Voice Of Her Soul

By swekshatiwari

16.7K 1.2K 708

This story is based on Indian TV show "Ek Duje Ke Vaaste" This story starts from epi 153 when shravan insulte... More

prologue
chapter 1
chapter 2
chapter 3
chapter 4
chapter 5
chapter 6
chapter 7
EDKV second anniversary
chapter 8
chapter 9
chapter 10
chapter 11
chapter 12
chapter 14
chapter 15
chapter 16
note
EdKV's third anniversary

chapter 13

721 61 30
By swekshatiwari

Hello everyone i know I am very late but I was busy with projects assignment and cousin's wedding and now exams are near but I will try to update regularly now sorry for this late update....here is the next part happy reading 😄

At pct

"Please aap log ye so called happy family ka drama band kijiye...mai janti hun aap log ye Sab natak kyo kar rahe hai par sorry to disappoint you uncle aunty is bar mai aapki koi help nahi kar paungi...ab mai dobara un logo se rishte nahi banana chahti jinhe naa mujhse koi lagaw hai naa pyaar...or Jo mujhe apne matlab ke liye use karna chahte hai unse to mujhe baat karke bhi koi khushi nahi hogi...."said sumo

" suman tu aisa kyo keh rahi hai tu to humari beti jaisi hai" said nirmala

" oh please ab mujhe apni beti banane ki koshish mat kariye apne selfish reasons ke liye...kitne loving or caring parents hai aap ye to dekh he chuki hun or ye bhi ki aunty aapne aditya ko kitni acchi parvarish Di hai or uncle aapne shravan ko kitne acche sanskar diye hai....mera tamasha banane me aapke baccho ne koi kasar nahi chori hai to please kam se kam aap log baksh dijiye mujhe...bahut mushkil se samhali hun khudko or akele rehne ki himmat ki hai....or jab check le kar aaye the tab dekh he liya hai mai ne uncle ka pyaar...meri maa ne bachpan me bado ki respect karna sikhaya hai isliye mai ne aap log se aaj tkk kuch nahi kaha par please ab mujhe manane ki jagah aap apne bigde hue ziddi bete ka dhyaan rakhiye or ho sake to use sudhar kar kisi acchi ladki se shadi kara dijiye Jo uncle ki nazar me sahi ho...kyoki hum dono to kabhi ek dusre ke vaaste nahi bane hai..." Said sumo

" please suman mai janta hun mai ne Jo kiya wo bahut galat tha par ab mai samajh gya hun tum or shravan ek dusre ke sath he khush reh sakte ho wo tum se bahut pyaar karta hai ..tumhare bina uski kya halat hai ye ab mujhse nahi Dekhi jaa rahi.."said ramnath

"tab to bade maze le kar dekh rahe the jab mujhe shravan se door kiya tha or shravan khud ko sharab me duba raha tha...tab naa aapko meri khushi ki parwaah hui naa he shravan ke gum ki...chinta mat kijiye aapka beta move on karne me mahir hai..." Said suman

"beta kyo kar rahi ho aisa khud ke sath bhi or shravan ke sath bhi tum to pyaar karti ho naa shravan se ???" Asked ramnath

"pyaar karti thi ek wakt tha jab mai shravan se bahut pyaar karti thi par ab wo waqt or wo suman dono kho chuke hai..." Said suman
Ramnath nirmala said together - "beta ek bar phir se is bare me sochna zaroor"

MM
Pushkar was about to go before he met lalaji out of the house
Lalaji asked him "are khote de puttar itni jaldi me kaha jaa raha Jo tainu apne peo se bhi baat karne ka bhi time nahi hai...accha chal jaha bhi jaa raha hai cancel kar de aaj preeti puttar ko doctor ke pass le kar Jana hai naa tainu"

Pushkar said " lalaji please mai ne driver ko bol diya hai wo le jayega use doctor ke pass or appointment fix kar diya hai wo chali jayegi...ab please aap preeti ke bare me baat mat kijiye mujhe abhi sumo ne bulaya hai pct Jana hai"

Lalaji - "arey tu suman puttar se Milne jaa raha hai chal mai bhi milunga bade din ho gaye...."
They bothe left for pct

At pct

Sumo shouted pushkarrrrr (happily)
And ran toward him and hugged him tightly
Pushkar hugged her back "congratulation sumo I am so proud of you.."said a happily grinning pushkar

Lalaji entered pct and said "arey Bhai dono dost gale milte rahoge yaa mujhse bhi koi baat karega"

Sumo went to him and touched his feet ...

lalaji said " khush raho puttar ji aaj to mai bahut khush hun...aaj tu ne apni maa ka naam roushan kar diya bahut naaz hai Hume tujh par...or tu kabhi bhi khud ke akel mat samajhna...pushkar ko Bhai boli hai tu to phir mujhe apna ready made pio (father) accept karna he padega..."

Sumo got emotional and hugged him....she started sobbing lalaji consoled her...."puttar ji do do khushi ke mouke hai ek to tujhe award Milne waala hai us din jiski khabar news me aayi thi wo or dusra inni waddi company ke employees ke liye tiffin ka contract wo bhi poore 3 saal ke liye...to ab muh meetha nahi karayegi "

Sumo brought some snakes and sweets and said " ye lijiye lalaji garmagaram pyaaj ke pakode or moong daal ka halwa..."

