono jaantay thay ke Wo Daadi jaan ke baaray main baat kar raha hai.

Lekin Aayat ne foran nafi main sar hilaatay huway uskay shaq ko kahtam kar diya. " Nahien..! meray sar main dard ho raha hai is liye... " Aayat boltay huway apni nazrain jhukaa gayi thi.

Mateen jaanta tha ke Aayat jhoot bol rahi hai , lekin wo ye bhi pataa tha ke wo chaahay kini hi koshish karay par agar Aayat ko usay kuchh na bataana hoga , to wo usay kuchh nahien bataaye gi. Aur us se such jaannay ke liye force karkay wo Aayat ko mazeed pareshaani nahie dena chaahta tha. Is liye usnay bazaahiran Aayat ka jhoot qabool kar liya tha.

" tum kehti ho to theek hai..."

Is ke baad wo kayi dair tak wahien bethay rahay lekin shaam ko saàdhay saat bajay  jub sub baahar lounge  main bethay thay tab fehmida beghum  Aayat ke humraah wahaan daakhil huwi aur Mateen ko bataya ke wo Aayat ko Gynecologist ke paas lekar jaa rahien hain. Jisay sun kar pehlay to Mateen heraangi se Aayat ki taraf dekhnay lagaa aur phir uskay taasuraat Aayat ko pareshan hotay chehray ko yaad kartay huway gussay o be yaqeeni main badal gaye.

To ye wajah se thi Aayat ki pareshani ki..!

"is ki zaroorat nahien hai chaachi..mujhay abhi bachon ki  koyi jaldi nahien hai..jub bacha hona hoga ho jaaye ga..aap be waajh khud ko pareshan kar rahi hain.." Apnay gussay pe qaabu paatay huway Mateen ne saada lehjay main kaha tha.

Fehmida beghum ne pehlay to uski baat se mutaffiq hotay huway uski haan main haan milaayi , par phir unhon ne Mateen se ye bhi kaha ke ab wo Uski Daadi jaan ki taraf se sochay. Jo bazid hain ke Aayat ko sirf ek baar unki sehmati ke liye Doctor ko dikhaaya jaaye. Jis par wahaan bethay Murad sahab ne bhi Fehmida beghum ki taayeed ki thi , jo is sub ke doraan Aayat aur Rida ki tarhaan bilkul khamosh bethay thay. 

Jub wahaan mojood dono baron ne apni raaye di to laa chaaran Mateen ko khamosh hona para. Aur wo Aayat ke chehray ko dekhnay lagaa jo usi ki taraf dekh rahi thi. Aur uski aankhon main dekh kar Mateen ke andar ek aur ghum o gussay ki shadeed lehar dor gayi thi. Aur uski muthiyaan bhinch gayien thien. Lekin doosray hi lumhay Aayat ne apni nazrain phair lien thien.

Jub fehmida beghum ne Mateen ko yun khamosh dekha to uski khamoshi ko ijaazat ki shakal main letay huway wo Unkay baraabar khamosh buut banay khari Aayat ko apnay saath le gayien.

Thori dair main Zoyan aur aur Zarish ki bhi waapsi ho gayi thi aur wo dono bhi unkay saath lounge main beth gaye ,   Kuchh dair bethnay  ke baad , wo wahaan se uthta huwa apnay kamray main chalaa aaya.

itnay dinon baad uska dil phir se cigarette sulgaanay ka kiya. Jo Wo Aayat ki wajaah se chhor chuka tha. Na jaanay kyun achaanak se uskay dil o dimaag main ek ajeeb khuaf ne janam le liya tha , jesay is kuchh dinon ke sukoon ke baad uski zindagi main phir se toofaan aanay waala hai , jo shayad Aayat us chheen le ga.

Wo nahien jaanta tha ke wo aisa kyun mehsoos kar raha hai , lekin chaah kar bhi wo is dar ko wo apnay dimaag se nikaalnay se qaasir tha.

Usnay apni side table ke daraaz check kiye , jahaan wo pehlay apnay cigarette ke pocket rakhaa karta tha. Lekin ab yahaan unka naam o nishaan bhi nahien tha.

************

Salaam late update ke liye maazrat par Ramzan ka mahina hai aur thori masrufiyat ki wajah se likhnay ka time hi nahien milta , wesay sub ke rozay kesay jaa rahay hain..aur sub ne shopping to kar hi li hogi. 😊😊

Ab aatay hain story ki taraf. Bechari Aayat daadi ki khuahish ke chakkar main be wajaah pis rahi hai.. Kya lagta hai kya hoga aagay , aisa konsa toofaan aanay waala hai Mateen aur Aayat ki zindagi main🌪🌪...dekhtay hain kon kon sahi guess karta hai , kyunkay story End tak meray dimaag main hai. 😉😉

واصل القراءة

ستعجبك أيضاً

5K 145 16
G to chaliye mery sath muhabbat k ek Haseen safar ma. Safar muhabbat ka, Muhabbat k imtehan ka,,,or jub tk muhabbat ma imtehan na ho to muhabbat ka m...
158K 10.2K 80
Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal...
169K 9.7K 9
Hamdaani Heirs #3 The story of Furqaan and Aamaal. How fate brings them together in bleak circumstances. The storms they brave. How a lover's wait i...
3.8K 291 4
What will happen when a groom will lift his bride's veil on the very first night of their marriage and his wife will be😲 Wanna know? peep in