Lalaji - "Dekha puttar kinne sare fayde hue aaj ek to tainu inna wadda order mila ab tu apne liye ye jagah permanently khareed payegi phir koi dobara pct ko kuch nahi kar payega...dusra tera naam kinna uncha ho jayega jab tujhe award milega to phir tujhe or order milenge...or aaj mujhe ye halwa or pakode khane mil gaye tere hath ke kitne dino baad...or ek sabse Badi iksha poori ho gai Jo is pushkar ke janam se pehle se thi or is khotte ke karan poori nahi ho pai thi...."

Pushkar and sumo asked together "wo kya lalaji"

Lalaji said " puttar ji jab mai chota tha to raksha bandhan me mere sare dost Badi Badi rakhi pehan ke aate the or sab apni apni behno ki kahaniya batate the ki unne apni behno ko kya tohfe diye ...or mere pass naa koi rakhi hoti thi naa koi rakshabandhan ki kahani...phir jab mera vyaah hua or varun hua tab mai ne soch liye ki jis behan ke liye mai tarsa hun mera puttar naa tarse to mai roj matarani se prarthna karta tha ki mainu ek beti de do...phir jab pushkar hone waala tha tab mai or Teri chachi bade khush hue ki is bar humko beti hogi...mai to kapde bhi le aaya tha par ye pushkar ho gya..."

Pushkar said "tabhi aap bachpan me wo ladkiyo waale kapde pehna kar meri photo liya karte the...lalaji this is not fare..."

Sumo started laughing...

Lalaji said "Oye chupp oye complain box tujhe pyaar to utna he karte hai naa ki nahi...or wo kapde mai inne khushi se laya to Teri mummy ne pehna diye kaunsa abhi tujhe hum salwaar suit pehnaate hai....par puttar jab se tu aai hai naa humari life me kuch alag saa apnapan lagta hai tujh me...tujhe to mai humesha se he apni beti manta aaya hun...aise he thodi puttarji kehta hun...or ab to tu officially meri beti ho gai...pushkar ko Bhai Jo maani hai..."

Sumo smiled and said " waise lalaji wo to bhagwaanji ne last moment par apna Mann badal liya warna humara pushkar kisi ladki se kam hai kya...dekhiye kitna fair hai preeti bhi kam hai iske aage...or sharmata to aise hai ki nayi dulhan bhi fail ho jaye...emotional ho ke drama to aise karta hai ki TV serials ki saas bahu bhi feeki pad jaye....or mujhse gappe to aise Marta hai jaise ki koi female friend ho...ab aap he bataiye ye kisi ladki se kam hai kya kyo mere pushki (pinched his noseand ran from there Pushkar started running behind her)

"Sumo ki bacchi ruk tujhe batata hun aaj to tu gai"

MM
After pushkar  shravan came out and asked to gatekeeper about pushkar he said he went to pct with lalaji...shravan went to pct...he was about to enter in pct just then sumo collide with him...she was about to fall when shravan holds her....he asked her

" sumo tum theek to ho naa??l Kya hua pushkar itni hadbadi me yaha aaya??? Koi problem to nahi hai naa?? Bolo naa sumo tumhari tabiyat to theek hai naa??"

Sumo said "tumse matlab kuch bhi hua hai...or meri fikar karne ki koi zaroorat nahi hai...10 saal se khud ko samhaalti aa rahi hun tum London se nahi aaye the meri problem solve karne to ab bhi koi zarurat nahi hai tumhari mujhe...."

Shravan said "sumo I am sorry tumhe jab meri zarurat thi tab mai tumhare pass nahi tha...par ab to hun naa...mai nahi keh raha ki tum mujhe maaf kar do par please agar tumhe koi problem ho to mujhe help karne do kam se kam meri guilt isse thodi kam ho jaye or past me hui galtiyo ki kuch to bharpai kar saku"

Sumo said in mind " kyo kar rahe ho shravan ye Sab waise bhi tumse door rehna itna mushkil ho raha hai or tumhe ab hurt hote nahi dekh sakti bhale he kitna kuch ho gya ho humare rishte me par mera pyaar kabhi mit nahi Sakta"

"Dekho shravan mujhe koi problem nahi hai or rahi baat help ki to mai ajnabiyo se help nahi leti...please tum apna time yaha kharab mat karo ...or apni life me aage badho humare beech ab kuch nahi badal sakta..."said sumo

Shravan went from there with tears in his eyes
Sumo was also about to cry seeing him in so much pain but controlled her emotions...

Pushkar understood everything and thought " tu kitna bhi strong ban jaa sumo par Teri khushi Bhaiya ke sath he hai...aaj bhi tu unhe hurt dekh kar khud hurt hoti hai...tu maan yaa mat maan par aaj bhi tu Bhaiya ke sath ke liye tadapti hai...or ab tum dono ko mai mila kar he rahunga...thoda time lagega par nothing is impossible for pushkar malhotra"

____________________________________

I Know nothing happened in the part but something big is coming soon so just wait for sometime and you will see the real drama..thank you for reading

I know no body missed my story and your comments have proved that but still l'll complete it for those who gave their precious time to last 12 chapters...

Please ignore all the mistakes

Not so special writing but still want to hear you all. Tell me your views about it.

Love😘
Sweksha

Continue Reading

You'll Also Like

74.7K 5K 30
Life is a really bumpy turn and you are expected to be hurt, some way or the other! Some are minimally hurt and some are severely hurt. But is, being...
36.6K 2.5K 25
My very first story about Shraman. Its unedited and i used a lot of abbrevations so read at your own risk!!
18.9K 1K 10
Shravan and Suman met when they were children and grew up to be good friends, until they entered high school things changed . In their last teenage y...
32.4K 4.5K 40
I'm not good at writing story descriptions, so please read the prologue directly. warning:- This story is very emotional and contains domestic violen...